Tere Aansuon Se Ghayel Hain..

by Aryaan on October 18, 2006, 05:46:10 AM
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Author  (Read 4570 times)
angel4u
Guest
«Reply #15 on: October 25, 2006, 05:18:03 PM »
Thanks tum bhi kuch kam nahi ho... Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SAB POOCHTE HAIN...........(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2  All »
KUCH TO BAAT HAIN........(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Bohat Gussa Hain..........(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #16 on: October 25, 2006, 05:20:10 PM »
Ye sab Apki Meharbaani Hai,..


Aisa Naseeb Bangaya Mera,..
Ke Har koi Najaat Mangta Hai Mere Naseeb Se,..

________________________________-Jaanasheen-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #17 on: October 25, 2006, 08:00:52 PM »
Naseeb to khair sabke hi dhoka dete hai,
Naseebon pe aitbar na kar ye to puri zindagi barbaad kar dete hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #18 on: October 26, 2006, 12:08:46 AM »
Bohat khoob Angel & Azeem...
Logged
jalpari
Guest
«Reply #19 on: October 29, 2006, 08:11:14 PM »
Quote from: "Aryaan"
Kaha Main Ne, Sunaao Haal
Uss Shab Ka Jab Hum Bichde
Woh Bola..
Thi Woh Aisi Shab
Main Uss Shab Toot Ke Roya
Main Kehti..
Yaad Hai, Uss Din Tere Kaandhe Pe Royi Thi
Woh Bola
Aaj Tak Mere Shaane
Tere Aansuon Se Ghayel Hain...


So nice Aryaan, really bohut achi hai ye poem.
Logged
jalpari
Guest
«Reply #20 on: October 29, 2006, 08:12:20 PM »
Quote from: "angel4u"
Bahut achhe azeeemmm... Usual Smile


Peshaaniyon Pe Likhe Muqaddar Nahi Mile,
Dastaar Kahan Milenge Jahan Sar Nahi Mile,

Aawargi Ko Dubte Suraj Se Rabt Hai,
Magrib Ke Baad HuM Bhi To Ghar Par Nahi Mile,

Kal Aayno Ka Jashn Hua Tha TaMaM Raat,
Andhe TaMash-Bino Ko Pathar Nai Mile,

Main Chahta Tha Khudse Mulaqat Ho Magar,
Aaiyne Mere Qad Ke Barabar Nahi Mile,

Pardes Jaa Rahe Ho To Sab Dekhte Chalo,
MuMkin Hai Wapas Aao To Ye Ghar Nahi Mile...
* * * * *

wow Angel, relly gud 1..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #21 on: October 30, 2006, 01:08:04 PM »
Bahoot Khoob,l,

Dard Jab Toot Kar Behne Lagaa Dil Se Mere,..
Sab Kehte Rahe Waah Kya Nashaa Hai Iske Dard Ka Bhi.,.

______________________________________-Jaanasheen-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #22 on: October 30, 2006, 05:19:30 PM »
Thanks jalpari Usual Smile


HuM Bhi Apne Dilki Haar Se Pareshan Hai TuM Bhi Ho,
Andar Se Reza Reza Meri Jaan TuM Bhi Ho,
HuM Bhi Hai Ek Ujdi Hui Basti Ki Tarah,
Aankhein Bata Rahi Hai Ke Veeran TuM Bhi Ho,
Pareshan Hai HuM Bhi Kadi Dhoop Ke Safar Se,
Saaye Ki Aarzu Mein Pareshan TuM Bhi Ho,
HuM Bhi Khizan Ki ShaaM Ka Aangan Hai Be-Charaag,
Sukhe Hue Ped Ki Darakton Jaise TuM Bhi Ho,
Jiase Kisi Khayal Ka Saya Hai Do Wajood,
HuM Bhi Agar Bekarar Hia, Bechain TuM Bhi Ho,
Mil Jayein HuM To Kaise Suhana Safar Kate,
Ghayal Hai HuM Bhi, Dilse ZakhMi TuM Bhi Ho...
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #23 on: October 31, 2006, 02:23:44 AM »
Bohat khoob Azeem & Angel....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #24 on: October 31, 2006, 12:11:17 PM »
Bahoot Khoob Husena Ji,..

Shukriya Aryaan Bhai,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #25 on: October 31, 2006, 12:13:13 PM »
Lab Khulte Nahi Ab Mere Uskaa Naam Bhi Lene Ke Liye.,..
Kuch Is Kadar Usne Humse Ki Thi Bewafaai Jaanasheen,..

___________________________________-Jaanasheen-
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #26 on: October 31, 2006, 12:37:40 PM »
Jee Majid sahab, Hum sab tau lage hi raheinge... Bas aap tareef ke liye aate rahiye ga... :D
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #27 on: October 31, 2006, 01:24:16 PM »
Jaise App sab Kare,..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #28 on: October 31, 2006, 05:33:32 PM »
Thanks majid, aryaan and azeem...


Shaher Ki Raat Aur Main Naashaad O Nakara Phiroon,
JagMagati Jaagti Sadkon Pe Aawara Phiroon,
Gair Ki Basti Me Kab Tak Darbadar Maara Phiroon,
Aye GaM-E-Dil Kya Karun Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun,

JhilMilate QuMqaMon Ki Raah Mein Zanjeer Si,
Raat Ke Haathon Mein Din Ki Mohni Tasveer Si,
Mere Seene Par Dil Dhaki Hui ShaMsheer Si,
Aye GaM-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Ye Rupehli Chhanv Ye Aakash Par Taaron Ka Jaal,
Jaise Soofi Ka Tasavvur Jaise Aashiq Ka Khayal,
Aah Lekin Kaun Jaane Kaun SaMjhe Jee Ka Haal,
Aye GaM-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Phir Wo Toota Ek Sitara Phir Wo Chhuti Phooljhadi,
Jaane Kiski God Mein Aayi Ye Moti Ki Ladi,
Hook Si Seene Mein Uthi, Chot Si Dil Par Padi,
Aye GaM-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Raat Hans Kar Ye Kehti Hai Ke Maikhane Mein Chal,
Phir Kisi Shehnaaz Lala Rukh Ke Kaashaane Mein Chal,
Ye Nahi Lekin To Phri Aye Dost Veerane Mein Chal
Aye GaM-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Raaste Mein Ruk Ke DaM Loon Ye Meri Aadat Nahi,
Laut Ke Wapas Chala Jaun Meri Fitrat Nahi,
Aur Koi HuMnava Mil Jaye Ye KisMat Nahi,
Aye GaM-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Muntazir Hai Ek Toofan-E-Bala Mere Liye,
Ab Bhi Jaane Kitne Darwaze Hai Wahan Mere Liye,
Par Museebat Hi Mera Ahd-E-Wafa Mere Liye,
Aye GaM-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Jee Mein Aata Hai Ke Ab Ahd-E-Wafa Bhi Tod Dun,
Unko Paa Sakta Hoon Main Ye Aasra Bhi Tod Dun,
Haan Munasib Hai Ye Zanjeer-E-Hawa Bhi Dun,
Aye GaM-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Ek Mahel Ki Aad Se Nikla Wo Peela Mehtaab,
Jaise Mulla Ka AMaaMa Jiase Banye Ki Kitaab,
Jaise Muflis Ki Jawani Jaise Bewa Ka Shabab,
Aye GaM-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Dil Mein Ek Shola Bhadak Utha Hai Aakhir Kya Karun,
Mera PaiMana Chhalak Utha Hai Aakhir Kya Karun,
ZakhM Seene Ka Mehek Utha Hai Aakhir Kya Karun,
Aye GaM-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Jee Mein Aata Hai Ye Murda Chand Taare Noch Lun,
Is Kinaare Noch Loon Aur Us Kinaare Noch Lun,
Ek Do Ek Zikr Kya, Saare Ke Saare Noch Lun,
Aye GaM-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Muflisi Aur Ye Mazaahir Hai Nazar Ke SaMne,
Sainkdo Sultaan-O-Jaabir Hai Nazar Ke SaMne,
Sainkdo Changaiz-O-Naadir Hia Nazar Ke SaMne,
Aye GaM-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Le Ke Ek Changaiz Ke Haathon Se Khanjar Tod Dun,
Taaj Par Uske DaMakta Hai Jo Pathar Tod Dun,
Koi Tode Ya Na Tode Main Hi Badh Kar Tod Dun,
Aye GaM-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...

Badh Ke Is Andar Sabha Ka Saaz-O-SaMaan Phoonk Dun,
Is Ka Gulshan Phoonk Dun, Uska Shabistaan Phoonk Dun,
Takht-E-Sultaan Kya, Main Sara Qisr-E-Sultan Phoonk Dun,
Aye GaM-E-Dil Kya Karun, Aye Vehshat-E-Dil Kya Karun...
{NM}
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #29 on: November 01, 2006, 05:00:19 PM »
Bohat achi aur lambi sharing hai Angel, kal padna shuroo ki thi, aaj ja kar khatm huwi.. :D
Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:56:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer