Tanhaaiyon ka karb....!!!

by Talat on February 23, 2008, 09:54:12 PM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 3247 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #15 on: February 28, 2008, 09:43:25 AM »
Wah Kya Baat Hai TALAT Ji.. Dard Ko Behad khubsoorati se Lafzon Ki Zubaan
Di hai Aapne.. Dil ko Chhoo gai aapki Yeh Rachna.. Daad Kubool Karen..!!

Aur sabhi ne ek se badh kar ek likha Hai.. !!

Vicky
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Meri Hayaat Ki Tanhaaiyon Ko Dekho To!!!!!!!!!!!!!! by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Batwaare Ka Karb,. India-Pak,. by Azeem Azaad in Share:Miscellaneous Shayari
Ek Karb E Wafa by raHie in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Talat
Guest
«Reply #16 on: February 28, 2008, 03:34:00 PM »
Accha hua mil gaya
Tamhaiyon ka saath
Ek muddat ho gayi thi mujhey
Khud sey miley huye...


Very nice Zakhmola !

Tanhaaiyon ka saath hume achcha laga,
Jo chehra dikhaya apna is zamane ne !

Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: February 28, 2008, 03:34:24 PM »
Wah Kya Baat Hai TALAT Ji.. Dard Ko Behad khubsoorati se Lafzon Ki Zubaan
Di hai Aapne.. Dil ko Chhoo gai aapki Yeh Rachna.. Daad Kubool Karen..!!

Aur sabhi ne ek se badh kar ek likha Hai.. !!

Vicky

Bohot bohot shukriya Vicky !
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: February 28, 2008, 03:34:47 PM »
Hi Talat,
Bohot hi achcha likha hai !!!

Pooja,
Very nicely written !!!

Talat,
I have started with 2 lines of yours.


yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

har manzar pe, har mod pe ek ummeed hai
shayad tum kahin mil jaao muze ek baar

yeh sunapan, yeh tanhaai aur rishto ki deeware
hum hai deewar ke is paar aur tum ho us paar

kyun ho muze gile-shikwe, sab kho jane ka
teri chahat ka ehsaas, dil mein hai barkaraar

kuch jawaab tumne diye, kuch zindagi ne
ab hum kismat se kya kare koi istefsaar?


istefsaar - question


Thanks Bharat...Very beautifully written...and I cant tell you how happy I am to see you writing here again  Usual Smile

Shayad koi paighaam humaare naam bhi aaye,
Karte rahe har roz tere khat ka intezaar

Na raabta hai logon se na fikr duniya ki
Apne hi masaa'il main rahe hum giraftaar

Apne hi saaye se darne lage hain hum,
Luta hai kuch iss tarah se aitebaar

Milta sukoon, to shayad band ho jaati saansain
Achcha hai nahin aaya kabhi dil ko mere qarar



Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: March 01, 2008, 09:39:03 PM »
Shukriya Majid !
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #20 on: March 04, 2008, 02:53:10 PM »
Its awesome Talat ...
I really missed all these things all these days ...
Glad to be back and read you all ...
Logged
Bharat
Guest
«Reply #21 on: March 05, 2008, 08:10:38 PM »
Talat,
Thanks for the appreciation !
Logged
Talat
Guest
«Reply #22 on: March 06, 2008, 08:54:45 AM »
Thanks a lot JHL...aapne kuch nahin likha ?

You are most welcome Bharat.

Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: March 06, 2008, 08:57:00 AM »
bus is khayal se kahin unko dukh na ho.
humse to haal.e.gum bhi sunaya na jaa saka..

tanhaayon ki aag main hum jal gaye..
magar fasla doori ka fir bhi mitaya na jaa saka..

Bohot Khoob Majid..!!

Tanhaayi ne jeene a diya,
Tere pyaar ne marne na diya.
Is tarah hue hum barbaad,
Har din har pal dil mera jala !
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #24 on: March 06, 2008, 10:07:16 AM »
Bohot khoob Pooja...

Tahaaiyon ka karb sehne ki kuch is tarah aadat hui
Akelapan achcha laga, dekh logon ko, wahshat hui

Dard-o-ghum se jaise jaise hum wabasta hone lage
Rafta rafta har khushi ghar se mere rukhsat hui !


bahot khoob.  Talat........  Pooja didi  and  all.........   yeh  avatar mein  Talat  ki  pic hai  kya Puzzled !
ek gham ki kahani hai,kehte bhi to kya kehte
aur apni zabani hai,,kehte bhi to kya kehte

ek soz e nihani hai kehte bhi to kya kehte
ek unki nishani hai kehte bhi to kya kehte

wo waqt bhi tha jab tum milte the mohabbat se
ye baat purani hai kehte bhi to kya kehte

uthta hai dhuan dil se,hotte hain rawan aansoo
iss aag mein paani hai kehte bhi to kya kehte

hum ishq se baaz aayen?ye baat to aye nassayh
mainey na maani hai kehte bhi to kya kehta ..........nm
Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: March 06, 2008, 10:22:45 AM »
Thanks Waheed.....aur bohot achchi poem share ki, Very Nice !

Shakal mil rahi hai na avtar main Winking
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: March 07, 2008, 12:55:20 PM »
Kaun hota hai kisi ka, sab apne ghum ke maare hain
Zamane ke thukraye hue, kabhi taqdeer se haare hain
Tanhaaiyon main, iss dard-e-dil ne saath nibhaya hai
Koi nahin jo hota saath, sang aah-o-fughan humare hain !
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #27 on: March 12, 2008, 06:42:33 PM »
Lajawaab Shayeri Talat..

Baqi sab ne bhi khoob likha..
Logged
Talat
Guest
«Reply #28 on: March 12, 2008, 06:52:07 PM »
Bohot bohot shukriya Aryaan Usual Smile

Aaj itne din baad aapko dekh ke achcha laga ! Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #29 on: March 12, 2008, 06:58:04 PM »
Aap sabki yaad mujhe yahaan kheench laayi..
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:19:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer