TERA CHEHRA.........(GHAYEL)

by sajid_ghayel on November 20, 2008, 07:31:19 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1636 times)
sajid_ghayel
Guest
Tera chehra bhi to kitna raushan nazar aata hai
Q na aate who dulhan banke teri mayyat pe ghayel
Baad marne ke tu dulha nazar aata hai

Aasoo ab bhi aakho me jama nazar aata hai
Q na muskara de teri is ada pe woh ghayel
Jo mar gaya hazar dard liye sine me, uska chehra mano muskurata hai

Koi jata nahi hain sath har shaks dafna ke laut aata hai
Q na kare aitraz  is shariat* par ghayel
Ek bas aaye na aurat meri mazar pe, yu to achcha bura har mard aata hai

Har hath duao me utha nazar aata hai
Q na mange sath sabke rab se meri maghfirat** katil mera
Dil me uske ab bhi thoda reham nazar aata hai


                                                        -Sajid Ghayel-

*     Islamic Laws
**   Asking Forgiveness from from Allah
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TERA CHEHRA BAN KAR...!!! by SADIQA JAWED in Shayri for Dard -e- Judai
Tera Chehra,.. by Azeem Azaad in Shayari -e- Husn
CHEHRA TERA by BHONDU in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
CHEHRA TERA by abeera in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tera Chehra by just_asim in Shayri-E-Dard
baadal102
Guest
«Reply #1 on: November 20, 2008, 08:28:14 AM »
bahut khoob ghayal sahab Applause






Baadal
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: November 20, 2008, 08:39:12 AM »
Thank you baadal
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: November 20, 2008, 02:59:49 PM »
sajid_ghayel ji!
Revolutionary ho kyaa?
"Koi jata nahi hain sath har shaks dafna ke laut aata hain
Q na kare aitraz  is shariat* par ghayel
Ek bas aaye na aurat meri mazar pe, yu to achcha bura har mard aata hain"
Khudaayee kaanoon key khilaaf to naheen hai yeh?
In teen laainoun mein, 'hain' ki jagah 'hai' hotaa to mazah aur bhi badhh jaataa! Urdu mein aisee jagah 'hai' hi isteymaal kiyaa jaataa hai!
Mein koyee barhaa jaankaar to naheen hoon, aap kisee barhey jaankaar ki salaah bhi leykar deykhiyegaa!
                              - abd bundeli
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: November 20, 2008, 03:05:17 PM »
Abd bhai bohat shukriya hausla afzai ke liye waise main samjha nahi aap kya chah rahe hain anyway aapke hukm ki tameer hui hain aur aainda ke kalamo me bhi hogi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: November 20, 2008, 03:35:50 PM »
Abd bhai bohat shukriya hausla afzai ke liye waise main samjha nahi aap kya chah rahe hain anyway aapke hukm ki tameer hui hain aur aainda ke kalamo me bhi hogi
Thanks! I'm obliged! I want to see you a 'big one'!
                          - abd bundeli
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #6 on: November 20, 2008, 03:38:42 PM »
very nice shayari for sajid ghayel ji well done

waise hum aapke derd ki izzat karte hai
apne door se hi kisi ko apna samjh liya
itni toh hum aapki samjh ki kadr karte hai
kisi ka chehra aapke liye kafi hai
ye sunkar aapke irado ki kadr kartein hai

duniya mein kitne log hote hai jo
zindagi ke pahloon ke naye chahre dekhte hai
kisi ko naseeb ka chahera milta ,
toh kisi ko khudgarzi ka chahera milta
kya kahe in chaheron ke baarein mein
in chaheron mein kai raaz chupe hote
magar masumiyat bhi bahut khoob hoti
isliye toh har kisi ke dil mein ye masumiyat achi lagti
kya karein ye chahere bhi toh kudart ki dein hai
jiko lubha gaye woh bhi toh sabse meen hai


har chahere mein koi na koi baat hoti hai
kisi mein dukh toh kisi mein khushi nazar aati hai
kisi mein dillagi toh kisi nafrat nazar aati hai
kisi ka chahera phool jaisa muskurata hua
toh kisi ka murjhata hua nazar aata hai
kisi ke dil ka bayaan chahre ke jhil si ankhon zahir hota
toh kisi ke liye woh chahra hi kafi hota

kya kahe in chaheron ke kitne roop hote
jo jitne kareeb hote woh utne door hote
ye zindagi ke do pahloon hote
na jane koun samjhe jane
ye toh zindagi do rule hote
chahere ke kai roop hote'

*************************************MUSKAN**********************
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: November 20, 2008, 03:47:37 PM »
Bohat Shukriya muskan aur bohat khoobsurat jawab tha tumhara well done
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #8 on: November 20, 2008, 03:57:34 PM »
THANKS 'SAJID GHAYEL' JI

AAP BHI HUMARE JAWAB MEIN
JAWAB DETE TOH ACHA HOTA
TARIF DI USKE LIYE SHUKRIYA
SHAYARI DETE TOH ACHA HOTA

****************************************MUSKAN*******************
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: November 20, 2008, 09:33:29 PM »
Sawal mukhtasar kar main jawab mukhtasar karu
Jo lage bojh dil aur dimag ko woh baat main q karu
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: November 20, 2008, 09:35:42 PM »
Anyway i am very thankful to baadal Abd bhai and muskan jee kam se kam aapne me mere ghatiya kalam ki izzat to rakh li.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: November 20, 2008, 09:46:50 PM »
Sawal mukhtasar kar main jawab mukhtasar karu
Jo lage bojh dil aur dimag ko woh baat main q karu


yah parr kar ek he shabd man main ayya hai aor wo hai..

Suchi muchi?Huh??
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #12 on: November 20, 2008, 09:53:25 PM »
sachchi muchchi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: November 20, 2008, 10:25:04 PM »
HER BAAT MAIN ZEHAR, HER LAFZ LAGE TEERA SA
WO KARE BAAT CHEHRE KI, LAGA HUME BAHOOT AJEEB SA
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #14 on: November 20, 2008, 10:36:30 PM »
Main zehar hu to muje peeti q ho
Jo main teer hu to yeh zakhm sehti q ho
Ishq hain mujse ya nafrat ya faisla karo abhi
Guma fira ke har baat apni kehti q ho
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:25:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.167 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer