Taish- bachi-khuchi TAMEEZ dhundta hooN maiN...!!

by ghayal_shayar on June 08, 2013, 01:58:00 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 2996 times)
ghayal_shayar
Guest
«Reply #30 on: June 16, 2013, 01:11:31 AM »
diye mujhe haiN ishq me sanam ne tohfe bahut,
nishaaN haiN jinpe khooN ke vo kameez dhoNta hooN maiN...

bahut mila hun in adab ke logoN se janaab maiN,
hai 'taish' naam ka jo badtameez dhundta hooN maiN...

uffffffffff kya mast gazal kahi hai taish...... sachhiiiiii maza aagaya padhkar sply ye do sher to bas  chha gaye ........
aaj se tumhara naam badtameez taish hi rakh dete hain kyun chalega naa... Huh?

anamika ji pehle to shukriya is ghazal ki tareef ke liye, aur waise aapka diya ye naam chalegaa nahin daudegaa ji, so do use it freely... tongue3 Winking
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
main tujh dhundta hoo by FArah in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khud Ki Pehchaan Dhundta Hoon...........Touhid by Mohammad Touhid in Miscellaneous Shayri
Taish- BEHLAA raha huN khud ko ya TADPAA raha hooN maiN...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2 3  All »
Taish- marasim EHTIYAATAN torr dena chaahta hooN maiN...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
Taish- main tera hooN, tu meri NAHIN...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
ghayal_shayar
Guest
«Reply #31 on: June 16, 2013, 01:14:29 AM »
Taish ji[/color] ,
is Ghazal ki jitni tareef kii jaye woh kam hain .
   
                       Hats off to you! To YOU SIR !

arghya ji aapka bahut bahut shukriya is izzat afzaayi ke liye, bas aage bhi aap humara saath yunhi nibhaate rahiyegaa...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #32 on: June 16, 2013, 01:15:26 AM »
wah kaya baat hai....bahoot khoob likha....

poooja ji tareef ka bahut bahut shukriya, bas aage bhi aap yuNhi hausla afzaayi karti raheN...!! Usual Smile
Logged
suman59
Guest
«Reply #33 on: December 15, 2013, 04:17:02 PM »
Bahut waqt baad ek din meN do ghazaleN likh paya huN, ya sach kahuN to beh'r seekhne ke baad shaayad pehle mauka hai ki ek din meN do ghazaleN likhi haiN, pata nahiN kaisi bani hai, par umeed hai jyada niraash nahiN karuNga aap sabhi ko...!!



khudaayi me bachi khuchi tameez dhundta hooN maiN,
jo aadmi ko aadmi ajeez dhuNdta hooN maiN...

ke baat meri saari maan.ni pade jo jeest ko,
to zindagi ke naam ki kaneez dhundta hooN maiN...

diye mujhe haiN ishq me sanam ne tohfe bahut,
nishaaN haiN jinpe khooN ke vo kameez dhoNta hooN maiN...

kabhi maiN bhi to unhe jaanuN jinhe sajde haiN kiye,
bataaye jo khuda vahi rameez* dhundta hooN maiN...

*learned

bahut mila hun in adab ke logoN se janaab maiN,
hai 'taish' naam ka jo badtameez dhundta hooN maiN...

Wah wah bahut umda ghazal  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
taish je aapko bahut daad
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:10:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer