Tanhaiyon Ki Aag

by Tamanna Azeem on December 31, 2007, 06:23:00 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1269 times)
Tamanna Azeem
Guest
Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka
Usko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka,

Zakhmon se choor-choor tha yeh Dil mera
Ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka,

Jab uski yaad aayi to koshish ke ba-wajood
Aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka,

Kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
Jinko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka,

Bas is khayaal se kahin usko dukh na ho
Humse to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka,

Woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
Chehre ka rang us-se chupaya na jaa saka,

Tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
Magar faasla ana ka mitaya na jaa saka!


Logged
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: December 31, 2007, 11:53:51 AM »
Quote
Kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
Jinko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka,

Bas is khayaal se kahin usko dukh na ho
Humse to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka,

Woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
Chehre ka rang us-se chupaya na jaa saka,

Tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
Magar faasla ana ka mitaya na jaa saka!

Tamanna Azeem  ji bohat achha likha hai appne  Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: December 31, 2007, 01:40:02 PM »
Nice One Tamanna Ji,.
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #3 on: January 02, 2008, 03:37:24 AM »
great work yaar.

keep it up.

prem
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: January 02, 2008, 05:43:03 PM »
Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka
Usko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka,

Zakhmon se choor-choor tha yeh Dil mera
Ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka,

Jab uski yaad aayi to koshish ke ba-wajood
Aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka,

Kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
Jinko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka,

Bas is khayaal se kahin usko dukh na ho
Humse to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka,

Woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
Chehre ka rang us-se chupaya na jaa saka,

Tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
Magar faasla ana ka mitaya na jaa saka!




BAHUT KHOOB TAMMANA JI...BAHUT ACHA LIKHA HAI AAPNE
Logged
Tamanna Azeem
Guest
«Reply #5 on: January 05, 2008, 02:09:54 PM »
Thankyou Friends 4 appreciating me.
Logged
baadal102
Guest
«Reply #6 on: January 05, 2008, 03:24:34 PM »
verry good lines tamanna ji


Baadal
Logged
M. Rahman
Guest
«Reply #7 on: January 05, 2008, 04:45:46 PM »
Bahut khoob tamanna ji

Hai kaash kahi aisa hota
Ke do dil hote seene mein
Ek tooth bhi jataa ishk mein to
Takhlif na hoti jeene mein

NM
Logged
banku
Guest
«Reply #8 on: January 05, 2008, 07:13:53 PM »
Bahut Hi Acha hai ji.......
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 07, 2008, 02:12:53 PM »
Waah Doston Sabne Kamaal ka Likha Hai,.
yunhi Likhyte Rahiye,.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:13:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer