**Taraste rehte hai** by Rahim

by dead heart on June 02, 2010, 04:09:50 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1164 times)
dead heart
Guest
Mere dil ke paas koi udaas hone ki wajah nahin hai mager phir bhi dil kuch ankahi rulane wali baatein karta hai...Dil ki gehraion se yeh nazm...

Rona toh aj kal fitrat hai humari; ashk behte rehte hai,
Nadian banti rehti hai; woh inhe sirf dekhte rehte hai…

Nazara humare ghum ka logon ko behad pasand ata hai,
Ek hum hi hai jo inhe sirf chup chap sehte rehte hai…

Bayan karta hoon apne jazbaton ko;woh has kar tal dete hai,
Ab toh hum inhe dil-e-kabrastan main ked karte rehte hai…

Mohobat hai ghumon ko mujse itni zada ‘Khamosh’ ke,
Sabko chorr yeh mere pas hi aa kar baste rehte hai…

Registan main jaise pyaase pani ki talab rehti hai,
Hum bhi mohobat ki bundon ko taraste rehte hai…

Rona toh aj kal fitrat hai humari; ashk behte rehte hai,
Nadian banti rehti hai; woh inhe sirf dekhte rehte hai…



~Rahim~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bewafa sanam aaj taraste hai..... by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Taraste Hain ..! by Delicate_Doll in Shairi - E - Zindagi
****TARASTE RAHE**** by baadal102 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Taraste dekha hai... by brokenbyluv in Shayri-E-Dard
Hum deedare yar ko taraste rahe by nandbahu in Miscellaneous Shayri
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: June 02, 2010, 05:19:23 PM »
nice one
Mere dil ke paas koi udaas hone ki wajah nahin hai mager phir bhi dil kuch ankahi rulane wali baatein karta hai...Dil ki gehraion se yeh nazm...

Rona toh aj kal fitrat hai humari; ashk behte rehte hai,
Nadian banti rehti hai; woh inhe sirf dekhte rehte hai…

Nazara humare ghum ka logon ko behad pasand ata hai,
Ek hum hi hai jo inhe sirf chup chap sehte rehte hai…

Bayan karta hoon apne jazbaton ko;woh has kar tal dete hai,
Ab toh hum inhe dil-e-kabrastan main ked karte rehte hai…

Mohobat hai ghumon ko mujse itni zada ‘Khamosh’ ke,
Sabko chorr yeh mere pas hi aa kar baste rehte hai…

Registan main jaise pyaase pani ki talab rehti hai,
Hum bhi mohobat ki bundon ko taraste rehte hai…

Rona toh aj kal fitrat hai humari; ashk behte rehte hai,
Nadian banti rehti hai; woh inhe sirf dekhte rehte hai…



~Rahim~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: June 02, 2010, 06:59:38 PM »
Thanksh Manoj jee Usual Smile
Logged
cara
Guest
«Reply #3 on: June 03, 2010, 03:23:12 AM »
WAH KYA BAAT HAI       RAHIM JI.....

WO JAANTI HAI HUM UNKI CHAH MEIN KITNE TARASTE RAHETE HAI
FIR BHI NA JAANE WO HAME KYUN ITNA TARSATI RAHETI HAI....
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: June 03, 2010, 09:20:03 AM »
shukriya aur bahaut khoob Cara jee
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: June 03, 2010, 12:58:29 PM »
 Applause Applause Applause

Bahut bahut khoob likha hai Rahim bhai... bahut khoob...!!!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: June 03, 2010, 03:03:56 PM »
Shukriya Kapil Dost!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:21:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer