mistufer
Guest
|
Mera koTha mera muqaddar hai Kaun kahta hai yeh mera ghar hai
Haar ke zindagee se aayee hooN Main yahaN kub Khushee se aaye hooN
Main ne pahne jo paaoN men ghuNgroo Mujh ko kahne laga tawaaiif too
Yeh nah socha keh Gham ki maaree hooN Apni majbooriyoN se haari hooN
Jab baghawat meN sir uThaya hai Main ne zalim ka koRa khaya hai
Ek pal bhee jo paaoN rok liya Mujh ko subne lahoo lahaan kiya
Yaad aata hai mujh ko bhee bachpan Mere maaN-baap unka woh aaNgan
mere dil per bhee mastee chaayee thee maiN ne bhe ik patang uRaayee thee
Aaj Khud bun gayee hooN ek pataNg Roz uRtee hoon ek Door ke sung
Mere paaon haiN aur ghuNgroo haiN Ab yeh aanKheN haiN aur aansu haiN
Muskurahat ka ab nah koyii nishasn Naam tou ab bhi hai mira “Muskaan”
Kaun hai jis se apna Haal kahoon Sub yeh kahte haiN main tawaaiif hooN
Nira
[/color]
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
_Vicky_
Guest
|
|
«Reply #1 on: May 29, 2009, 03:08:24 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
deepika_divya
Guest
|
|
«Reply #2 on: May 29, 2009, 03:18:32 PM » |
|
Waha Nira bahoot bahoot Khoob.. bahoot shandar likha hai
Welcome to Yoindia again!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mistufer
Guest
|
|
«Reply #3 on: May 29, 2009, 03:22:50 PM » |
|
paata hai sab se jayada main tumhare reviews miss karti thi aaj yahan aakar vo kami miit gayi, dard apna ho ya kisi aor ka dard toh dard hi hota hai tumhe pasand aayi rachna bahut bahut shukriya nira didi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mistufer
Guest
|
|
«Reply #4 on: May 29, 2009, 03:25:19 PM » |
|
Waha Nira bahoot bahoot Khoob.. bahoot shandar likha hai
Welcome to Yoindia!
sophi ji aapke swagat ka shukriya. aapko rachna pasand aayi dilse shukriya adaa karti hoon yunhi saath dete rahiyega nira
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
Rau: 166
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:272 days, 6 hours and 11 minutes.
Posts: 11814 Member Since: Sep 2006
|
|
«Reply #5 on: May 29, 2009, 03:34:49 PM » |
|
Bahut Bahut Khoob Niraji..Har Ek lafz Duniya Bhar ka Dard Bayaan karta Hai..bahut Ache..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajbir
Guest
|
|
«Reply #6 on: May 29, 2009, 03:41:05 PM » |
|
Nira Excellent ! Superb ! Nice to see you after long time. (pm bhi mil gaya tha)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mistufer
Guest
|
|
«Reply #7 on: May 29, 2009, 03:48:24 PM » |
|
Bahut Bahut Khoob Niraji..Har Ek lafz Duniya Bhar ka Dard Bayaan karta Hai..bahut Ache.. khwaish ji aap yahan aaye meri rachna padhi hausla afzaayi ka bahut bahut shukriya. nira
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #8 on: May 29, 2009, 03:49:16 PM » |
|
Bohot Khoob Nira Ji...Bohot hi jalti hui si hai ye rachna....Bohot Khoob !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mistufer
Guest
|
|
«Reply #9 on: May 29, 2009, 03:50:18 PM » |
|
Nira Excellent ! Superb ! Nice to see you after long time. (pm bhi mil gaya tha) hey rajbir aapka bahut bahut shukriya yunhi saath rahna yahan muje acha lagega nira nira
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajbir
Guest
|
|
«Reply #10 on: May 29, 2009, 03:52:32 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mistufer
Guest
|
|
«Reply #11 on: May 29, 2009, 03:53:26 PM » |
|
Bohot Khoob Nira Ji...Bohot hi jalti hui si hai ye rachna....Bohot Khoob !! celmira ji kabhi kabhi jo sab nahi dekhte hum dekh lete hain iss dard bhari duniya mein aapko pasand aayi tahreer dilse shukriya adaa karti hoon nira
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mistufer
Guest
|
|
«Reply #12 on: May 29, 2009, 04:01:57 PM » |
|
waah waah Nira ji behad acha likha hai aapne tareef ke lie lafz nahi bahot hi ache tarah se aapne dard ko suna aur likha mind blowing creation kaash ji aap sab ka pyaar aor saath milta rahe koshish karoongi kuch achi rachnayen likhiti rahoongi yahan aapko dard se likhi yeh rachna pasand aayi dilse shukriya adaa karti hoon nira
|
|
|
Logged
|
|
|
|
madhuwesh
Guest
|
|
«Reply #13 on: May 30, 2009, 01:27:00 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
SARVESH RASTOGI
Guest
|
|
«Reply #14 on: May 30, 2009, 02:11:15 AM » |
|
Bahut khoob Nira Ji SARVESH RASTOGI
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|