Taish- WAFA ka silaa aap kya dijiyegaa...!!

by ghayal_shayar on June 21, 2013, 02:24:41 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 1785 times)
ghayal_shayar
Guest
Bazm ko mera aadaab, ye bataate hue mujhe bahut khushi mehsoos ho rahi hai ki jald hi meri pehli kitaab "Khusboo Khareed Laaya HooN" chap ke taiyaar ho jaayegi... Usi kitaab ka pehle misra aur uski pehli ghazal aapko nazar kar raha huN, umeed karta huN jyada niraash nahiN karuNga...

"Tum hawaaoN ka raasta hi dekho,
Main to khusboo khareed laaya hooN...."




Wafaa ka silaa aap kya dijiyega,  
Yahi kijiyega bhula dijiyega...

Ye dil kya hai mai apni jaa bhi luta du,
Zara muskura kar daga dijiyega...

Sitamgar kahuN ke maseeha tumhe maiN,
Jo dil tod kar yuN dawaa dijiyega...

Puraane bahut ho chuke aashiqui meN,
Hume dard koi naya dijiyega...

Kati hai meri zindagi rote rote
Kabhi hans paduN to rulaa dijiyegaa...

YahaaN kaam hota nahiN muft koi,
Mujhe dijiyega to kya dijiyega...
 
Bahut ho chuka huN dhuaan jalte jalte,
Bachi raakh meri udaa dijiyegaa..

Kami ho kisi cheez ki jo kabhi to,
Meri ye mohabbat lutaa dijiyega...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hum ko yeh silaa bhi mohabbat ka mila hai by Zamir Ka Qaidi in Shayri for Khumar -e- Ishq
~Yeh wafa ka silaa hai ~ by honeyrose in Shayri for Dard -e- Judai
Humne Ye Silaa Paaya by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
silaa hota...K_A by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
wafaa ka kaisa silaa by saahill in Shayri-E-Dard
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 30 minutes.
Posts: 18608
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #1 on: June 21, 2013, 02:33:48 PM »
bohut khub taish ji  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #2 on: June 21, 2013, 02:50:31 PM »
Wah Wah!!! It's Awesome!!! Very Very Good!! Aap ki shayad yeh pehle ghazal hai jo mujhe itni pasand aayi hai. Har Ashaar Khubsurat Hai.

Aap Ko Aap Ki Kitaab Mubarak Ho!!! I wish u all the Good Luck And Success. If you have a soft copy, do share with us all.


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9
Logged
Bhupinder Kaur
Guest
«Reply #3 on: June 21, 2013, 02:52:52 PM »
WaaH WaaH Taishji Bahut Khoob..................

Aur, Aapne Kitaab ko naam bhi, bahut sahi diya, seedhe dil ko choo jaatha hai
"Khusboo Khareed Laaya Hoo"

"Tum hawaaoN ka raasta hi dekho,
Main to khusboo khareed laaya hooN...."


"Ye dil kya hai mai apni jaa bhi luta du,
Zara muskura kar daga dijiyega...

Puraane bahut ho chuke aashiqui meN,
Hume dard koi naya dijiyega...

Bahut ho chuka huN dhuaan jalte jalte,
Bachi raakh meri udaa dijiyegaa..

Kami ho kisi cheez ki jo kabhi to,
Meri ye mohabbat lutaa dijiyega"...

Wish You ALL THE VERY BEST dear

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
nashwani
Guest
«Reply #4 on: June 21, 2013, 03:05:52 PM »
Ye dil kya hai mai apni jaa bhi luta du,
Zara muskura kar daga dijiyega...

Kati hai meri zindagi rote rote
Kabhi hans paduN to rulaa dijiyegaa...
 
Bahut ho chuka huN dhuaan jalte jalte,
Bachi raakh meri udaa dijiyegaa..

Bahut khoob taish sahab..bahut umda peshkash rahi..Hazron dili daad rau ke sath..n all the very best..happy9
Logged
pawan16
Guest
«Reply #5 on: June 21, 2013, 03:07:02 PM »
Bhut khoob taish!!!!!!!

Congrates for Your Book "Khusbhu le aya hu".....name hi kafi hai.....keep going....
Logged
laaiba
Guest
«Reply #6 on: June 21, 2013, 04:09:04 PM »
Bazm ko mera aadaab, ye bataate hue mujhe bahut khushi mehsoos ho rahi hai ki jald hi meri pehli kitaab "Khusboo Khareed Laaya HooN" chap ke taiyaar ho jaayegi... Usi kitaab ka pehle misra aur uski pehli ghazal aapko nazar kar raha huN, umeed karta huN jyada niraash nahiN karuNga...

"Tum hawaaoN ka raasta hi dekho,
Main to khusboo khareed laaya hooN...."




Wafaa ka silaa aap kya dijiyega, 
Yahi kijiyega bhula dijiyega...

Ye dil kya hai mai apni jaa bhi luta du,
Zara muskura kar daga dijiyega...

Sitamgar kahuN ke maseeha tumhe maiN,
Jo dil tod kar yuN dawaa dijiyega...

Puraane bahut ho chuke aashiqui meN,
Hume dard koi naya dijiyega...

Kati hai meri zindagi rote rote
Kabhi hans paduN to rulaa dijiyegaa...

YahaaN kaam hota nahiN muft koi,
Mujhe dijiyega to kya dijiyega...
 
Bahut ho chuka huN dhuaan jalte jalte,
Bachi raakh meri udaa dijiyegaa..

Kami ho kisi cheez ki jo kabhi to,
Meri ye mohabbat lutaa dijiyega...

sab se pehle aapkee kitab kee aapko advance bohat mubarak ho taish jee,...................bohat achee our khubsoorat ghazal hai har sher oomdaa hai ,......bohat bohat c daad,...
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #7 on: June 21, 2013, 04:40:03 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Nice 1
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #8 on: June 21, 2013, 06:09:13 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 3 hours and 46 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #9 on: June 21, 2013, 07:28:48 PM »
Bazm ko mera aadaab, ye bataate hue mujhe bahut khushi mehsoos ho rahi hai ki jald hi meri pehli kitaab "Khusboo Khareed Laaya HooN" chap ke taiyaar ho jaayegi... Usi kitaab ka pehle misra aur uski pehli ghazal aapko nazar kar raha huN, umeed karta huN jyada niraash nahiN karuNga...

"Tum hawaaoN ka raasta hi dekho,
Main to khusboo khareed laaya hooN...."




Wafaa ka silaa aap kya dijiyega, 
Yahi kijiyega bhula dijiyega...

Ye dil kya hai mai apni jaa bhi luta du,
Zara muskura kar daga dijiyega...

Puraane bahut ho chuke aashiqui meN,
Hume dard koi naya dijiyega...

Kami ho kisi cheez ki jo kabhi to,
Meri ye mohabbat lutaa dijiyega...


Bahut Mubaraq Aur Bahut Khub Janaab Applause


shad o aabaad rahiye

shihab
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: June 21, 2013, 11:06:38 PM »
bohut khub taish ji  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

saahil saaheb pasand karne ka bahut bahut shukriya, bas yahi duaa karta huN ki aage bhi aapka saath yuNhi bana rahe...
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #11 on: June 21, 2013, 11:13:58 PM »
Bazm ko mera aadaab, ye bataate hue mujhe bahut khushi mehsoos ho rahi hai ki jald hi meri pehli kitaab "Khusboo Khareed Laaya HooN" chap ke taiyaar ho jaayegi... Usi kitaab ka pehle misra aur uski pehli ghazal aapko nazar kar raha huN, umeed karta huN jyada niraash nahiN karuNga...

"Tum hawaaoN ka raasta hi dekho,
Main to khusboo khareed laaya hooN...."
excellent,sir




Wafaa ka silaa aap kya dijiyega, 
Yahi kijiyega bhula dijiyega...

Ye dil kya hai mai apni jaa bhi luta du,
Zara muskura kar daga dijiyega...
wonderful,sir
Sitamgar kahuN ke maseeha tumhe maiN,
Jo dil tod kar yuN dawaa dijiyega...

Puraane bahut ho chuke aashiqui meN,
Hume dard koi naya dijiyega...

Kati hai meri zindagi rote rote
Kabhi hans paduN to rulaa dijiyegaa...

YahaaN kaam hota nahiN muft koi,
Mujhe dijiyega to kya dijiyega...
 
Bahut ho chuka huN dhuaan jalte jalte,
Bachi raakh meri udaa dijiyegaa..

Kami ho kisi cheez ki jo kabhi to,
Meri ye mohabbat lutaa dijiyega...


MR TAISH, WITH A SMALL RAU ,GR88888888888888888888888888888888888888888888888888888888888888888888888888888888888888 GHAZAL,SIR. AND CONGRATULATION FOR THE PUBLICATION.
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #12 on: June 22, 2013, 12:41:09 AM »
Bazm ko mera aadaab, ye bataate hue mujhe bahut khushi mehsoos ho rahi hai ki jald hi meri pehli kitaab "Khusboo Khareed Laaya HooN" chap ke taiyaar ho jaayegi... Usi kitaab ka pehle misra aur uski pehli ghazal aapko nazar kar raha huN, umeed karta huN jyada niraash nahiN karuNga...

"Tum hawaaoN ka raasta hi dekho,
Main to khusboo khareed laaya hooN...."




Wafaa ka silaa aap kya dijiyega, 
Yahi kijiyega bhula dijiyega...

Ye dil kya hai mai apni jaa bhi luta du,
Zara muskura kar daga dijiyega...

Sitamgar kahuN ke maseeha tumhe maiN,
Jo dil tod kar yuN dawaa dijiyega...

Puraane bahut ho chuke aashiqui meN,
Hume dard koi naya dijiyega...

Kati hai meri zindagi rote rote
Kabhi hans paduN to rulaa dijiyegaa...

YahaaN kaam hota nahiN muft koi,
Mujhe dijiyega to kya dijiyega...
 
Bahut ho chuka huN dhuaan jalte jalte,
Bachi raakh meri udaa dijiyegaa..

Kami ho kisi cheez ki jo kabhi to,
Meri ye mohabbat lutaa dijiyega...


waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah Applause Applause Applause Applause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #13 on: June 22, 2013, 12:46:15 AM »
sab se pehle, aap ki kitaab chhapne par apko tah e dil se mubaarkabaad Taish bhai, aur us ki kaamyaabee ke liye duaaein aur "all the very best".

aur is laajawaab ghazal par laakhon se bhi zyaada daad ... waaqayee ye is bazm ko ek naayaab tohfa hai....very very well done my friend !!!


Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #14 on: June 22, 2013, 01:37:34 AM »
Bhushan jee, bahut bahut mubarakbaad aapki book ke liye, aur kaamyaabi ke liye duaaeiN.

Janaab ye ghazal bahut pasand aai. bahut hi khoob likha hai aapne, khususann ye she'r bahut pasand aaya:

Sitamgar kahuN ya maseeha tumhe maiN
Jo dil tod kar yuN dawaa dijiyega
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:10:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.232 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer