tamam hui jaati hai

by bekarar on August 19, 2009, 07:15:03 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Author  (Read 4811 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
mustakbil ki tammannayen sabhi nakaam hui jaati hai
be-sabab safar me jindagi tamam hui jaati hai,

gaf-lat kahun ise ya haqikat jindagi ki,
sahar ke sitaaron me bhi ab shaam najar aati hai,

watan choda tha maine kamyabiyon ki talash me,
nakamyabiya is pardes me meri pah-chaan hui jaati hai,

ashqon ko dikhava kahte hain aur har aah ko bahana
meri hasti bhi ab dil bah-laane ka saman hui jaati hai,

muskara ke padhna "BEKARAR" har ek ashar ko,
ghazlen teri rulaane ke liye badnaam hui jaati hai

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tamam umar...... by Princess21 in Shayri-E-Dard
Jindgi Tamam Kar Li by saaz_haldwanvi in Ghazals
GUM TAMAM THE by Risk in Shayri-E-Dard
MOVED: GUM TAMAM THE by aqsh in Suryakant Tripathi-Nirala
Zakham Jab Tamam Hue...........................................raji by Rajigujral in Miscellaneous Shayri
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: August 19, 2009, 07:50:23 PM »
Wah wah bahut khoob Bekarar ji,really touching and mindblowing creation.
 icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #2 on: August 19, 2009, 08:04:53 PM »
maan gaye Bekraar ji
kya khoob likha hai

Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: August 19, 2009, 08:14:24 PM »
mustakbil ki tammannayen sabhi nakaam hui jaati hai
be-sabab safar me jindagi tamam hui jaati hai,

gaf-lat kahun ise ya haqikat jindagi ki,
sahar ke sitaaron me bhi ab shaam najar aati hai,

watan choda tha maine kamyabiyon ki talash me,
nakamyabiya is pardes me meri pah-chaan hui jaati hai,

ashqon ko dikhava kahte hain aur har aah ko bahana
meri hasti bhi ab dil bah-laane ka saman hui jaati hai,

muskara ke padhna "BEKARAR" har ek ashar ko,
ghazlen teri rulaane ke liye badnaam hui jaati hai

wah wah wah kaya baat hai bekarar ji!! ek ek shabd , ek ek line.. kamaal.. kamaal aor kamaal ka likha hai apne!! bahoot khoob!!
Likhe bina raha nahi ja raha hai... janti hu..app jitna acha to nahi... phir bhi kalam ne jo likhwaya... likhne ja rahi hu

Nakaam sahi, per bahoot kuch kiya hai hasil
Safar ki her ek yaad sath hue jaati hai

Haqiqat hai zindagi ki, is se kaya shikayat kare ab
Her shikayat, zindagi ke samne, bejaar hue jaati hai

Watan ho koi bhi, kismet to her pal rahti hai apni
Takdeer se he ab to her pal, takraar hue jaati hai

Khud se chupana hota hai mushkil, is jahan main
Khud se he khud, ek ab deewar hue jaati hai

Machine ban gai zindagi kab kaha kho gai  Pooja
Is sawal ke jawab main, khud Pooja Gumnaam hue jaati hai…

Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #4 on: August 19, 2009, 08:28:38 PM »

bhaut hi accha likha hai Pooja ji loved the lines

"Khud se chupana hota hai mushkil, is jahan main
Khud se he khud, ek ab deewar hue jaati hai"
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: August 19, 2009, 08:33:44 PM »

bhaut hi accha likha hai Pooja ji loved the lines

"Khud se chupana hota hai mushkil, is jahan main
Khud se he khud, ek ab deewar hue jaati hai"

bahoot bahoot shukaria thegrimreaper ji!!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #6 on: August 20, 2009, 02:45:55 AM »
mustakbil ki tammannayen sabhi nakaam hui jaati hai
be-sabab safar me jindagi tamam hui jaati hai,

gaf-lat kahun ise ya haqikat jindagi ki,
sahar ke sitaaron me bhi ab shaam najar aati hai,

watan choda tha maine kamyabiyon ki talash me,
nakamyabiya is pardes me meri pah-chaan hui jaati hai,

ashqon ko dikhava kahte hain aur har aah ko bahana
meri hasti bhi ab dil bah-laane ka saman hui jaati hai,

muskara ke padhna "BEKARAR" har ek ashar ko,
ghazlen teri rulaane ke liye badnaam hui jaati hai

Waah Waah Bahoot Bahoot Khoob Sanjeev Ji... Bahoot hi Behtareen pehkash... Sach mea bahoot hi Khoob Likha hai .. Bahoot Khoob!

Main khud ko rok nahi pa rahi iss topic pe likhne se par waqt ki kami hai... Koshish hai jarur likhungi...
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: August 20, 2009, 02:47:24 AM »
wah wah wah kaya baat hai bekarar ji!! ek ek shabd , ek ek line.. kamaal.. kamaal aor kamaal ka likha hai apne!! bahoot khoob!!
Likhe bina raha nahi ja raha hai... janti hu..app jitna acha to nahi... phir bhi kalam ne jo likhwaya... likhne ja rahi hu

Nakaam sahi, per bahoot kuch kiya hai hasil
Safar ki her ek yaad sath hue jaati hai

Haqiqat hai zindagi ki, is se kaya shikayat kare ab
Her shikayat, zindagi ke samne, bejaar hue jaati hai

Watan ho koi bhi, kismet to her pal rahti hai apni
Takdeer se he ab to her pal, takraar hue jaati hai

Khud se chupana hota hai mushkil, is jahan main
Khud se he khud, ek ab deewar hue jaati hai

Machine ban gai zindagi kab kaha kho gai  Pooja
Is sawal ke jawab main, khud Pooja Gumnaam hue jaati hai…

Waah waah Pooja di .. SubanAllah Kya khoob likha hai.. specially the last four lines.. Dil ko choo gai.. Bahoot bahoot Khoob Di
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #8 on: August 20, 2009, 02:48:03 AM »

bhaut hi accha likha hai Pooja ji loved the lines

"Khud se chupana hota hai mushkil, is jahan main
Khud se he khud, ek ab deewar hue jaati hai"

Bahoot Bahoot Khoob Likha hai Grimreaper ji.. Bahoot Khoob!
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: August 20, 2009, 02:49:05 AM »
mustakbil ki tammannayen sabhi nakaam hui jaati hai
be-sabab safar me jindagi tamam hui jaati hai,

gaf-lat kahun ise ya haqikat jindagi ki,
sahar ke sitaaron me bhi ab shaam najar aati hai,

watan choda tha maine kamyabiyon ki talash me,
nakamyabiya is pardes me meri pah-chaan hui jaati hai,

ashqon ko dikhava kahte hain aur har aah ko bahana
meri hasti bhi ab dil bah-laane ka saman hui jaati hai,

muskara ke padhna "BEKARAR" har ek ashar ko,
ghazlen teri rulaane ke liye badnaam hui jaati hai

Bahut bahut accha likha hai aapne bhaiya. Daad hazir hai  Usual Smile
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #10 on: August 20, 2009, 03:07:19 AM »
Wah wah bahut khoob Pooja ji and Reaper ji,beautiful lines.excellent. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #11 on: August 20, 2009, 03:15:40 AM »
Wah wah bahut khoob Bekarar ji,really touching and mindblowing creation.
 icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

bahoot shukriya madhu ji aapne humesha ki tarah housala afzai ki...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #12 on: August 20, 2009, 03:16:53 AM »
maan gaye Bekraar ji
kya khoob likha hai

Applause Applause
bahoot bahoot shukriya janab...mashkoor hun aapka...ki aapko achcha laga
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #13 on: August 20, 2009, 03:24:12 AM »
wah wah wah kaya baat hai bekarar ji!! ek ek shabd , ek ek line.. kamaal.. kamaal aor kamaal ka likha hai apne!! bahoot khoob!!
Likhe bina raha nahi ja raha hai... janti hu..app jitna acha to nahi... phir bhi kalam ne jo likhwaya... likhne ja rahi hu

Nakaam sahi, per bahoot kuch kiya hai hasil
Safar ki her ek yaad sath hue jaati hai

Haqiqat hai zindagi ki, is se kaya shikayat kare ab
Her shikayat, zindagi ke samne, bejaar hue jaati hai

Watan ho koi bhi, kismet to her pal rahti hai apni
Takdeer se he ab to her pal, takraar hue jaati hai

Khud se chupana hota hai mushkil, is jahan main
Khud se he khud, ek ab deewar hue jaati hai

Machine ban gai zindagi kab kaha kho gai  Pooja
Is sawal ke jawab main, khud Pooja Gumnaam hue jaati hai…

pooja ji,
aapka tah-e-dil se shukriya aapne humesha ki tarah mera housala badhaya
aur aapne jo likha hai ki aap mere jitna achcha nahi likh payengi......sahi likha hai.. kyunki aapne mujhse achcha nahi balki bahoot bahoot achcha likhe hai.
bilkul makool jawab hai aapka....
daad kabool karen.....

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #14 on: August 20, 2009, 03:26:10 AM »
Waah Waah Bahoot Bahoot Khoob Sanjeev Ji... Bahoot hi Behtareen pehkash... Sach mea bahoot hi Khoob Likha hai .. Bahoot Khoob!

Main khud ko rok nahi pa rahi iss topic pe likhne se par waqt ki kami hai... Koshish hai jarur likhungi...

shukriya sophi ji,
is rachna ko aapki sarahna mili...intzaar rahega is panne ko aapke shabdon ka.
dhanywaad
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:35:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer