~~Tanhayee~~

by tanha dil tanha safar on May 30, 2005, 11:05:03 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2073 times)
tanha dil tanha safar
Guest
Roz badalte mausam jaise kabhi na badli tanhayee
      Isiliye humko lagti hai sabse achchi tanhayee

      Khamoshi ki sard hawayen lekar aayee tanhayee
      Dhoop khayal-e-yaar ki nikli, pal meiN pighli tanhayee

      Lagta hai phir aaj sheher meiN koi tanha-tanha hai
      Dhoond rahi hai phir koi dil door bhatakti tanhayee

      Yadon ke jab phool khkileiN to dil ka aalam kya kahiye
      Har lamhe meiN ghul jaati hai kisi mehek si tanhayee

      VeeranoN ki chhat sir pe aur sannatoN ki deevareiN
      Meri duniya hai itni si maiN aur meri tanhayee

      Beetey huve khushrang paloN ke dil pe saye lehraye
      Ik chandi ka moti ban kar aankh se tapki tanhayee

      Besabri se har ek lamha wo bhi guzara karti hai
      Sooraj dooba sham dhali aur ghar se nikli tanhayee

      Uski zuban-e-khamoshi ko samjhna koi khel nahiN
      Mehfil wale kya samjhenge kya hai kehti tanhayee

      Khush hota huN to lagta hai har pal mujhko ae 'dost'
      Merey naam na ho jaaye phir aaj kisii ki tanhayee
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tanhayee by Sonu in Shairi - E - Zindagi
Tanhayee by Nedura! in Shayri for Dard -e- Judai
TANHAYEE by harshmeet in Shayeri for Dard -e- Bewafai
tanhayee... by diya786 in Shairi - E - Zindagi
rohit30002
Guest
«Reply #1 on: May 30, 2005, 11:14:58 AM »
Quote from: "tanha dil tanha safar"
Roz badalte mausam jaise kabhi na badli tanhayee
      Isiliye humko lagti hai sabse achchi tanhayee

      Khamoshi ki sard hawayen lekar aayee tanhayee
      Dhoop khayal-e-yaar ki nikli, pal meiN pighli tanhayee

      Lagta hai phir aaj sheher meiN koi tanha-tanha hai
      Dhoond rahi hai phir koi dil door bhatakti tanhayee

      Yadon ke jab phool khkileiN to dil ka aalam kya kahiye
      Har lamhe meiN ghul jaati hai kisi mehek si tanhayee

      VeeranoN ki chhat sir pe aur sannatoN ki deevareiN
      Meri duniya hai itni si maiN aur meri tanhayee

      Beetey huve khushrang paloN ke dil pe saye lehraye
      Ik chandi ka moti ban kar aankh se tapki tanhayee

      Besabri se har ek lamha wo bhi guzara karti hai
      Sooraj dooba sham dhali aur ghar se nikli tanhayee

      Uski zuban-e-khamoshi ko samjhna koi khel nahiN
      Mehfil wale kya samjhenge kya hai kehti tanhayee

      Khush hota huN to lagta hai har pal mujhko ae 'dost'
      Merey naam na ho jaaye phir aaj kisii ki tanhayee



it's really good

This is only for u

Kaun kahta hai kii hum tanha hai..............,
Hamare saath to hamari tanhaai hai...........|
Khuda ne dekar hame BHOJ-E-GAM .........,
Hamari sharafat kya khuhb aajmaayi hai........||
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #2 on: May 30, 2005, 11:32:19 AM »
thanks Rohit
& really very nice.
kya khoob kaha hai mere saath to meri tanhai hai.
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #3 on: May 30, 2005, 11:38:38 AM »
Quote from: "tanha dil tanha safar"
thanks Rohit
& really very nice.
kya khoob kaha hai mere saath to meri tanhai hai.


ye sher waise maine apne upar banaya tha lekin aapki chand lines padkar mujhe laga kii ye aapke liye bhi hai...........
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #4 on: May 30, 2005, 11:41:28 AM »
mera bhi tanha dil hai mera safar bhi to tanha hai
hoon apna he humsafar main lekin ye humsafar bhi to tanha hai
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #5 on: May 30, 2005, 11:43:10 AM »
Quote from: "tanha dil tanha safar"
mera bhi tanha dil hai mera safar bhi to tanha hai
hoon apna he humsafar main lekin ye humsafar bhi to tanha hai



Nice
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #6 on: May 30, 2005, 11:44:48 AM »
thanks again rohit.

& u r welcome to yoindia...........................
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #7 on: May 30, 2005, 11:46:49 AM »
Quote from: "rohit30002"
Quote from: "tanha dil tanha safar"
Roz badalte mausam jaise kabhi na badli tanhayee
      Isiliye humko lagti hai sabse achchi tanhayee

      Khamoshi ki sard hawayen lekar aayee tanhayee
      Dhoop khayal-e-yaar ki nikli, pal meiN pighli tanhayee

      Lagta hai phir aaj sheher meiN koi tanha-tanha hai
      Dhoond rahi hai phir koi dil door bhatakti tanhayee

      Yadon ke jab phool khkileiN to dil ka aalam kya kahiye
      Har lamhe meiN ghul jaati hai kisi mehek si tanhayee

      VeeranoN ki chhat sir pe aur sannatoN ki deevareiN
      Meri duniya hai itni si maiN aur meri tanhayee

      Beetey huve khushrang paloN ke dil pe saye lehraye
      Ik chandi ka moti ban kar aankh se tapki tanhayee

      Besabri se har ek lamha wo bhi guzara karti hai
      Sooraj dooba sham dhali aur ghar se nikli tanhayee

      Uski zuban-e-khamoshi ko samjhna koi khel nahiN
      Mehfil wale kya samjhenge kya hai kehti tanhayee

      Khush hota huN to lagta hai har pal mujhko ae 'dost'
      Merey naam na ho jaaye phir aaj kisii ki tanhayee



it's really good

This is only for you

Kaun kahta hai kii hum tanha hai..............,
Hamare saath to hamari tanhaai hai...........|
Khuda ne dekar hame BHOJ-E-GAM .........,
Hamari sharafat kya khuhb aajmaayi hai........||


nnice one tanha n rohit gr8888 .....!!
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #8 on: May 30, 2005, 11:48:55 AM »
Quote from: "tanha dil tanha safar"
thanks again rohit.

& you r welcome to yoindia...........................


thanks tanha dil.............
mere paas aur bhi bahut sher hain aapke liye.


Kaun kahta hain hume apno se dhoka mila............,
Are hume to yahan koi apna hi na mila.............|
Marne ke baad hi sahi agar moka mila..............,
To karenge khuda se hum iska gila..............||
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #9 on: May 30, 2005, 11:50:14 AM »
Quote from: "salma4u"
Quote from: "rohit30002"
Quote from: "tanha dil tanha safar"
Roz badalte mausam jaise kabhi na badli tanhayee
      Isiliye humko lagti hai sabse achchi tanhayee

      Khamoshi ki sard hawayen lekar aayee tanhayee
      Dhoop khayal-e-yaar ki nikli, pal meiN pighli tanhayee

      Lagta hai phir aaj sheher meiN koi tanha-tanha hai
      Dhoond rahi hai phir koi dil door bhatakti tanhayee

      Yadon ke jab phool khkileiN to dil ka aalam kya kahiye
      Har lamhe meiN ghul jaati hai kisi mehek si tanhayee

      VeeranoN ki chhat sir pe aur sannatoN ki deevareiN
      Meri duniya hai itni si maiN aur meri tanhayee

      Beetey huve khushrang paloN ke dil pe saye lehraye
      Ik chandi ka moti ban kar aankh se tapki tanhayee

      Besabri se har ek lamha wo bhi guzara karti hai
      Sooraj dooba sham dhali aur ghar se nikli tanhayee

      Uski zuban-e-khamoshi ko samjhna koi khel nahiN
      Mehfil wale kya samjhenge kya hai kehti tanhayee

      Khush hota huN to lagta hai har pal mujhko ae 'dost'
      Merey naam na ho jaaye phir aaj kisii ki tanhayee



it's really good

This is only for you

Kaun kahta hai kii hum tanha hai..............,
Hamare saath to hamari tanhaai hai...........|
Khuda ne dekar hame BHOJ-E-GAM .........,
Hamari sharafat kya khuhb aajmaayi hai........||


nnice one tanha n rohit gr8888 .....!!



Thanks salma
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #10 on: May 30, 2005, 12:08:03 PM »
Quote from: "rohit30002"
Quote from: "tanha dil tanha safar"
thanks again rohit.

& you r welcome to yoindia...........................


thanks tanha dil.............
mere paas aur bhi bahut sher hain aapke liye.


Kaun kahta hain hume apno se dhoka mila............,
Are hume to yahan koi apna hi na mila.............|
Marne ke baad hi sahi agar moka mila..............,
To karenge khuda se hum iska gila..............||


very nice Rohit

itni nazdiki se dil ko hila doge
to kuch bhi nahi bachega mere paas.

very very nice yaar.
Logged
Tosha
Guest
«Reply #11 on: June 02, 2005, 12:14:51 PM »
main ek wo hun
ek saya na jane kiska
ek mandh ahesas
kabhi dikhne wala
kabhi na dikhne wala
tum kya khud ko tanha kahete ho
tum kya jano ruswai kya hai
tum to roz muskarate ho
chahe wo kyo na ho juthi hasi
main kya hun
kya main khud yeh jaanta hun
na roop na koi rekha
main to kala saaya hun
benaam anjan gumnaam
mujhse puchi kya hiti hai tanhai
kya tota hai pal pal akele rahena
aakho main aask bhi ho to nami nahi
dekho to kaise jeeta hun main
pal pal har pal akela
Logged
Tosha
Guest
«Reply #12 on: June 06, 2005, 04:45:00 PM »
Quote from: "tanha dil tanha safar"
Quote from: "rohit30002"
Quote from: "tanha dil tanha safar"
thanks again rohit.

& you r welcome to yoindia...........................


thanks tanha dil.............
mere paas aur bhi bahut sher hain aapke liye.


Kaun kahta hain hume apno se dhoka mila............,
Are hume to yahan koi apna hi na mila.............|
Marne ke baad hi sahi agar moka mila..............,
To karenge khuda se hum iska gila..............||


very nice Rohit

itni nazdiki se dil ko hila doge
to kuch bhi nahi bachega mere paas.

very very nice yaar.


dekho to ek nasar tum bhi
tarasta hai koi teri ek nazar ko
aapna mano to tun use bhi
dil liye tumhare dwar pe khara hai koi
Logged
Tosha
Guest
«Reply #13 on: June 29, 2005, 03:33:44 AM »
Sukun ke do din nahi milte mujhe
Is mohabbat main to zakham mile hai
Jala jata hai tu seena mera
Teri mohabbat main to hum mar mite hai
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #14 on: June 29, 2005, 05:35:29 AM »
nice again Tosha jiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii......................... .............
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:58:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer