*Tamanna*

by Roja on January 11, 2009, 08:18:26 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2966 times)
honeyrose
Guest
«Reply #15 on: January 12, 2009, 02:22:40 PM »
very nice Roju dear

Nice lines HumTum ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tamanna by siddharth in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tamanna hai by rawat in Shayri-E-Dard
*****Tamanna***** by jaihind20 in Shayri for Khumar -e- Ishq
tamanna by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
TAMANNA HAI KAB........ by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
Roja
Guest
«Reply #16 on: January 12, 2009, 02:34:36 PM »
Very Nice Roja Ji...

Tamanna har ik mar gyi, toot gaye armaan
Muhhobat ke khazano ki luut chuki dukaan!

HumTum


Thanks HumTum ji

Lamha Lamha Tera Gum Magar Seene Ki Tamanna Aur Bhi Hai,
Katra Katra Ye Sharaab Magar Peene Ki Tamanna Aur Bhi Hai,
Wo Na Mila Toh Kya Hua, Khud Kushi Jaayaz Nahin,
Tanha Tanha Ye Zindagi Magar Jeene Ki Tamanna Aur Bhi Hai.


(nm)

Logged
HumTum
Guest
«Reply #17 on: January 12, 2009, 02:51:15 PM »
Tujhe pane ki tamanna jo ki iss dil ne
To zamane ki ankhon mein khangar dekha
Har ik shakhs naraaz tha mujh se kyun?
Nafraton ka ajab humne manzar dekha !!

HumTum
Logged
Roja
Guest
«Reply #18 on: January 12, 2009, 03:06:10 PM »
Tamanna yehi thi ke unhe apna banalu
Magar wo anjaan bankar aaye
Apna pechan dekar chale gaye
Dosti ka haat badakar
Nafraon ka zaher pilakar chale gaye..

 sad7
Logged
HumTum
Guest
«Reply #19 on: January 12, 2009, 03:14:49 PM »
Woh tukrakar chale gaye to kya
Hume unki tamanna aaj bhi hai
Unke dekhte hi woh mere
Dil ka machalna aaj bhi hai!!


HumTum
Logged
Roja
Guest
«Reply #20 on: January 13, 2009, 02:33:43 AM »
Dil mein kayi tamanna jage
Ek tamanna yeh bi rahi ke

Kabi saat saat chale barish mein bheegkar
Thand mausam main unke pyar ke aag mein jale

Bas tamanna dil mein reh gaya
Dil mera tanhayiyon mein chup gaya..

Logged
HumTum
Guest
«Reply #21 on: January 13, 2009, 07:32:37 AM »
Very nice Roja Ji....

Ik Tammana yeh bhi thi ke
woh gosha-e-dil mein aa kar rehte
Ankhoon Ankhon mein hoti batien
kucch meri sunte, kuch apni kehte

Lekin yeh tammana, tammana hi reh gyi
sabhi ummedein pani mein beh gyi
Aaj faqt mein hoon aur toota hua dil
Baaqi sabhi risto ki diwar deh gyi!!


HumTum
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #22 on: January 13, 2009, 11:07:41 AM »
Tamanna thi toh bas itni
Ki haat uta kar chu lu aasman
Magar, yeh ho na saka
Per santosh hai toh bas itna
Ki Mai nahi toh meri perchayi hi sahi
Chu toh rahi hai aasmaan..

Tamanna thi toh bas itni
Ki ek baar jeet lu sab kuch.
Magar, yeh ho na saka
Per santosh hai toh bas itna
Ki jeet na saki... Na sahi, per
Haari nahi apna sab kuch..

Tamanna thi toh bas itni
Ki rakhu swayam ko alag bheed se
Magar, yeh ho na saka.
Per santosh hai toh bas itna
Ki Ghum nahi hua mera wajood bheed mein..

Tamanna thi toh bas itni
Ki siddh kar du apni shamtayein
Magar yeh ho na saka..

Per santosh hai toh bas itna
Ki band nahi huye hai dwar abhi tak sambhawanawon ke...






bahoth badiya roja ji hamesha ki tarha bahoth acha likhti ho app !! allah apko taraqi de !!

Qadeer Toopchi
Logged
seraj325
Guest
«Reply #23 on: January 15, 2009, 07:19:59 AM »
wAAH BAHOT KHOOBSOORAT tAMANNA HAI..AAPKI
Rab poori kare aapki sabhi tamannayen.
bahot achchha likhti hain aap.
waah
Logged
Naziya Tahera
Guest
«Reply #24 on: January 15, 2009, 07:34:42 AM »
Bahot khoob tamanna hai dear.
sach bahot achchha likhti hain aap.
waah
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #25 on: January 18, 2009, 02:21:34 PM »
Waah Waah,.
Bohat Hi Badhiya Hai,.
Nice One,.

Humtum Ji,.
Roja Sis,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #26 on: January 18, 2009, 02:23:10 PM »
Ek Nahi, Har Tamanna Ko Maine Seene Mein Dafan Kiya Tha "Azeem,.,.
Is Umeed Se, Ki Wo Mil Gaye To Shayad Har Tamanna Poori Ho Jaaye,.

_______________________________________-Jaanasheen-
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #27 on: January 21, 2009, 02:31:42 AM »
Woh tukrakar chale gaye to kya
Hume unki tamanna aaj bhi hai
Unke dekhte hi woh mere
Dil ka machalna aaj bhi hai!!


HumTum
Nice one Hum Tum
Logged
Roja
Guest
«Reply #28 on: January 21, 2009, 02:37:08 AM »
bahoth badiya roja ji hamesha ki tarha bahoth acha likhti ho app !! allah apko taraqi de !!

Qadeer Toopchi

Bahut bahut shukriya Toopchi ji
Logged
Roja
Guest
«Reply #29 on: January 21, 2009, 02:39:11 AM »
wAAH BAHOT KHOOBSOORAT tAMANNA HAI..AAPKI
Rab poori kare aapki sabhi tamannayen.
bahot achchha likhti hain aap.
waah

Thanks Seraj ji..

Tamanna yeh hai ke tujhse milu
Milon dhur ho tum, aaj pass nazar aate ho
Aaye ho wapis pardes se toh
Tamanna yeh hi hai ke tujhse milu..

Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:06:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer