-Sougaat-E-Ishq-

by HumTum is back on June 07, 2006, 10:17:06 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2176 times)
HumTum is back
Guest
«Reply #15 on: June 09, 2006, 10:44:37 AM »
Quote from: "ranjana"
bahut khub Meena aur Humtum ji..........shukriya......

jab honge nahi HUMTUM paas toh
unki yaade toh pass hamare hongi
jo geet likhe hai unhone hamare liye
woh sogaate toh hamare pass hongi.................. :D



Hahaha bahut khoob ranjana ji Usual Smile  abhi paas hon to muhh fer lete ho jab duur ho jaunga to yaadooN ki sougate sambhaloge ...  Usual Smile


Aaj paas hoon to nazarien milate nhi ho
Jab duur ho jaunga to yaad kiya karoge
Yeh kasia hai tumhara pyaar sanam
Jo mere jane ke baad kiya karoge !!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ishq hai by nishita in Songs & Lyrics « 1 2 3 4 »
Ishq by c00l in Shayri for Khumar -e- Ishq
ishq ishq na kareya kar by dil apna punjabi in Pain in Love : Punjabi poetry
Chaley aaou, ghuleyn phir sey, wasl kee sougaat dey-ley! by abdbundeli in Ghazals
Aik sougaat muskuraaney kee! by abdbundeli in Shairi - E - Zindagi
HumTum is back
Guest
«Reply #16 on: June 09, 2006, 10:59:19 AM »
Quote from: "ranjana"
ek aansu abhi bhi hai meri palko.n mein ruka hua
aayenge woh hamse milne bas hai dil isi umeed per tika hua

ek deep payar ka jalaya thaa hamne
hai wahi deep mere dil mein abhi bhi jalata hua

keh denge hum mout se bhi ki na woh aaye abhi yahan
abhi bhi meri nazaro main hai unke aane ka intzaar ataka hua


waah Ranjana ji Bahot khoob  Usual Smile


Hai umeed ka diya roshan mere jigar mein
Intzaar hai uske aane ka meri nazar mein

woh mile jo to mil jaye manzile bhi mujhe
Shole bhi phool ban jaye mere safar mein

woh aaye na aaye yeh uski hai razza, lekin
Palke bichaye baithe hai  reh-guzar mein !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #17 on: June 09, 2006, 11:02:53 AM »
sadke jawan...kya likha hai Ranjana ji n Humtum ji...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #18 on: June 09, 2006, 11:03:48 AM »
Quote from: "HumTum is back"
Quote from: "ranjana"
bahut khub Meena aur Humtum ji..........shukriya......

jab honge nahi HUMTUM paas toh
unki yaade toh pass hamare hongi
jo geet likhe hai unhone hamare liye
woh sogaate toh hamare pass hongi.................. :D



Hahaha bahut khoob ranjana ji Usual Smile  abhi paas hon to muhh fer lete ho jab duur ho jaunga to yaadooN ki sougate sambhaloge ...  Usual Smile


Aaj paas hoon to nazarien milate nhi ho
Jab duur ho jaunga to yaad kiya karoge
Yeh kasia hai tumhara pyaar sanam
Jo mere jane ke baad kiya karoge !!


wah :D .............

yeh toh sare aam ilzaam hai hum per
aap toh karte hai hamare payar per shaq  sanam
ham toh sara din aapki hi raha takte  hain
kaun kehta hai ki hum aapko dekh ke mohh fer lete hain........ :D
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #19 on: June 09, 2006, 11:08:50 AM »
Shukriya Nikki  :D

Ranjana Ji ......


Intzaar hamara sara din aap kiya karte ho
Yun hi juth bol bol ke hmara dil liya karte ho
Aati hai aap ko kaffi adyein fasane ki sanam
Zulm khud kar ke ilzaam hum pe diya karte ho !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #20 on: June 09, 2006, 11:16:54 AM »
Quote from: "HumTum is back"
Quote from: "ranjana"
ek aansu abhi bhi hai meri palko.n mein ruka hua
aayenge woh hamse milne bas hai dil isi umeed per tika hua

ek deep payar ka jalaya thaa hamne
hai wahi deep mere dil mein abhi bhi jalata hua

keh denge hum mout se bhi ki na woh aaye abhi yahan
abhi bhi meri nazaro main hai unke aane ka intzaar ataka hua


waah Ranjana ji Bahot khoob  Usual Smile


Hai umeed ka diya roshan mere jigar mein
Intzaar hai uske aane ka meri nazar mein

woh mile jo to mil jaye manzile bhi mujhe
Shole bhi phool ban jaye mere safar mein

woh aaye na aaye yeh uski hai razza, lekin
Palke bichaye baithe hai  reh-guzar mein !!


wah ji wah .......yahan toh dard mein ishqe aa gya............ :D


aaj sun ke unki aah mera bhi dam nikal gya
bichaayi jo nazre unhone hamari rahe mein
toh sara aalam badal gaya ...............

dekhate rahe hum bhi rasata un ka  palke bichaiye hue
woh aaynge jarur yahi bethe rahe aas lagaye hue

aaj jab mili unki khabar aane ki
khilane lagi hai rangat bhi mere gaalo.n ki

dekh ke unko dil ko qarar aa hi gaya
aaj mujhe  dekh ke unka yeh intazaar
unper bepanha payar aa hi gya.....................
Logged
nikki
Guest
«Reply #21 on: June 09, 2006, 11:18:11 AM »
izaazat ho to hum bhi kuch farmayein??

dekhiye hum yahan sirf aapke liye aaye hain
saath mein saugaat-e-ishq bhi laye hain
maana aap samajh nahi paate hamari baat ko
fir bhi na jaane kyun hum dekhte hain aap hi ke khoaab raat ko

har raat mujhe jagana kya tumhein acha lagta hai
pyar karna aur chupana kya acha lagta hai

yun mujhe dard-e-mohabbat se sataoge to kya paoge
mujhe chod kar jaane ki sochoge to ek kadam na chal paoge
Logged
ranjana
Guest
«Reply #22 on: June 09, 2006, 11:19:48 AM »
wow too gud Nikki.................kya farmaya aapne toh bahut hi sundar
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #23 on: June 09, 2006, 11:22:34 AM »
Hahaha ......  Aji dard ishq ki hi to sougaat hai .. so jha dard hoga wha yaqeenan ishq ka zikr bhi aayega .....  bahut khoob likha hai aap ne Ranjana ji .. Usual Smile



Afsoos yahi ke ankhon mein sirf intzaar reh gya
woh na aaya yha aur adhura mera pyar reh gya

Bujh gya jab uske aane ki aas ka diya dil mein
Jigar mein aag si aur dil mera be-qraar reh gya

Mila ishq karne ka humko yeh sila ke ab to sanam
Na khushi ki umed rhi "HumTum" sougwar reh gya !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #24 on: June 09, 2006, 11:24:37 AM »
thank u Ranjana ji...n too good both of u
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #25 on: June 09, 2006, 11:30:07 AM »
Quote from: "nikki"
izaazat ho to hum bhi kuch farmayein??

dekhiye hum yahan sirf aapke liye aaye hain
saath mein saugaat-e-ishq bhi laye hain
maana aap samajh nahi paate hamari baat ko
fir bhi na jaane kyun hum dekhte hain aap hi ke khoaab raat ko

har raat mujhe jagana kya tumhein acha lagta hai
pyar karna aur chupana kya acha lagta hai

yun mujhe dard-e-mohabbat se sataoge to kya paoge
mujhe chod kar jaane ki sochoge to ek kadam na chal paoge


waah waah Nikki ji ... mind blowing Usual Smile


Intzaar hum bhi kiya karte hai aap ka raatoN ko
Kyun samjh nahi pate aap hamare jazbatooN ko

Gar aap humey iss kadar staoge to bhalla hum
Kaseey sambhal pategey apne in haalatooN ko

Dekhiye haan ya na to kar dijiye hamari iljah ka
Jawab jo hoga rakh lenge hum un sougatooN ko !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #26 on: June 09, 2006, 11:35:13 AM »
Puzzled ! kiska intzaar...kya likha hai...excellent stuff..

aji hum abb kya kahein
itni baar to bataya hai

woh aap hi hain jinhone hamara dil churaya hai
humein to chain nahi hai ek pal bhi
fir bhi aap kehte ho ke ishq chupaya hai

yeh to aapki ziyadati hogi humpar
jo bharosa nahi karoge humpar kadam-2 par
Logged
ranjana
Guest
«Reply #27 on: June 09, 2006, 11:42:02 AM »
wah bahut khub Nikki and Humtum .......... :D

aaj woh kaisi baate sunanae lage
jitna ki hamne unhe bhulane ki koshish
woh utne hi hame yaad aate rahe,

kehte they woh hamse ruth kar ki
ab tumse umar bhar na bolenge
par raat ko khawabo mein aa aa ke hame manate rahe

na jaane yeh kin nazaro se dekha unhone mujhe
ki kya kehte  ab hum unse
mere toh sare  shikve-gile hi jaate rahe.................
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #28 on: June 09, 2006, 11:53:30 AM »
Nikki JI ... aaj aap kya kha ke aayi hai .. bahoot khoob !!


Mana ke chupaya nhi lekin kha hai izhaar kiya
Humne to pal pal uss lamhe ka hai intzar kiya

Dekhiye zindgi hai choti aur waqt hai bahut kum
Aap bhi kar lo ab humne to kab ka swikar kiya

Kahi bahut der na ho jaye izhaar-e-ishq mein
Humne hamesha aap ko iss baat se kabardar kiya !!



Ranjana Ji ....   aap ke toh kya kehne ....  Usual Smile


khwabooN mein aate hai tumko mnane sanam
Hai ishq kitna tum se yeh tumko dhikane sanam

Gar ab bhi aap yun muhh fer liya karrenge to
Ik din aap ki zindgi se yun chale ayegey hum

Kiya karoge ro-ro ke fariyade humse milne ki
Tab hum gumnami ke anderoN mein honge gum !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #29 on: June 09, 2006, 11:53:42 AM »
superbb Ranjana di....n thanx a lot

woh agar humse roothne ki baat karte hain to bura lagta hai
agar door jaane ki khabar dete hain to bura lagta hai
har pal khoyi si rehti hun khayalon mein
aakhir kyun mujhe uski doori ka ehsaas bura lagta hai
kya yeh saugaat-e-ishq hai jiska asar mujh par hua lagta hai
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:23:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer