tamannaoN ne kab sach se VAASTAA rakha hai...!

by ghayal_shayar on December 16, 2007, 03:47:59 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 896 times)
ghayal_shayar
Guest
Bazm-e-maehfil ko ek baar fir is nacheez ghayal ka salaam...!

bade dino baad aane ka mauka mila aur nacheez hazir hai ek aur adni si peshkash ke saath, isi umeed me ki aapko jyada niraash nahi kiya hoga...!


Maut v humesha rahi bewafa, zindagi ki tarah,, logoN ne nibhaai dosti humse, dushmani ki tarah,, khoob dard dekhe humne v yahaaN,, par na dekha dariya-e-dard koi, aashiqui ki tarah,, dardoN neb hi hume kabhi na apnaaya,, rahe wo paraaye humesha, kisi khushi ki tarah,, maut neb hi ki bewafai mujhse zindagi ki tarah…………….!!!




Tere diye zakhmoN ko khud pe sazaa rakha hai,
Teri chaahat hai par tujhse hi chipaa rakha hai…!

Lahoo saara dariya-e-ashq me bahaa rakha hai,
Teri maaNg ki khatir ek katra bacha rakha hai…!

Is aainah-e-chasm me jo koi shikan na dikhe use,
To apni in ankhoN ke pardon ko giraa rakha hai...!

Teri khusboo se mehakti hai hawa to jeete haiN,
Nai to kambakht saNsoN me kya mazaa rakha hai…!

Har waqt unko humse ye ajeeb shikayat rehti hai,
Ki unko is dil me humne kitna tanhaa rakha hai…!

Sach se waakif haiN, ki wo kabhi humari na hogi,
Par tamannaoN ne kab sach se vaastaa rakha hai…!

Koi mukhatib nahi humse ab is bazm-e-mehfil me,
Jo apna naam humne sabko,“ghayal”bataa rakha hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tum ko khafa rakha hai by Pooja in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
jhuka rakha hai by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kabhi Tamannaon Ke Raaston Par Nikal Pado To by angel4u in Shayri-E-Dard
meri tamannaon par fir gaya pani by sunildehgawani in Shayri for Khumar -e- Ishq
Taish- tamannaon ne kab sach se VAASTA rakha hai...!! by ghayal_shayar in Shayari -e- Husn « 1 2  All »
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: December 16, 2007, 05:56:42 PM »
BAHUT KHOOB GHAYAL SHAYAR SAAB...UMDA LIKHA HAI AAPNE..
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #2 on: December 17, 2007, 05:38:20 AM »
are ghayal to aapne in kaatil nigaho se hame kar rakha hai,
dost kehte ho or itna dard abhi tak apne dil mai chupa rakha hai,
aaj to hame aapki is dosti par bhi naaz aata hai,
kyoki aapne to apni dairy ka har ek pana lahu ki shayahi se saja rakha hai.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #3 on: December 18, 2007, 03:08:51 AM »
BAHUT KHOOB GHAYAL SHAYAR SAAB...UMDA LIKHA HAI AAPNE..
  shukriya khwaish ji, ye jaan kar khushi hui hume ki aapne is kalaam ko pasand kiya, bas guzarish yahi rahegi ki aap aage v hume yuNhi padhne ki jehmat uthate raheN....!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #4 on: December 20, 2007, 03:02:37 AM »
are ghayal to aapne in kaatil nigaho se hame kar rakha hai,
dost kehte ho or itna dard abhi tak apne dil mai chupa rakha hai,
aaj to hame aapki is dosti par bhi naaz aata hai,
kyoki aapne to apni dairy ka har ek pana lahu ki shayahi se saja rakha hai.

sahi kaha prem sahab,waise behad shukriya is nacheez ko padhne ka, khushi hui jaan kar ki aapko is nacheez ki peshkash pasand aayi, bas guzarish yahi rahegi ki aap aage v humeN padhne ki jehmateN yuNhi uthate raheN....!!
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #5 on: December 20, 2007, 03:18:10 AM »
e dost december ki yeh dand or aap logo ka saath,
jiwan bhar yuh kate jindgi bas yahi hai khuda se fariyaad.
how r u dear
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #6 on: January 04, 2008, 05:56:26 AM »
hum bas aapki dua pw chale jaa rahe haiN...!! aur rahi baat aapki fariyaad ki to bas itna hiN keh sakta huN... AAMEEN...!!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:10:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer