Taish- BEADAB ishq hai...!!

by ghayal_shayar on July 14, 2013, 02:29:08 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2031 times)
ghayal_shayar
Guest
Bahut waqt safar me raha, to metro meN baithe baithe chand khayaal aaye, aur fir train ke lambe safar ke dauraan un khayalon ne kuch yunh ajeeb sa rukh liya, pata nahin kaisi bani hai, par umeed karta hun ki aapko jyada niraash nahiN kiya hoga...



muskurahat pe ashqoN ki chab ishq hai...
dard ki ye milawat ghazab ishq hai...

zindagi ki tamanna sabab ishq hai...
bekhudi ki khudi ko talab ishq hai,

usne dekha mujhe dard hota raha,
jo yahi ishq hai to ye kab ishq hai...

dekh auroN ko humse gale tum mile,
tere sadke hua beadab ishq hai...

aapki baat aati rahi baat meN,
meri har baat ka kyun sabab ishq hai...

pyar, ulfat, mohabbat ya ho aashiqui,
shaayaron ne kaha hai ye sab ishq hai...

dard dete hain jo muskura kar sanam,
dard se khush ho jata azab ishq hai...

koi ik shaqs to yuN mile humse bhi,
dekh jisko kaheN 'taish' ab ishq hai...

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Taish- ishq pe laagu ye KAHAAVAT nahiN hoti...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
Taish- mujhe ishq hi BEWAFA se hua hai...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
' Taish ' paagal hai ISHQ meN unke...!! by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Taish- ISHQ dil me kabhi agar rakhiye...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
TAISH—ishq andar tadapti MACHHLI hai...!! by ghayal_shayar in Ghazals
khujli
Guest
«Reply #1 on: July 14, 2013, 02:43:29 PM »
Bahut waqt safar me raha, to metro meN baithe baithe chand khayaal aaye, aur fir train ke lambe safar ke dauraan un khayalon ne kuch yunh ajeeb sa rukh liya, pata nahin kaisi bani hai, par umeed karta hun ki aapko jyada niraash nahiN kiya hoga...



muskurahat pe ashqoN ki chab ishq hai... icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch
dard ki ye milawat ghazab ishq hai...

zindagi ki tamanna sabab ishq hai...
bekhudi ki khudi ko talab ishq hai,

usne dekha mujhe dard hota raha,
jo yahi ishq hai to ye kab ishq hai...

dekh auroN ko humse gale tum mile,
tere sadke hua beadab ishq hai...

aapki baat aati rahi baat meN,
meri har baat ka kyun sabab ishq hai...

pyar, ulfat, mohabbat ya ho aashiqui,
shaayaron ne kaha hai ye sab ishq hai...

dard dete hain jo muskura kar sanam,
dard se khush ho jata azab ishq hai...

koi ik shaqs to yuN mile humse bhi,
dekh jisko kaheN 'taish' ab ishq hai...


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #2 on: July 14, 2013, 02:45:43 PM »
hahahahahaha qaalb saaheb muskuraahat pe ashqon ki chab hai ka matlab ye hai ki muskurahat pe ashqoN ki halki si chaap hai ya yun kahiye ki ashqon ki tasveer si hai...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: July 14, 2013, 03:02:08 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 16 hours and 48 minutes.
Posts: 18608
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #4 on: July 14, 2013, 03:10:28 PM »
waaah bohut umda taish ji
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #5 on: July 14, 2013, 03:25:34 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

pasand karne ka shukriya hriday saaheb, aage bhi aap yuNhi saath dete rahen...!!
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #6 on: July 14, 2013, 03:28:00 PM »
 Applause Clapping Smiley Applause  Clapping Smiley Applause
Logged
nashwani
Guest
«Reply #7 on: July 14, 2013, 03:57:14 PM »
Bahut khoob taish bhai..achha likha hai..happy9
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #8 on: July 14, 2013, 05:44:30 PM »
waaah bohut umda taish ji

saahill ji bahut bahhut shukragizaar huN aapko, ke aapne kosish ko pasand kiya...!!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: July 14, 2013, 06:12:40 PM »
muskurahat pe ashqoN ki chab ishq hai...
dard ki ye milawat ghazab ishq hai...

kya baat hai bahot khubb love4 icon_flower

zindagi ki tamanna sabab ishq hai...
bekhudi ki khudi ko talab ishq hai,

waahhhhhhh kya kehne taish miyan Clapping Smiley Clapping Smiley

usne dekha mujhe dard hota raha,
jo yahi ishq hai to ye kab ishq hai...

bilkul sahi.. ye to ishq nahi crybaby2 crybaby2

dekh auroN ko humse gale tum mile,
tere sadke hua beadab ishq hai...

waahhhhhhhhhhhhh love4

aapki baat aati rahi baat meN,
meri har baat ka kyun sabab ishq hai...

ishq hai unse to baat to ishq ki hi hogi Winking Winking love4

pyar, ulfat, mohabbat ya ho aashiqui,
shaayaron ne kaha hai ye sab ishq hai...

bahot khuuubbbb Applause Applause Applause

dard dete hain jo muskura kar sanam,
dard se khush ho jata azab ishq hai...

kya baat hai superbbbbbbb notworthy

koi ik shaqs to yuN mile humse bhi,
dekh jisko kaheN 'taish' ab ishq hai...

kab kahoge taish ye tum .. k ye ishq hai...  Winking Winking
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #10 on: July 14, 2013, 07:54:03 PM »
bahut khoob
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #11 on: July 14, 2013, 08:44:48 PM »
भाई बहुत खूब मज़ा आ आ गया
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #12 on: July 14, 2013, 10:21:38 PM »
Bahut waqt safar me raha, to metro meN baithe baithe chand khayaal aaye, aur fir train ke lambe safar ke dauraan un khayalon ne kuch yunh ajeeb sa rukh liya, pata nahin kaisi bani hai, par umeed karta hun ki aapko jyada niraash nahiN kiya hoga...



muskurahat pe ashqoN ki chab ishq hai...
dard ki ye milawat ghazab ishq hai...

zindagi ki tamanna sabab ishq hai...
bekhudi ki khudi ko talab ishq hai,

usne dekha mujhe dard hota raha,
jo yahi ishq hai to ye kab ishq hai...

dekh auroN ko humse gale tum mile,
tere sadke hua beadab ishq hai...

aapki baat aati rahi baat meN,
meri har baat ka kyun sabab ishq hai...

pyar, ulfat, mohabbat ya ho aashiqui,
shaayaron ne kaha hai ye sab ishq hai...

dard dete hain jo muskura kar sanam,
dard se khush ho jata azab ishq hai...

koi ik shaqs to yuN mile humse bhi,
dekh jisko kaheN 'taish' ab ishq hai...


waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaah rau hazir hai janaab Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
aqsh
Guest
«Reply #13 on: July 15, 2013, 12:11:58 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Achchi peshkash taish ji. mujhe pasand aayi aapki yeh kalaam. hazaron dili daad qubool kare..
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #14 on: July 15, 2013, 12:19:19 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:14:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer