Taish- vo phool hi ab FAKAT ek rang reh gaya...!!

by ghayal_shayar on May 10, 2013, 02:24:58 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1939 times)
ghayal_shayar
Guest
Bazm ko ek baar fir is nacheez ka salaam, muddatoN baad nazm sa kuch likhne ki kosish ki hai umeed karta hooN jyada niraash nahiN kiya hoga, khaamiyoN ke liye maafi ka talabgaar hooN...!! waise nazm se jyada muktak chand ki kavita si lag rahi ai ye.... Usual Smile


Waqt ki saakh se chand lamheN churaa loon, fir itminaan se khud ko sambhaalooN,, koi to bataaye mujhe is jahaaN men, marz-e-mohabbat ki kaun si davaa loon,, koi nahi milta hai isme sivaa tere, ab tu hi bata dil-e-khangushta ko aur kitna khangalooN,, mohabbat jab hui thi, tab to roka na tune, ab kaise ise duniyaa se chipaa loon,, waqt ki saakh se chand lamheN churaa loon………….




Mohabbat ki maiyyat pe ro raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha….


Haalat-e-ishq dekh ke dang reh gaya,
Mehboob ka daaman jo tang reh gaya.
Jis khusboo ke peeche deewana tha main,
Wo phool hi ab fakat ek rang reh gaya.
Us khusboo ki yaad me kho raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha….


Ashq palkoN ko sajaayeN to kya kareN,
SaaNseN jism ko sataayeN to kya kareN,
AansuoN me baha bhula dete ghum unka,
Gir ke tasveer unki banaayeN to kya kareN….
Un tasveeroN ko kaaNdhe pe dho raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha….


Zakhm, ashq, zillat aur hum,
Rahe saath jaise humdum..
Socha tha thoda aur jee looN,
Par tumne de di apni kasam.
Un kasmoN aur vaadoN pe ro raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha….


Teri yaadoN se khud ko chubho raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha….

HaaN sach apne ishq ki maut pe ro raha tha..........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Rang ulfat ka, wafaa ka pyaar ka kam ho gaya. by Ghulam Haider in Miscellaneous Shayri
kitabon mein rakha phool main reh gaya by saahill in Shayri-E-Dard
Taish- mera CHEHRA kho gaya chehroN me mere...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2 3  All »
Shikha phool pher zakham khila gaya by ishu_singh10 in Shayri for Dard -e- Judai
Taish- aankh me utraa to PAANI ho gaya...!! by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #1 on: May 10, 2013, 02:37:42 AM »
Bahut hi khoob dard bhari nazm likhi hai Bhushan jee, Mohabbat ki mayyat/Ishq ki maut waale misre mujhe theek nahiN lage. Baaqi nazm kaafi zordaar hai, yuN hi likhte rahiye aur hameiN nawaazte rahiye.
Logged
Bhupinder Kaur
Guest
«Reply #2 on: May 10, 2013, 02:38:37 AM »
Woh kehte hai, jab kuch jyada achai lage, toh uski khoobsurati ko bayan karne ke liye, hum nishabd reh jate hain, aur sochte hai, koi itna khoobsurat kaise ho sakta, thik waise hi, aapki nazm hai, jo jasbaato ki gehrayee tak choo jati hai.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: May 10, 2013, 08:21:35 AM »
waah waah excellent
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #4 on: May 10, 2013, 08:45:16 AM »
beutiful nazam and beutiful wording
Logged
mkv
Guest
«Reply #5 on: May 10, 2013, 10:41:23 AM »
Dard ka dariya,
sirf aah, aah, aur aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
Logged
suman59
Guest
«Reply #6 on: May 10, 2013, 11:34:36 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Waah excellant nazm. bahut daad Taish ji
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: May 10, 2013, 12:27:02 PM »
 Applause
  N I c e
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #8 on: May 10, 2013, 03:04:24 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: May 10, 2013, 05:26:47 PM »
Taish Sahaab Aadaab...!



Janab kya baat hai badi hi umdaa nazam kahi hai aapne.. pahle dono mukhde behad khoob lage ... Usual Smile

Bhai tusi v vadi dukhi aatma ho ... tongue3 bahut khoob lage raho..
Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...

Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
aqsh
Guest
«Reply #10 on: May 10, 2013, 05:35:16 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP
Dil ko choo gayi aapki yeh nazm taish jee. bahut achcha likha hai aapne. dili mubarakbad qubool kare..
Logged
laaiba
Guest
«Reply #11 on: May 10, 2013, 07:18:27 PM »
Bazm ko ek baar fir is nacheez ka salaam, muddatoN baad nazm sa kuch likhne ki kosish ki hai umeed karta hooN jyada niraash nahiN kiya hoga, khaamiyoN ke liye maafi ka talabgaar hooN...!! waise nazm se jyada muktak chand ki kavita si lag rahi ai ye.... Usual Smile


Waqt ki saakh se chand lamheN churaa loon, fir itminaan se khud ko sambhaalooN,, koi to bataaye mujhe is jahaaN men, marz-e-mohabbat ki kaun si davaa loon,, koi nahi milta hai isme sivaa tere, ab tu hi bata dil-e-khangushta ko aur kitna khangalooN,, mohabbat jab hui thi, tab to roka na tune, ab kaise ise duniyaa se chipaa loon,, waqt ki saakh se chand lamheN churaa loon………….




Mohabbat ki maiyyat pe ro raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha….


Haalat-e-ishq dekh ke dang reh gaya,
Mehboob ka daaman jo tang reh gaya.
Jis khusboo ke peeche deewana tha main,
Wo phool hi ab fakat ek rang reh gaya.
Us khusboo ki yaad me kho raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha….


Ashq palkoN ko sajaayeN to kya kareN,
SaaNseN jism ko sataayeN to kya kareN,
AansuoN me baha bhula dete ghum unka,
Gir ke tasveer unki banaayeN to kya kareN….
Un tasveeroN ko kaaNdhe pe dho raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha….


Zakhm, ashq, zillat aur hum,
Rahe saath jaise humdum..
Socha tha thoda aur jee looN,
Par tumne de di apni kasam.
Un kasmoN aur vaadoN pe ro raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha….


Teri yaadoN se khud ko chubho raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha….

HaaN sach apne ishq ki maut pe ro raha tha..........

bohat achi nazm taish ji ,...........bohat c daad,...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #12 on: May 10, 2013, 09:38:35 PM »
Waqt ki saakh se chand lamheN churaa loon, fir itminaan se khud ko sambhaalooN,, koi to bataaye mujhe is jahaaN men, marz-e-mohabbat ki kaun si davaa loon,, koi nahi milta hai isme sivaa tere, ab tu hi bata dil-e-khangushta ko aur kitna khangalooN,, mohabbat jab hui thi, tab to roka na tune, ab kaise ise duniyaa se chipaa loon,, waqt ki saakh se chand lamheN churaa loon………….

.......... speechlesss...............
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #13 on: May 10, 2013, 09:51:38 PM »
Bahut hi khoob dard bhari nazm likhi hai Bhushan jee, Mohabbat ki mayyat/Ishq ki maut waale misre mujhe theek nahiN lage. Baaqi nazm kaafi zordaar hai, yuN hi likhte rahiye aur hameiN nawaazte rahiye.

are saaheb jaan kar khushi ki aapko likha pasand aaya, waise sach kahuN to vo lines mujhe bhi bahut bekaar lagiN, par chunki ek sitting me likha hua tha, to waisa ka waisa hi maine post kar diya.... Usual Smile bas aage bhi aap yuNhi saath nibaate rahiye... Usual Smile
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #14 on: May 11, 2013, 04:11:52 AM »
Woh kehte hai, jab kuch jyada achai lage, toh uski khoobsurati ko bayan karne ke liye, hum nishabd reh jate hain, aur sochte hai, koi itna khoobsurat kaise ho sakta, thik waise hi, aapki nazm hai, jo jasbaato ki gehrayee tak choo jati hai.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bhupinder ji aapki tareef humare sar aaNkhoN pe, muddaton baad kisi ki tareef padh ke dil ko itna sukoon mila hai, ahcha laga jaan kar ki kisi ko alfaaz itne pasand aaye, umeed yahi karta huN ki aage bhi aapko pasand aane laayak likhta rahuN aur aapka saath yuNhi milta rahe...!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:15:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer