Tanhaai Ko Gale Laga Raha Hoon

by majid on July 16, 2008, 07:22:49 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2389 times)
majid
Guest
Jalte Hue Dil Ki Aag Ko Kuchh Yun Bujha Raha Hoon.
Ki Tere Ahsason Ke Jaam Bana Bana Ke Pee Raha Hoon.

Har Taraf Phaila Hai Andhera In Judaai Ke Baadalon Se
Aur Aise Mein Teri Yaadon Ke Deep Jala Raha Hoon

Aaj Bhi Yaad Hai Hamen Tera Woh Baarish Mein Bheegna
Bus Yahi Sochkar Aaj Barsaat Ka Lutf Uthha Raha Hoon

Darta Hoon Yun To Main Bhi Koi Dekh Na Le Aankhon Ki Nami
Isiliye Barasti Hui Bundo Ke Saath Aansu Baha Raha Hoon.

Tere Baghair Mumkin Nahin Yun To Zindagi Ko Guzaar Pana
Bus Tujhse Jo Kiya Tha Kabhi Woh Waada Nibha Raha Hoon.

Jaanta Hoon Ab Chalna Hoga Mujhe Tanha Hi Is Safar Mein
Bus Main Hoon Dard Hai Aur Tanhaai Ko Gale Laga Raha Hoon
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hasrat Reh Gayi unhe Gale Laga Ne Ki by V a r s h a in Shayri for Dard -e- Judai
gham ko gale se laga liya by SHONA in Shayri-E-Dard
tu gale se laga na sake by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Muhammed
Guest
«Reply #1 on: July 16, 2008, 08:56:30 AM »
Tere Baghair Mumkin Nahin Yun To Zindagi Ko Guzaar Pana
Bus Tujhse Jo Kiya Tha Kabhi Woh Waada Nibha Raha Hoon.

Jaanta Hoon Ab Chalna Hoga Mujhe Tanha Hi Is Safar Mein
Bus Main Hoon Dard Hai Aur Tanhaai Ko Gale Laga Raha Hoon


Bhai Shihaab..Aap Ke Ye Ash'aar Bahot Hi Khoob Hai.,
Hammesha Aapki Post Badhiya Se Badhiya Hoti Hai.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #2 on: July 16, 2008, 08:59:49 AM »
Quote
Tere Baghair Mumkin Nahin Yun To Zindagi Ko Guzaar Pana
Bus Tujhse Jo Kiya Tha Kabhi Woh Waada Nibha Raha Hoon.

Jaanta Hoon Ab Chalna Hoga Mujhe Tanha Hi Is Safar Mein
Bus Main Hoon Dard Hai Aur Tanhaai Ko Gale Laga Raha Hoon

Superb  Applause well expressed lines Jee...
Logged
punam
Guest
«Reply #3 on: July 16, 2008, 09:23:18 AM »
wah ji wah shihab ji kya baat hai...
bahut badiya rachna hai...
aap ka kalam se yun barsate raho hum padh ke khush hote rahenge...
Logged
bulbul
Guest
«Reply #4 on: July 16, 2008, 09:54:56 AM »
wah! Shihab ji! these r the most amazing lines I have ever read... they r too good to be expressed in word...aap k kalam ki to baat hi kuch aur hai
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #5 on: July 16, 2008, 10:38:25 AM »
Jalte Hue Dil Ki Aag Ko Kuchh Yun Bujha Raha Hoon.
Ki Tere Ahsason Ke Jaam Bana Bana Ke Pee Raha Hoon.

Har Taraf Phaila Hai Andhera In Judaai Ke Baadalon Se
Aur Aise Mein Teri Yaadon Ke Deep Jala Raha Hoon

Aaj Bhi Yaad Hai Hamen Tera Woh Baarish Mein Bheegna
Bus Yahi Sochkar Aaj Barsaat Ka Lutf Uthha Raha Hoon

Darta Hoon Yun To Main Bhi Koi Dekh Na Le Aankhon Ki Nami
Isiliye Barasti Hui Bundo Ke Saath Aansu Baha Raha Hoon.

Tere Baghair Mumkin Nahin Yun To Zindagi Ko Guzaar Pana
Bus Tujhse Jo Kiya Tha Kabhi Woh Waada Nibha Raha Hoon.

Jaanta Hoon Ab Chalna Hoga Mujhe Tanha Hi Is Safar Mein
Bus Main Hoon Dard Hai Aur Tanhaai Ko Gale Laga Raha Hoon


shihab bro....khoob likha hai dard hi dard  tearyeyed
Logged
~princess~
Guest
«Reply #6 on: July 16, 2008, 11:10:37 AM »
Jalte Hue Dil Ki Aag Ko Kuchh Yun Bujha Raha Hoon.
Ki Tere Ahsason Ke Jaam Bana Bana Ke Pee Raha Hoon.

Har Taraf Phaila Hai Andhera In Judaai Ke Baadalon Se
Aur Aise Mein Teri Yaadon Ke Deep Jala Raha Hoon

Aaj Bhi Yaad Hai Hamen Tera Woh Baarish Mein Bheegna
Bus Yahi Sochkar Aaj Barsaat Ka Lutf Uthha Raha Hoon

Darta Hoon Yun To Main Bhi Koi Dekh Na Le Aankhon Ki Nami
Isiliye Barasti Hui Bundo Ke Saath Aansu Baha Raha Hoon.

Tere Baghair Mumkin Nahin Yun To Zindagi Ko Guzaar Pana
Bus Tujhse Jo Kiya Tha Kabhi Woh Waada Nibha Raha Hoon.

Jaanta Hoon Ab Chalna Hoga Mujhe Tanha Hi Is Safar Mein
Bus Main Hoon Dard Hai Aur Tanhaai Ko Gale Laga Raha Hoon



Jeete raho mere sher...kya likha hai..awesomeeeee
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #7 on: July 17, 2008, 05:55:41 AM »
shihab ji bohut hi achi rachna likhi hai aapne

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #8 on: July 17, 2008, 10:03:43 AM »
Jalte Hue Dil Ki Aag Ko Kuchh Yun Bujha Raha Hoon.
Ki Tere Ahsason Ke Jaam Bana Bana Ke Pee Raha Hoon.

Har Taraf Phaila Hai Andhera In Judaai Ke Baadalon Se
Aur Aise Mein Teri Yaadon Ke Deep Jala Raha Hoon

Aaj Bhi Yaad Hai Hamen Tera Woh Baarish Mein Bheegna
Bus Yahi Sochkar Aaj Barsaat Ka Lutf Uthha Raha Hoon

Darta Hoon Yun To Main Bhi Koi Dekh Na Le Aankhon Ki Nami
Isiliye Barasti Hui Bundo Ke Saath Aansu Baha Raha Hoon.

Tere Baghair Mumkin Nahin Yun To Zindagi Ko Guzaar Pana
Bus Tujhse Jo Kiya Tha Kabhi Woh Waada Nibha Raha Hoon.

Jaanta Hoon Ab Chalna Hoga Mujhe Tanha Hi Is Safar Mein
Bus Main Hoon Dard Hai Aur Tanhaai Ko Gale Laga Raha Hoon

   Clapping Smiley khoob shihab bohat acha likha hai aapne
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #9 on: July 25, 2008, 10:31:22 AM »
Bohat hi khoob Majid miyan...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #10 on: July 25, 2008, 10:43:52 AM »
Bahut Khoob Shihab ji.. Bahut achha likha hai.. Applause
Logged
syednaami
Guest
«Reply #11 on: July 28, 2008, 03:47:49 AM »
Jalte Hue Dil Ki Aag Ko Kuchh Yun Bujha Raha Hoon.
Ki Tere Ahsason Ke Jaam Bana Bana Ke Pee Raha Hoon.

.............
Tere Baghair Mumkin Nahin Yun To Zindagi Ko Guzaar Pana
Bus Tujhse Jo Kiya Tha Kabhi Woh Waada Nibha Raha Hoon.

Jaanta Hoon Ab Chalna Hoga Mujhe Tanha Hi Is Safar Mein
Bus Main Hoon Dard Hai Aur Tanhaai Ko Gale Laga Raha Hoon


Wah Shihab baba kya andaaz-e-bayaan hai,,, pasand aaya...


Hum bhi sar-e-zoq men hone lage the mast,,
Khud ki hi chaah men khud ko mita liya..

Ghan ghor ghata ke saaye tale the vyast,,
Subah men bhi andhere ko saathi bana liya..

Tha gumaan yeh ki baarish karegi sust,,
Do aansu jo nikle to jism nahla liya..

Sach baaten jahan ki hui dil men jo paivast,,
Pashaimaan man ko sharam se jhuka liya..

Dekho zara aaj hum bhi pad gaye hain past,,
Koi saathi na mila to tanhai ko gale laga liya..


|Syed Naami|
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #12 on: July 28, 2008, 04:06:44 AM »
Wah Shihab baba kya andaaz-e-bayaan hai,,, pasand aaya...


Sach baaten jahan ki hui dil men jo paivast,,
Pashaimaan man ko sharam se jhuka liya..

Dekho zara aaj hum bhi pad gaye hain past,,
Koi saathi na mila to tanhai ko gale laga liya..


|Syed Naami|

Bhai Syed...Bade Khoob Hai Ye Do Ash'aar aapke.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #13 on: July 28, 2008, 02:01:09 PM »
Bhai Syed...Bade Khoob Hai Ye Do Ash'aar aapke.


Raza bhai,,,
Aap ki nazr-e-karam pad gayi bas yahi kaafi hai...
Aap ka dil se shukriya ada karta hun...
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: July 28, 2008, 02:12:06 PM »
Jalte Hue Dil Ki Aag Ko Kuchh Yun Bujha Raha Hoon.
Ki Tere Ahsason Ke Jaam Bana Bana Ke Pee Raha Hoon.

Har Taraf Phaila Hai Andhera In Judaai Ke Baadalon Se
Aur Aise Mein Teri Yaadon Ke Deep Jala Raha Hoon

Aaj Bhi Yaad Hai Hamen Tera Woh Baarish Mein Bheegna
Bus Yahi Sochkar Aaj Barsaat Ka Lutf Uthha Raha Hoon

Darta Hoon Yun To Main Bhi Koi Dekh Na Le Aankhon Ki Nami
Isiliye Barasti Hui Bundo Ke Saath Aansu Baha Raha Hoon.

Tere Baghair Mumkin Nahin Yun To Zindagi Ko Guzaar Pana
Bus Tujhse Jo Kiya Tha Kabhi Woh Waada Nibha Raha Hoon.

Jaanta Hoon Ab Chalna Hoga Mujhe Tanha Hi Is Safar Mein
Bus Main Hoon Dard Hai Aur Tanhaai Ko Gale Laga Raha Hoon


Wah wah Majid ji bahut khoob  Applause  Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:36:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer