HumTum is back
Guest
|
Adaab doostooN,
Dil ne ishq kiya ....... zakham uthaye .... hazaarooN chote khayi ....... hota hai yun bhi ...... toote di se sadda aati hai ...... ussi dard ka ehsaas .... chend lafzooN mein band ...... aap ke pesh-e-nazar hai !!!
Zakhm mujh ko na jane kitne teri chahat ne diye hai Humne bhi sougaat-e-ishq samjh, sehan kar liye hai
Rang heena bhi lati hai pathar pe gis jane ke baad hi Tujh se fareb kha ke sanam, aaj hum nikhar liye hai
Hota nhi jigar mein ab kissi bhi chot ka dard mujhey Bad-e-dafan-e-waffa khawab bhi sab bikhar gaye hai
Jee to liye hai tujh se bichad jane ke baad bhi, lekin Tu kya jane tere bina hum, be-haal be-kabar jiye hai
Dafan kar liye sabhi gum seene ki kabar mein humne Khi ho na jaye tu ruswa, honth yahi soch kar siye hai
Kya yhi hota hai anjam waffa ka duniya mein "HumTum" Yeh sawal mere dard-e-dil ne mujh se aksar kiye hai !!!
HumTum [/color]
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Rajbir
Guest
|
|
«Reply #1 on: June 07, 2006, 10:45:15 PM » |
|
HumTum
Yeh ek dard ka ehsaas hai jiska varnan tumne behtareen andaaz se bayaan kiya hai !
Title of the poem is excellent !
Har baar ki tarah bahut he achcha likha hai ! =D>
Rajbir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #2 on: June 08, 2006, 03:59:58 AM » |
|
bahut khub Hum tum ji .....dard bhi khub likhte hain aap... Jee to liye hai tujh se bichad jane ke baad bhi, lekin Tu kya jane tere bina hum, be-haal be-kabar jiye hai
Dafan kar liye sabhi gum seene ki kabar mein humne Khi ho na jaye tu ruswa, honth yahi soch kar siye hai yeh lines bahut hi khubsurat hai........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #3 on: June 08, 2006, 07:40:47 AM » |
|
HumTum
Yeh ek dard ka ehsaas hai jiska varnan tumne behtareen andaaz se bayaan kiya hai !
Title of the poem is excellent !
Har baar ki tarah bahut he achcha likha hai ! =D>
Rajbir Rajbir Veer ji ...... Jab zakhm milte hai to bayaaN kudh-b-kudh ho jata hai .......... waseey title mujhey bhi pasand aaya tha aap ka bahut bahut shukriyaaN ... aap ko pasand aayi .... yhai meri shayri ka hasiil hai !!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #4 on: June 08, 2006, 07:42:27 AM » |
|
Ranjana Ji..... bahut bahut shukriyaaN .... Ji dil hai ....... to dard bhi hoga hi ....... so jo dard hota hai chend alfaazooN mein likh deta hoon .... aap ne kucch nhi likha ....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #5 on: June 08, 2006, 08:17:03 AM » |
|
accha ji .......dard hota hai aapko .... yeh waqt bhi kaise bharega zakhamo ko mere yeh toh riste hue nasur hain............. aap jo kahe toh hum apne hotho ko sii le lekin zakham mere na badalne wali taqdeer hain......... dekhte rahe hum rasata ki waqt ab badlega mera par na jaane kyu hum unki nazaro se dur hain.........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #6 on: June 08, 2006, 08:31:32 AM » |
|
Ji dard ka dil se rishta bahut gehra hai Dil mein mere uthey dard ka jo yeh silsila hai Gila tumse nhi yeh meri taqdeer mein likha hai Mil gyii tumko jahaaN ki sougaat-e-khusiyaaN Haamri jo kismat mein tha woh humko mila hai Ashq ankhon mein dard dil mein jigar-e-khalish Meri muhobatoN ka shayad sanam yhi sila hai !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajbir
Guest
|
|
«Reply #7 on: June 08, 2006, 08:41:11 AM » |
|
Ranju, HumTum
Superb ! =D> =D> =D>
Rajbir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #8 on: June 08, 2006, 08:44:49 AM » |
|
bahut khub .........really very touching........
kiski kya waqt se mila na karo sanam yeh gila drad ke rasto per hi toh chal ke dil ko ek sakun mila
hum bhi larhe hain apni taqdeer se kai baar aksar per taqdaeer se larh ke kaun jeet paaya hai bhalla...
jab maine pucha khuda se kyu andhre hai mere raste unhone hans ke kaha yeh andhara bhlla kise nahi mila
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #9 on: June 08, 2006, 08:51:54 AM » |
|
shukriya Rajbir .................. aapka yun hosala badana accha lagta hai.... thanks again.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Meena is back
Guest
|
|
«Reply #10 on: June 08, 2006, 04:56:02 PM » |
|
bohot khoob humtum ji aur ranjana sis!! behetarin shayar lage hue hai yaha to. hum to kuch nahin lapke samne ekin bin likhe bhi nahin ja sakhte na:
saugat-e-sihq gar tujhe mili hai to koi baat nahin, tum bhi to kabhi mere apne hi te, daman mera bhara hai kanch ketukdon se pal bar me toot gaye jo woh sapne hi te!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #11 on: June 08, 2006, 04:57:46 PM » |
|
Bahut khoob Ranjana Ji ... Dard hi dard hai dil mein khushi ki koi aas nahin Zinda hoon mein lekin jeene ka koi ehsaas nahin Guzre woh zamane jab teri deed ko taraste they Dil ban gya hai sehra jisko kissi ki koi pyaas nahin Stayegi ik din meri yaad tumko iss kadar sanam Roya karegi soch kar ke "HumTum" paas nahin!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #12 on: June 08, 2006, 05:00:33 PM » |
|
Bahut khoob Meena ji Tere liye sapne they jo pal bhar mein toot gaye Lekin, mere liye woh zindgi ka sarmaya tha Tu to boon legi phir se naye sapno ko Lekin Meiney kho diya hai sab jo zindgi se paya tha !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #13 on: June 09, 2006, 03:31:26 AM » |
|
bahut khub Meena aur Humtum ji..........shukriya......
jab honge nahi HUMTUM paas toh unki yaade toh pass hamare hongi jo geet likhe hai unhone hamare liye woh sogaate toh hamare pass hongi.................. :D
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #14 on: June 09, 2006, 03:38:28 AM » |
|
ek aansu abhi bhi hai meri palko.n mein ruka hua aayenge woh hamse milne bas hai dil isi umeed per tika hua
ek deep payar ka jalaya thaa hamne hai wahi deep mere dil mein abhi bhi jalata hua
keh denge hum mout se bhi ki na woh aaye abhi yahan abhi bhi meri nazaro main hai unke aane ka intzaar ataka hua
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|