Tanhaaiyon ka karb....!!!

by Talat on February 23, 2008, 09:54:12 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 3248 times)
Talat
Guest
Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Chaandni raaton main hum tum mila karte the
Yunhi pehron baithkar baatain kiya karte the
Yaadon ka karb kar gaya aankhain ashkbaar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Bulaayen kis tarah tumko, kahan tum kho gaye
Jism tadapta hai yahan, rooh saath le gaye
Tees uthti hai, aur utar jaati hai dil ke paar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Ishq ko samjha ibaadat, kya yeh uski saza hai
Zindagi bhi to nahin, phir kya yeh qaza hai
Dil bekas aarzuon ka hai jeeta jaagta mazaar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar


Qaza = Maut



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Meri Hayaat Ki Tanhaaiyon Ko Dekho To!!!!!!!!!!!!!! by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Batwaare Ka Karb,. India-Pak,. by Azeem Azaad in Share:Miscellaneous Shayari
Ek Karb E Wafa by raHie in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Roja
Guest
«Reply #1 on: February 24, 2008, 03:03:40 AM »
Superb ....
Quote
Ishq ko samjha ibaadat, kya yeh uski saza hai
Zindagi bhi to nahin, phir kya yeh qaza hai
Dil bekas aarzuon ka hai jeeta jaagta mazaar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Really very good to read and it is very touchy too.
Keep writing.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: February 24, 2008, 03:47:40 AM »


Ishq ko samjha ibaadat, kya yeh uski saza hai
Zindagi bhi to nahin, phir kya yeh qaza hai
[/b]


BAHUT KHOOB TALAT...BAHUT HI KHOOBSURTI SE LIKHA HAI AAPNE...AUR YEH LINE TO BAHUT HI ACHI THI...
Logged
diya786
Guest
«Reply #3 on: February 24, 2008, 04:08:56 AM »
bahut khoob talatji
aapne be-inteha khoobsurati se apne dard ko shayari mein
bayan kar diya...
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: February 24, 2008, 02:51:59 PM »
Roja, Khwaish, Diya and Majid...aapka bohot bohot shukriya doston ki aapko meri ye poem pasand aayi Usual Smile
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #5 on: February 24, 2008, 02:54:42 PM »
wah wah bahoot khoob Talat... yah lines to kamal ki likhi hai

Bulaayen kis tarah tumko, kahan tum kho gaye
Jism tadapta hai yahan, rooh saath le gaye
Tees uthti hai, aur utar jaati hai dil ke paar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: February 24, 2008, 03:16:40 PM »
Thank You so much Pooja Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #7 on: February 27, 2008, 12:37:19 PM »
Wow... That's really lovely..

Very Nice Work Talat...
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: February 27, 2008, 01:56:20 PM »
Thank You Shikha Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: February 27, 2008, 03:55:49 PM »
Jo kabhi mila nahi, kyun uski yaad atti hai
Kis liye dil dubta hai, yah jaan nikal si jaati hai
Mila nahi phir bhi salo ka rishta lagta hai
Na ayye ek bhi din, din soona soona sa lagta hai
Tanhaai hai kaya meri, jo mujhko yah dikhati hai
Ya dil mai hai dard jo her ek dard dekh ruk jaati hai.....
Apne hi sawalo jawabo mai din bit.ta jaata hai
Tanha thi yah zindagi, tanha hi dil jala jaata hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: February 27, 2008, 06:51:47 PM »
Bohot khoob Pooja...

Tahaaiyon ka karb sehne ki kuch is tarah aadat hui
Akelapan achcha laga, dekh logon ko, wahshat hui

Dard-o-ghum se jaise jaise hum wabasta hone lage
Rafta rafta har khushi ghar se mere rukhsat hui !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: February 27, 2008, 08:20:48 PM »
bahoot khoob Talat!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: February 27, 2008, 09:01:59 PM »
Shukriya Pooja
Logged
Bharat
Guest
«Reply #13 on: February 28, 2008, 04:01:30 AM »
Hi Talat,
Bohot hi achcha likha hai !!!

Pooja,
Very nicely written !!!

Talat,
I have started with 2 lines of yours.


yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

har manzar pe, har mod pe ek ummeed hai
shayad tum kahin mil jaao muze ek baar

yeh sunapan, yeh tanhaai aur rishto ki deeware
hum hai deewar ke is paar aur tum ho us paar

kyun ho muze gile-shikwe, sab kho jane ka
teri chahat ka ehsaas, dil mein hai barkaraar

kuch jawaab tumne diye, kuch zindagi ne
ab hum kismat se kya kare koi istefsaar?


istefsaar - question
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #14 on: February 28, 2008, 07:10:21 AM »
Accha hua mil gaya
Tamhaiyon ka saath
Ek muddat ho gayi thi mujhey
Khud sey miley huye...
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:48:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer