TERA CHEHRA.........(GHAYEL)

by sajid_ghayel on November 20, 2008, 07:31:19 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1630 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: November 20, 2008, 10:41:16 PM »
baat chehre ki thi, app per kyun aa gai
yah kis taraf ko shayri ki rut cha gai
insaan hu, insaaniyat talashti hu
kaya karu ab tak dunia ki fidrat nahi pehchanti hu
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TERA CHEHRA BAN KAR...!!! by SADIQA JAWED in Shayri for Dard -e- Judai
Tera Chehra,.. by Azeem Azaad in Shayari -e- Husn
CHEHRA TERA by BHONDU in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
CHEHRA TERA by abeera in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tera Chehra by just_asim in Shayri-E-Dard
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #16 on: November 21, 2008, 12:35:34 AM »
Tera chehra bhi to kitna raushan nazar aata hai
Q na aate who dulhan banke teri mayyat pe ghayel
Baad marne ke tu dulha nazar aata hai

Aasoo ab bhi aakho me jama nazar aata hai
Q na muskara de teri is ada pe woh ghayel
Jo mar gaya hazar dard liye sine me, uska chehra mano muskurata hai

Koi jata nahi hain sath har shaks dafna ke laut aata hai
Q na kare aitraz  is shariat* par ghayel
Ek bas aaye na aurat meri mazar pe, yu to achcha bura har mard aata hai

Har hath duao me utha nazar aata hai
Q na mange sath sabke rab se meri maghfirat** katil mera
Dil me uske ab bhi thoda reham nazar aata hai


                                                        -Sajid Ghayel-

*     Islamic Laws
**   Asking Forgiveness from from Allah



waah! ghayel sajid sahab... yakeen nahee aata, aap k jaisa khush haal banda itnee gehree aur ghumgeen shairee lihktha hai! lol. wo comedian kahaan gaya? wo muhjko zayada pasand hain!
lol. just joking! bahot pyaaree nazm theeh, par khudko mara huwa paesh kiya? kyon?

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #17 on: November 21, 2008, 03:08:01 AM »
 Applause Applause Applause Applause
Sajid...yun to tumhaari likhi lag-bhag sabhi shayri mujhe pasand hai..lekin...is post ki to baat hi niraali....khayalon se malamal aur shabdon se bharpoor....mujhe ek ek line balki ek ek shabd bahoooot bahoot satik laga........
dusara sher padh-ke apne aansoo ko mai rok nahi paaya......kya hi khari baat, kya hi sachchi baat....
har sher ke liye ...hazaron, sekdon, lakhon daad kabool karen
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #18 on: November 21, 2008, 03:48:52 AM »
usake bejaan chehre, pe farishton sa noor tha,
jo zindadili ke liye, azeezon me mash-hoor tha,
phool bhi na uthane diya jisne, jeet-e-jee mujhe
waqt-e-rukhsati mere kandhon pe jaane ko majboor tha,

sui ka bhi jakhm jiske badan pe mujhko bada nagwaar tha,
use karne ko supurd-e-khaak aaj, mai majboor tha,
aage na padh sake jo, samajh lena yaaron
ye bheeg chuke kagaz ki roshnaai ka kasoor tha
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #19 on: November 21, 2008, 06:01:18 AM »
anjaan bohat bohat shukriyaa meri mamuli si koshish ko pasand karne ke liye aur jaha tak comedian ghayel ki baat hain to jab jab aap ko zarurat ho bas ek baar hame ched dena aapke chehre pe hasee le aayege.  NaNaNa
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #20 on: November 21, 2008, 06:10:35 AM »
usake bejaan chehre, pe farishton sa noor tha,
jo zindadili ke liye, azeezon me mash-hoor tha,
phool bhi na uthane diya jisne, jeet-e-jee mujhe
waqt-e-rukhsati mere kandhon pe jaane ko majboor tha,

sui ka bhi jakhm jiske badan pe mujhko bada nagwaar tha,
use karne ko supurd-e-khaak aaj, mai majboor tha,
aage na padh sake jo, samajh lena yaaron
ye bheeg chuke kagaz ki roshnaai ka kasoor tha

Samaj me nahi aa raha ke kis tarah tareef karu bas itna keh sakta hu yaar yeh thread maine tumhare nam kiya waise tum bhi mauka dekh ke chauka mar hi dete ho

Jise tum kehte ho hunar nahi guftugoo ka
Woh sanjeev hoga bekarar ho nahi sakta
Sajid kar le kitni bhi koshsih ta umr
Ghayel jaisa usme khumar ho nahi sakta
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:30:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer