TANHAAYIYAAN...

by @kaash on February 22, 2009, 07:08:05 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1238 times)
@kaash
Guest

kahin gham ki kahaniyaan kahin khushi ki nishaaniyaan
kahin yaadon ki meherbaaniyaan kahin ashqon ki rawaaniyaan

tanhaaiyaan.....tanhaayiyaan...


kahin saara saara din kahin saari saari raat
kahin soona soona dil kahin soona sa khwaab uski ruswaayiyaan


tanhaayiyaan.....

dil ko sukoon deti hain raah-e-intzaar ki har tadap
har pal milne ki bechaini badhaati khamosh si siskiyaaan

tanhaayiyaan...


kabhi gham se nahi khali kabhi gham pe padi bhaari
zakhmon ko bhi dard khaane ki kitni betaabiyaan


tanhaayiyaan...


kaghazon ko kalam ki sohbaten to mil bhi gayin lekin
nahi mit.ti na kum hoti ek bus yehi veeraaniyaan


tanhaayiyaan...


Logged
dead heart
Guest
«Reply #1 on: February 22, 2009, 07:12:52 AM »
bahaut khoob Akash jee
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: February 22, 2009, 07:14:17 AM »
kahin gham ki kahaniyaan kahin khushi ki nishaaniyaan
kahin yaadon ki meherbaaniyaan kahin ashqon ki rawaaniyaan

tanhaaiyaan.....tanhaayiyaan...

kahin saara saara din kahin saari saari raat
kahin soona soona dil kahin soona sa khwaab aur ruswaayiyaan

tanhaayiyaan.....

dil ko sukoon deti hain raah'e'intzaar ki har tadap
har pal milne ki bechaini badhaati khamosh siskiyaaan

tanhaayiyaan...

kabhi gham se nahi khali kabhi gham pe padi bhaari
zakhmon ko bhi dard khaane ki kitni betaabiyaan

tanhaayiyaan...

kaghazon ko kalam ki sohbaten to mil bhi gayin lekin
nahi mit.ti na kum hoti ek bus yehi veeraaniyaan

tanhaayiyaan...

Bahut khoob kaash ji... aaj ka aapka kalam sab lajawab tha..
Good going. Keep up. Thumbs UP
Logged
pandit
Guest
«Reply #3 on: February 22, 2009, 07:15:36 AM »
Again very nice written AKASH......
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: February 22, 2009, 07:22:28 AM »
ur welcome dear
Logged
tara
Guest
«Reply #5 on: February 22, 2009, 12:50:43 PM »
kaash jee bahoot acha.
Logged
salma786
Guest
«Reply #6 on: February 22, 2009, 01:21:43 PM »
Bahoot hi khoob Kaash ji Thumbs UP
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #7 on: March 01, 2009, 05:04:24 AM »
Waah achcha likha hai aapne kaash ... Applause
Logged
pandit
Guest
«Reply #8 on: March 01, 2009, 05:06:49 AM »

kisi ko yaadon me rakhke,kisi ko yun hi bhoole-bhatke
kalam se chupate hain  jitna utni ubharti hain ghamgeeniyaan

tanhaayiyaan...

kahin kisi ke aarzoo banke,kahin bus ek dard ki kali banke
jazbaaton ki qitaab se nahi hoti phoolon ki rihaayiyaan

tanhaayiyaan...


bahut mann se likhte ho kaash bhai..
bahut he sunder likha hai....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: March 02, 2009, 10:21:48 AM »
[Nice One Kaash Ji, Nice One,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: March 05, 2009, 01:37:51 PM »
Waah Waah Kaash Ji .. Kis sher ki taareef karun, aur kiski na karun !! Bohot bohot Khoob...Really very nice work  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #11 on: March 06, 2009, 10:31:18 AM »

kabhi dil me kasak si rahti kabhi rooh se hai baat karti
jala khat bhi uthaya to usme armaano ki kitni chingaariyaan

tanhaayiyaan...


kahin hasil har khwaab kahin door raat me aasmaan se mehtaab
ujaalon ko bhi khwahish'e'chamak ke lie hai kitni dushwaariyaan

tanhaayiyaan..




kabhi unhi se shikayat banke,kabhi unhi ki shikyaten door karte karte
saaz'e'dil ko sambhalne nahi deti har pal badhti dard ki gahraayiyaan

tanhaayiyaan...


kisi ko yaadon me rakhke,kisi ko yun hi bhoole-bhatke
kalam se chupate hain  jitna utni ubharti hain ghamgeeniyaan

tanhaayiyaan...

kahin kisi ke aarzoo banke,kahin bus ek dard ki kali banke
jazbaaton ki qitaab se nahi hoti phoolon ki rihaayiyaan

tanhaayiyaan...



kabhi dil par nashtar si,kabhi nigaahon me khushnuma manzar si
na samajhna chahe ise to bhi thamti nahi iski unchaayiyaan

tanhayiyaan...


wah bahut khoob kaash, wah

jasbir singh
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: April 21, 2009, 07:22:15 PM »
NIce one Kaash Ji

Zindagi ka hissa ban gayin tanhaaiyan
Saanson ke sang chalti hain tanhaaiyan
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:58:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer