Sochti Hoon...

by pinky on November 24, 2006, 08:10:48 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3288 times)
pinky
Guest
Adhure jazbaaton ko kaise joddun sochti hoon,
Dil ke dard ko kaise karoon bayan sochti hoon..

Yun to uski chahat mein ek umra guzaari hai maine,
Ye kaise usko samjhaoonm sochti hoon..

Meri aankhon ki muskurahat uske saath ka paigam thi,
Ab main kaise muskuraoon sochti hoon..

Mere lafzon ki har aawaz uske liye ek pukar thi,
Ab main kisi se kya kahoon sochti hoon..

Dil ke har zakhm mein dard hai uske naam ka,
Ab usse kya naya naam doon sochti hoon..

Pinky ke har khayal ka aagaz ussi se tha,
Ab ye sherr kaise karoon muqammal sochti hoon..
Logged
pinky
Guest
«Reply #1 on: December 07, 2006, 06:57:53 PM »
Bahut acchha hai Majid..
Logged
pinky
Guest
«Reply #2 on: December 07, 2006, 06:58:30 PM »
Na Jaane Tanhayi Se Mera Rishta Kya hai
Aabad Shaher Bhi Viraana Sa Lagta Hai..

Gham-E-Mehfil Kuch Aisi Saji Hai Dil Mein
Mohabbat Ka Har Kissa Afsaana Sa Lagta Hai..

Saaz-E-Khamoshi Ab Gungunaati Hain Dhadkanein
Koi Dhun Sune Hua Zamaana Sa Lagta Hai..

Dard-E-Bewafai Likha Hai Kismat Ke Panno Par
Ye Muskurahat Usse Chupaane Ka Bahana Sa Lagta Hai..

Izhar-E-Tanhayi Bhi Kaise Karoon Ya Rab
Ke Har Lafz Pinky Ko ab BeMaiyna Sa Lagta Hai..
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: December 08, 2006, 10:03:54 AM »
awesome  work Pinky...............Majid  Bhai........
Logged
pinky
Guest
«Reply #4 on: December 10, 2006, 08:10:16 PM »
bahut bahut shukriya ji aapka Waheed..!!
and Majid..!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: December 11, 2006, 01:16:47 AM »
Bohat khoob Pinky & Majid...
Logged
pinky
Guest
«Reply #6 on: December 12, 2006, 06:58:23 PM »
Thanx a lot Aryaan..
aap kuch nahi likhenge??!!
Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: December 13, 2006, 02:04:29 AM »
Arz hai..

Sochta hoon keh usey neend bhi aati ho gi
Ya meri tarha faQat ashk bahaati ho gi

Woh meri shakl mera naam bhulaane waali
Apni tasveer se kya aankh milaati ho gi

Iss zameen par bhi hai sailaab mere ashkon se
Mere maatam ki sadaa arsh hilaati ho gi

Shaam hote hi woh chaukhat pe jala ke shama
Apni palkon pe kayi khwaab sulaati ho gi

Uss ne silwa bhi liye honge siyah rang libaas
Abb moharram ki tarha Eid manaati ho gi

Mere tareek zamaano se nikalne waali
Raushni tujh ko meri yaad dilaati ho gi

Dil ki masoom ragein khud hi sulagti hongi
Junhi tasweer ka kona woh jalaati ho gi
Logged
pinky
Guest
«Reply #8 on: December 14, 2006, 07:16:14 PM »
Bahut hi achcha hai Aryaan..
itne achche words use kiye hain aapne..
waah!!!

bahut khoob!! Usual Smile
Logged
Tosha
Guest
«Reply #9 on: December 14, 2006, 08:49:57 PM »
Quote from: "pinky"
Adhure jazbaaton ko kaise joddun sochti hoon,
Dil ke dard ko kaise karoon bayan sochti hoon..

Yun to uski chahat mein ek umra guzaari hai maine,
Ye kaise usko samjhaoonm sochti hoon..

Meri aankhon ki muskurahat uske saath ka paigam thi,
Ab main kaise muskuraoon sochti hoon..

Mere lafzon ki har aawaz uske liye ek pukar thi,
Ab main kisi se kya kahoon sochti hoon..

Dil ke har zakhm mein dard hai uske naam ka,
Ab usse kya naya naam doon sochti hoon..

Pinky ke har khayal ka aagaz ussi se tha,
Ab ye sherr kaise karoon muqammal sochti hoon..


wow!! bahut khoob!
Logged
pinky
Guest
«Reply #10 on: December 14, 2006, 08:57:13 PM »
Thanx tosha.. Usual Smile
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #11 on: December 15, 2006, 11:18:46 AM »
Pinky .....

taseer duaon ko kabhi naseeb to hogi yaarab
maine suna hai har dard mien tu hi mila karta hai !!

bahut accha lga aapka yeh kalaam ... khush rahiye !!
Logged
natural
Guest
«Reply #12 on: December 15, 2006, 09:00:13 PM »
Wow.... Very well written Pinky and Majid.... Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #13 on: December 16, 2006, 04:28:16 AM »
Thanks a lot Majid & Pinky...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #14 on: December 16, 2006, 04:30:37 AM »
Quote from: "majid"
aate hain voh paas mere mera naseeb hai
yaaron dua karo ke qayamat kareeb hai

Mangta bhi kya woh jaate waqt aaye 'majid'
voh jaanta tha ke yeh shayar gareeb hai

kaanton se tha na bair na gul se tha kuch gila
woh kya mila ke sara gulshan raqeeb hai.

mai na pe ke gaye jis roz kuncha-e-yaar mein
ghabra ke woh bhi bole kyun chehra ajeeb hai.

Bohat khoob Majid...
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:47:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer