Sochta hoon ussey neend bhi aati hogi

by Aryaan on February 11, 2005, 03:44:18 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2827 times)
Aryaan
Guest

Sochta hoon ke usey neend bhi aati ho gi
Ya meri tarha faQat ashk bahaati ho gi

Woh meri shakl mera naam bhulaane waali
Apni tasveer se kya aankh milaati ho gi

Iss zameen par bhi hai sailaab mere ashkon se
Mere mataam ki sadaa arsh hilaati ho gi

Shaam hote hi woh chaukhat pe jala ke shama
Apni palkon pe kayi khwaab sulaati ho gi

Mere tareek zamaano se nikalne waali
Raushni tujh ko meri yaad dilaati ho gi

Dil ki masoom ragein khud hi sulagti hongi
Junhi tasweer ka kona woh jalaati ho gi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jab sochta hoon... by kamran_bombay in Shayri for Khumar -e- Ishq
LORIYON SE NEEND AB AATI NAHI - sabse bada dard by jeetufor_u in Shayri-E-Dard
!!!!!!!!!!!.......SochtA HooN..............!!!!!!! by Pushkar_singh in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: February 11, 2005, 05:17:58 AM »
Quote from: "Aryaan"

Sochta hoon ke usey neend bhi aati ho gi
Ya meri tarha faQat ashk bahaati ho gi

Woh meri shakl mera naam bhulaane waali
Apni tasveer se kya aankh milaati ho gi

Iss zameen par bhi hai sailaab mere ashkon se
Mere mataam ki sadaa arsh hilaati ho gi

Shaam hote hi woh chaukhat pe jala ke shama
Apni palkon pe kayi khwaab sulaati ho gi

Mere tareek zamaano se nikalne waali
Raushni tujh ko meri yaad dilaati ho gi

Dil ki masoom ragein khud hi sulagti hongi
Junhi tasweer ka kona woh jalaati ho gi


excellent  aryan,...........   nice  wordings........  touching  words......

but   last  line  
(Junhi tasweer ka kona woh jalaati ho gi)   mein  confuse ho raha  hoon

junhi tasveer  =   purani  tasveer      Huh?Huh?Huh?/
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: February 11, 2005, 06:06:15 AM »
Pasand karne ka shukriya Waheed....Usual Smile

Junhi tasveer ka kona woh jalaati hogi
= Jab woh tasveer ka kona jalaati hogi.... ya phir, jaise hi tasveer ka kona woh jalaati hogi.....
Logged
jalpari
Guest
«Reply #3 on: February 11, 2005, 01:28:43 PM »
Beautiful Aryaan ji!!!!
Logged
abhishek_gaurav
Guest
«Reply #4 on: February 11, 2005, 03:22:15 PM »
kya baat hai aryan ji taruf kiya bina nahi rah saka
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: February 11, 2005, 03:53:59 PM »
Quote from: "Aryaan"

Sochta hoon ke usey neend bhi aati ho gi
Ya meri tarha faQat ashk bahaati ho gi

Woh meri shakl mera naam bhulaane waali
Apni tasveer se kya aankh milaati ho gi

Iss zameen par bhi hai sailaab mere ashkon se
Mere mataam ki sadaa arsh hilaati ho gi

Shaam hote hi woh chaukhat pe jala ke shama
Apni palkon pe kayi khwaab sulaati ho gi

Mere tareek zamaano se nikalne waali
Raushni tujh ko meri yaad dilaati ho gi

Dil ki masoom ragein khud hi sulagti hongi
Junhi tasweer ka kona woh jalaati ho gi


wahhhhhhhhhhh amazing aryan ji!!!!!
 :D
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: February 11, 2005, 04:06:11 PM »
Really good Aryaan happy9
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: February 11, 2005, 07:07:17 PM »
shukriya  Jalpari, Abhishek, Meena, & Talat....Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: March 01, 2005, 04:05:11 AM »

Main bhi dil ke behlaane ko, kya kya sawaang rachaata hoon
Saayon ke jhurmat mein baitha, sukh ki sej sajaata hoon
Bujhte jalte deepak se, sapno ke chaand banaata hoon
Aap hi kaali aankhein ban kar, apne saamne aata hoon
Aap hi dukh ka bhes badal kar, unn ko dhoondne jaata hoon...
Logged
jalpari
Guest
«Reply #9 on: March 02, 2005, 01:02:46 AM »
Nice one Aryaan.........
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #10 on: March 02, 2005, 02:59:49 AM »
ARYAAN   NICE YAAR
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #11 on: March 12, 2005, 12:46:13 AM »
Thanx Jalpari & Naveed....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #12 on: March 12, 2005, 01:51:25 AM »
WELCOME
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #13 on: March 13, 2005, 05:37:09 AM »
Tum bhool kar tau dekho harr khushi rooth jaye gi
Jab akele baitho ge khud-ba-khud meri yaad aaye gi
Logged
safina786
Guest
«Reply #14 on: March 13, 2005, 12:48:10 PM »
Asalamualikum

woh app ne upper ek nazam likhi thi - its one of my favourites bas us ki akhri line nahi likhi app ne - which is my favourite bit so im going to paste that below.


Sochta hoon kay usay neend bhi aatee ho gee
Ya meri tarhan faqat ashq baha tee hoo gee

Woh meri shakl mera nam bhulanay wali
Apni tasver say kia ankh milatee ho gee

Is zameen per bhi hay sailab meray ashkon say
Meray matam ki sada arsh hilatee hoo gee

Sham hutay hee woh chukhat pay jala kay shama
Apni palkon pay kaee khwab sulatee ho gee

Is nay silwa bhi lyeh hoon gay siyah rang libas
Abb Muharam ki tarhan Eid manatee ho gee

Hotee ho gee meray bosay ki talab main pagal
Jab bhee zulfon main koi phool sajatee ho gee

Meri tareek zamanoo say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yad dilatee ho gee

Dil ki masom ragain khud hi sulagtee hoon gee
Jonhee tasweer ka kona woh jalatee ho gee...!!!

roop day kur mujhaay ous maain kissee shehzaday ka
apnaay bachoon ko kahaneey wo sunatee ho gee  ( this bit was missing)

Anyway good poetry keep posted

take care people
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:33:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.083 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer