Taiyaari ho gayi ...

by Just_Hate_Love on November 26, 2006, 05:06:04 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 844 times)
Just_Hate_Love
Guest
Ummeede dil ki bahut saari ho gayi,
Zaroorat padne par sabko apni zindagi pyaari ho gayi,
Tanhaai ka saamna karna hamare bas mein na tha,
Tabhi zindagi ki maut se milne ki taiyaari ho gayi,
Unki soch ko hum na badal paaye naahi samajh paaye,
Par usi soch mein guzari hui aakhri shaam hamari ho gayi,
Uski aankhon se nikli aansu ki boondo ne sar-e-aam,
Hame qaatil bana diya aur wo kehne ko bichaari ho gayi ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Makkhi kha gayi by Devdas_online in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
~~~De Gayi~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
*Dushwariyan Reh Gayi* by Roja in Shayri-E-Dard
ALVIDA KEH GAYI ... by BHONDU in Shayri-E-Dard
Lo din beeta, lo raat gayi by bekarar in Miscellaneous Shayri
angel4u
Guest
«Reply #1 on: November 26, 2006, 07:56:25 PM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Ummeede dil ki bahut saari ho gayi,
Zaroorat padne par sabko apni zindagi pyaari ho gayi,
Tanhaai ka saamna karna hamare bas mein na tha,
Tabhi zindagi ki maut se milne ki taiyaari ho gayi,
Unki soch ko hum na badal paaye naahi samajh paaye,
Par usi soch mein guzari hui aakhri shaam hamari ho gayi,
Uski aankhon se nikli aansu ki boondo ne sar-e-aam,
Hame qaatil bana diya aur wo kehne ko bichaari ho gayi ...


Uski aankhon se nikli aansu ki boondo ne sar-e-aam,
hame qaatil bana diya aur wo kehne ko bichaari ho gayi...

these lines are wonderful dear.
Good...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: November 27, 2006, 01:10:50 AM »
Bohat khoob JHL...
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #3 on: November 29, 2006, 05:49:40 PM »
wah...liked it very much JHL....keep posting!!!
 :D
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #4 on: November 29, 2006, 06:29:38 PM »
WoW JHL,lovely.
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: November 30, 2006, 01:41:53 PM »
Bohot Khoob JHL !!!
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #6 on: December 03, 2006, 05:37:55 PM »
Thanks a lot everyone for appreciation ...
Actually it took lot of time to make this one ...
I can say DIN RAAT EK KAR DIYE THE ...
Hope i have made a good one ...
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #7 on: December 05, 2006, 09:46:12 AM »
JHL bahut hi accha likha hai aapne.


milbne mai tujhko mujhse zamane lage
banane mai tujhko apna mujhse zamane lage
kehne mai tujhko dil ka haal zamane lage
alvida kehne mai tujhko kyo na zamana laga???
Logged
nikki
Guest
«Reply #8 on: December 05, 2006, 09:57:12 AM »
superbbb JHL N Vikas ji.....

kabhi usse milne ki umeed kiya karte the hum
magar woh kabhi humse mile nahi
abb to yun lagta hai humein intzaar karne ki hi bimaari ho gayi

pata chala woh duniya ki bheed mein kahin gum hai
aur hamari taraf se unhein khojne ki taiyari ho gayi
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #9 on: December 05, 2006, 10:03:27 AM »
thanks Nikki Ji

milte the jo roz humse
aaj na milne ke bahane talashte hai
jo kehte the humare hai
aaj kisi aur ke hue jaate hai......
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #10 on: January 07, 2007, 01:48:13 PM »
Rutt badal gayi mausam badal gaya par mohabbat nahi,
Zindagi badal gayi raasta badal gaya par meri chahat nahi,
Jis par hum gazal banaya karte the wo shaks bhi aaj badal gaya,
Aaj gazal ka matta bhi badal gaya par meri likhavat nahi ...
Logged
paani
Guest
«Reply #11 on: January 08, 2007, 03:59:04 AM »
ur wo kehne ko bichaari ho gayi ...

Nice JHL..
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #12 on: January 15, 2007, 06:10:18 PM »
Ishq ke phool bhi khilte hai bikhar jaate hai, Zakhm kaise bhi ho kuch roz mein bhar jaate hai, Us khwabo mein ab koi nahi aur hum bhi nahi,
Itne roz se aaye hai chup chap guzar jaate hai, Narm aawaz, bholi baatein, mohazzab lehja,
Pehli baarish mein hi sab rang utar jaate hai, Raasta roke khadi hai wahi uljhan kabse,
Koi puchhe to kahe kya ke kidhar jaate hai ...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:04:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer