Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi

by Pooja on July 23, 2004, 10:22:46 PM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14
Print
Author  (Read 14526 times)
Pooja
Guest
«Reply #150 on: March 26, 2007, 01:34:30 PM »
Thanks Waheed and Veer ji!!!
AKS ji app ayer aor likhe bina gaye... ab yah to apki taraf se Beimani ho gai sad5

her Umeend ka darwaza khukhata liya
her tarah se unko ajmaah liya
salo saal main bhi jo na ho saka mera
kayun aise pathar dil se, dil laga liya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mat karo koi wada jise tum nibha na sako, by jaffartaufique in Shayri for Khumar -e- Ishq
kyo nahi nibha patey hai hum.... by yogi in Shayri for Dard -e- Judai
vafa tu na nibha saka by mehhekkk in Shayri for Dard -e- Judai
Yeha Wada Raha... by Aansoo in Shayri for Khumar -e- Ishq
kisi ajnabi ko mera likha suna raha tha woh by hina ki talsah in Other Languages
pushp24
Guest
«Reply #151 on: March 26, 2007, 04:12:06 PM »
nice pooja...
ek ummeed pe hi hum sab jiye jaate hain...
kutch log hain jo har pal aajmaye jate hain...
hum bhi hain unhi mein se jinhe aazma rahe ho tum...
kehte ho patthar dil, phir bhi dil laga rahe ho tum..

Logged
Pooja
Guest
«Reply #152 on: April 04, 2007, 05:43:28 PM »
Na hai koi umeend, na hi ab jagana koi
Mujko meri tanhai se na bulana koi

Her roshini ne andhera mujhe dikhaya hai
Koi rah, koi nai roshini na dikhana koi

Gumo se, mera sath bahoot purana hai
Mere jakhmo ko, ab aor na satana koi

Na hai koi umeend, na hi ab jagana koi
Mujko meri tanhai se na bulana koi
Logged
paani
Guest
«Reply #153 on: April 05, 2007, 05:26:30 AM »
Quote from: "Pooja"
Gham-e-Hayaat Ka Jhagda Mita Raha Hai Koi.
Chale Bhi Aao Ke Duniya Se ja Raha Hai Koi.
Kaho Ajal Se Zara Do Ghadi Thahar Jaye,
Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi.


WAH.....
Logged
Pushkar_singh
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
47 minutes.
Posts: 87
Member Since: Jan 2007


View Profile
«Reply #154 on: April 05, 2007, 08:16:50 AM »
nice one pooja ji.!!!!!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #155 on: April 05, 2007, 12:35:06 PM »
bahoot bahoot shukaria Paani ji and Pushkar ji!!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #156 on: April 06, 2007, 02:51:21 AM »
Quote from: "Pooja"
Na hai koi umeend, na hi ab jagana koi
Mujko meri tanhai se na bulana koi

Her roshini ne andhera mujhe dikhaya hai
Koi rah, koi nai roshini na dikhana koi

Gumo se, mera sath bahoot purana hai
Mere jakhmo ko, ab aor na satana koi

Na hai koi umeend, na hi ab jagana koi
Mujko meri tanhai se na bulana koi


waah bahut achchhe pooja ji!!! Usual Smile

Mehfilon mein yoon hi muskuraata hoon main!
Apne gham ko yoon hi chhupata hoon main!

Dard jab bhi had se guzarne  lagta hai to,
tanhai mein aansoo bahata hoon main!

Ujde gulshan mein hain ab bhi kuchh jhaadiyaan baaki,
apne ashkon se unhein hi seench aata hoon main!
[/color]
Logged
pushp24
Guest
«Reply #157 on: April 06, 2007, 04:52:31 AM »
Quote from: "Pooja"
Na hai koi umeend, na hi ab jagana koi
Mujko meri tanhai se na bulana koi

Her roshini ne andhera mujhe dikhaya hai
Koi rah, koi nai roshini na dikhana koi

Gumo se, mera sath bahoot purana hai
Mere jakhmo ko, ab aor na satana koi

Na hai koi umeend, na hi ab jagana koi
Mujko meri tanhai se na bulana koi


ummeed hai tere aane ki ab bhi mujhko,
teri tanhi se tujhe isliye bula raha hoon...

gum ke andhere door ho jayein is roushni se,
rahon me teri isliye ye dil jala raha hoon...

gumon se rista hai aisa jaise rishta ho tujhse,
fir bhi apno ko chod tere jakhmon me marhum laga raha hoon...

ummeed hai tere aane ki ab bhi mujhko,
teri tanhi se tujhe isliye bula raha hoon...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #158 on: April 13, 2007, 04:50:01 PM »
bahoot khoob AKS ji and Pushp ji!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #159 on: April 13, 2007, 04:50:42 PM »
AKS JI...

Mehfillo mai ab hum jaate nahi
Dost hai ki ab mere ghar atte nahi

Tanha hai yah zindagi, tanha mera ghar
Kisi aor ko shayad hum, ab chahte hi nahi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #160 on: April 13, 2007, 04:53:43 PM »
PUSHP JI....

Na hi koi umeend, na hi ab koi intzaar hai
Samjh gay ahai yah dil, tu kitna lachar hai

Paise hai suniya teri, paise hi tera ghar-baar hai
Hum rahe muhobbat ki duniya main, shayad humara jeena hi bekaar hai

Dard hai itne zalim, phir is dard se ab payaar hai
Na hi koi umeend, na hi ab koi intzaar hai
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #161 on: April 14, 2007, 03:13:16 AM »
Quote from: "Pooja"
AKS JI...

Mehfillo mai ab hum jaate nahi
Dost hai ki ab mere ghar atte nahi

Tanha hai yah zindagi, tanha mera ghar
Kisi aor ko shayad hum, ab chahte hi nahi


Shukriya Pooja ji!!! N Well written!!!

Bechaini aur tadap mujhko sone nahin dete!
Teri Ruswai ke khayal mujhko rone nahin dete!

Kis tarah bataun main apne dil ki haalat,
Mere dard mujhe hont kholne nahin dete!

Har taraf bikhre hain Raat ki kaali  siyaahi ke Dhabbe,
Yeh mere Muqaddar mein sahar hone nahin dete!
[/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #162 on: April 14, 2007, 05:03:24 AM »
wah kaya baat hai AKS ji bahoot khoob!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #163 on: April 14, 2007, 06:19:13 AM »
karein hum kya jo woh humse doori par hai
pash-o-pash duniya ki,har majboori mein hai
jeena ab mushkil hai,woh bhi jaante hain sab baat
lakh dua hai,lekin dhadkan bhi kamjoori mein hai....
Logged
pushp24
Guest
«Reply #164 on: April 14, 2007, 06:30:43 PM »
Quote from: "Pooja"

Paise hai suniya teri, paise hi tera ghar-baar hai
Hum rahe muhobbat ki duniya main, shayad humara jeena hi bekaar hai

nice pooja kaafi dinon baad reply mila,
pad kar achha laga...

ek ummeed hai ab tak tere aane ki,
ab tak mujhe tera intzaar hai...

lachaar ye dil ho nahin sakta,
humne bhi to kiya pyar hai...

bas muhobbat se hi to jindgi ji nahin jaati,
paison ka bhi to zindgi mein karobaar hai,

milte hi to rehte hain dard muhobbat mein,
bina dard ke ho muhobbat, wo muhobbat bekaar hai...
[/size]
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:18:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer