!!! Sukoon-e-Qabr !!!

by angel4u on May 14, 2007, 05:09:37 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 10
Print
Author  (Read 8171 times)
angel4u
Guest
«Reply #15 on: May 27, 2007, 05:55:34 PM »
Thanks JHL..

And this was really beautiful.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
woh aaye qabr par meri aur kehne lage..... by jianrangrej in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~~~~ Meri Qabr Bikharti Hai ~~~~ {Angel} by angel4u in Shayri-E-Dard
Qabr Main Sone De by Roja in Shayri-E-Dard
Qabr Ke Sannate _______________ {Angel} by angel4u in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Teri Qabr Ke Qareeb Hum.. by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #16 on: June 03, 2007, 04:23:20 PM »
Thanks a lot Angel for appreciation ...
And why dint you wrote anything here. You have broken the link ...
No come one write something ...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #17 on: June 03, 2007, 05:41:51 PM »
Ok i will write something..

Samundar sama gaya hai aankhon mein meri,
Na jaane kahan le jaye ye tanhayi meri,
mujhe to ab qabr ke siwa kahin sukoon na milega,
yehi sada de rahi hia ab to zindagi meri...
Logged
ANKUR_CRAZY
Guest
«Reply #18 on: June 04, 2007, 05:19:23 AM »
Quote from: "angel4u"

Kehte Hai Duniya Wale Kyon Qabr Mere Is Naye Makaan Ko,
Ye Naya Ghar Mera Taj Mahal Se Zyada Khoobsoorat Hai,

Sukun Mila Na Jeete Jee Mujhe Ek Pal Ka Us Duniya Mein,
Is Tanhayi Mein Maine Jannat Sa Sukoon Paaya Hai,

Wahan Jahan Pairon Tale Khud Apna Saaya Kuchal Jaata Tha,
Yahan Is Mitti Ki Chadar Ne Mujhe Kitna Aaram Dilaya Hai,

Na Yahan Pe Aansu Hai, Na Hi Gam-O-Dard Kisi Baat Pe,
Meri Maut Ne Mera Har Dard Bhulaya, Har Aansu Chhupaya Hai,

Us Duniya Ki Jagmagahat Mein Bheed Mein Bhi Tanhayi Thi,
Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai,

Khela Tha Jiske Aanchal Tale Mera Bachpan Us Maa Ne Ehsaan Kar Diya,
Qafan Ki Jagah Mere Chehre Ko Usne Apni Mamta Ka Aanchal Odhaya Hai,


Thak Jaate The Jab Qadam Bich Raah Mein, Qaandhon Pe Bitha Lete The,
Abbu Ne Mujhe Aakhri Safar Mein Apne Qaandhon Ka Sahaara Diya Hai,

Zindagi Ki Raahon Pe Jisne Ungli Pakadke Chalna Sikhaya,
In Qabr Ke Andheron Mein Bhi Aaj Unhone Rasta Dikhaya Hai,
,

Kaha Maine Na Jao Yahan Chhod Ke Mujhe Akela, Dar Lagta Hai Is Andhere Se,
Kya Karenge Wo, Jab Saanson Ne Hi Dhadkan Se Rishta Naa Nibhaya Hai,

Boli Maa, So Jaa Meri Bachhi Is Andhere Mein Tujhe Sadiyon Rehna Hai,
Haar Gayi Aaj Main, Isliye Farishton Ke Hawale Aaj Tujhe Kiya Hai,

Maine Kaha Maa, Aansu Na Baha Mujhe Dar Nahi Lagta In Andheron Se,
Samajh Lena Aapne Apni Bachhi Ka Ghar Basa Ke Use Vida Kiya Hai,

Gaye Ghar Mere Maa Aur Abbu, Gale Se Lagaya, Kaha Mujhe KHUDA HAFIZ,
Hafiz Ab Khuda Hai Sirf Mera, Meri Rooh Ka Wohi Rakhwala Hai,

Yaad Aati Hai Maa Ki God Jispe Sar Rakhke Har Raat Guzari Thi,
Is Sard Mitti Ki Chaadar Mein Maa Ki God Ki Thandak Samayi Hai,

Ye Kiski Aahat Hai Jo Badh Rahi Hai Meri Jaanib Dhire Dhire,
Na Jagana Mujhe, Maine Sadiyon Baad Apni Aankhon Ko Band Paaya Hai,

Kaise Sambhalun Main Is Bejaan Si Dhadkano Ko ANGEL,
Mera Sanam Mujhe Khoobsurat Gulabon Se Sajane Aaya Hai,

Jo Na Tha WaaQif Mere Kisi Dard Se Jab Main Saans Leti Thi,
Aaj Usne Meri Qabr Ko Na Jaane Kyon AshQon Se Bhigoya Hai,

Ya Khuda Doob Na Jaaye Mera Ghar In AshQon Ke Sailaab Mein,
Mere Ghar Ko Na Tabaah Karo, Yehi Mera Aakhri Thikana Hai...
* * * * *


that was xcellent ........
beautiful ........
such a nice poem
Logged
angel4u
Guest
«Reply #19 on: June 04, 2007, 05:25:18 PM »
Thanks re ankur Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #20 on: June 05, 2007, 06:40:23 AM »
Ajel want to tell u Its a wonderful poem by U.. its really amazing.. each & every lines is very touching.. Beautiful creation by u..... Its really touch my heart.. Keep writing...

Love
Divya
Logged
angel4u
Guest
«Reply #21 on: June 06, 2007, 05:56:04 PM »
THanks divya.
bahut achha laga aapka reply dekhke,
take care
god bless.
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #22 on: June 09, 2007, 05:44:01 PM »
Quote from: "angel4u"
Ok i will write something..

Samundar sama gaya hai aankhon mein meri,
Na jaane kahan le jaye ye tanhayi meri,
mujhe to ab qabr ke siwa kahin sukoon na milega,
yehi sada de rahi hia ab to zindagi meri...



Tanhaai bhari zindagi jeena mushkil ho jaata hai,
Paagal tab hota hoon jab wo bhulakar mujhe jaata hai,
Dil rota hai mera jab unki yaadein hame satati hai,
Par lab muskurate hai wo jab khwaab mein aa jaata hai ...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #23 on: June 09, 2007, 05:59:14 PM »
Meri har muskurahat mein koi ashq muskurata hai,
uski berukhi se dhadkano ka karvan ruk jaata hia,
kaise samjhaun aaj bhi hai mohabbat us sangdil se,
par dil uski bewafai dekh ke bas sehem ke reh jaata hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #24 on: August 18, 2007, 07:23:31 PM »

In Andheron Mein Ajab Se Khauf Ke Kaarvan Rehte Hai,
Meri Qabr Ke Sannate Aapas Mein Batein Karte Rehte Hai,

Yahan Par Ujale Kisi Beemari Ke Shikar Lagte Hai,
Thak Ke Mere Qafan Pe Karrahte Hue Bas Soye Rehte Hai,

Dhundti Hoon Ke Kash Koi Darwaza Bahar Ki Janib Jata Ho,
Mere Ashq Khuli Hawaon Mein Bikharne Ko Taraste Hai,

Aaj Koi Phool Nahi Chadha Meri Mazaar Pe Jaane Kyon,
Kya Ab Gulaab Us Bahar Ki Duniya Mein Nahi Mehekte Hai?

Masroofiyat Hai Bahut Mere Apno Ko Mujhe Pata Hai,
Chalo Phir Bhi Hum Is Qabr Mein Bas Intezaar Karte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #25 on: June 26, 2008, 02:29:02 PM »
:|
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #26 on: July 15, 2008, 08:39:26 AM »
...ooops sorry angel...now m the culprit as i broke the link...but anyways ur last post is beautiful as usual...keep writing...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #27 on: July 15, 2008, 02:25:22 PM »
Thanks... atleast start continuing the link Usual Smile
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #28 on: August 05, 2008, 10:02:38 PM »
Hum bhi kayi baar in tanhaaiyo ke haatho marte hai,
Phir unki yaado mein aate hai aur ubharte hai ...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #29 on: August 06, 2008, 02:32:13 AM »
Yaadon se usne mujhe apni juda kar bhi diya ab,
bahut chaha tha meri Qabr ki mitti ko chhu to le ab,
Fursat na mili use zamane ke gamon se kabhi,
Meri Qabr ki Mitti bhi patthar banne lagi hia ab... sad5
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:20:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.247 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer