Tere Aansuon Se Ghayel Hain..

by Aryaan on October 18, 2006, 05:46:10 AM
Pages: 1 2 [3] 4  All
Print
Author  (Read 4589 times)
angel4u
Guest
«Reply #30 on: November 01, 2006, 05:19:18 PM »
arey itna time lagta hai tumhep adhne me?? tongue3


Diye UMMidon Ke Bujha Gaya Hai Koi,
Andhere Zindagi Mein Badha Gaya Hai Koi,

Lafzon Ka DaaMan Kabhi Itna Khali Na Tha,
Sochon Par Bhi Pehre Laga Gaya Koi,

Dil Ki ZaMeen Par Ek Gharonda Bana Kar,
Meri Zindagi Par HukuMat Kar Raha Hai Koi,

Zeest Ka Safar Itna Kathin Na Tha Kabhi,
Manzil Ke Nishan Bhi Mita Gaya Hai Koi,

Ujde Raste Par Tooti Deewar Ke Maanind
Pathrai Aankhon Se Tera Intezar Kar Raha Hai Koi...
* * * * *
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SAB POOCHTE HAIN...........(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2  All »
KUCH TO BAAT HAIN........(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Bohat Gussa Hain..........(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #31 on: November 04, 2006, 01:06:51 PM »
Bahoot Aachi THi Shayari Apne Jo Share Ki Thi,..

And Nice One,..
Husena Ji,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #32 on: November 04, 2006, 05:19:02 PM »
Tujh Bin To Meri Zaat Mein Kuch Bhi Na Raha,
Kho Ke Tujhe Hayaat Mein Kuch Bhi Na Raha,

Haathon Mein Haath ThaM Ke Chalte The Saath Saath,
Bichhde Jo TuM To Haath Mein Kuch Bhi Na Raha,

Raaton Ko Jagti Thi Teri Yaad Mein Kabhi,
Ab TuM Nahi To Raat Mein Kuch Bhi Na Raha,

Kis Kis Ko Ye Kahani Sunaoge TuM JaanaM,
Chhodo Ab Is Baat Mein Kuch Bhi Na Raha...
* * * * *
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #33 on: November 06, 2006, 01:05:07 PM »
Bahoot Khoob Husena Sis,..
And Nice One,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #34 on: November 06, 2006, 01:08:15 PM »
Apne Mujhe Denge Gham Iska Andaaza Na Tha,..
Thukraayenge Mujhe Wo Iska Bhi Iraada Na Tha,..
Aaj Kehte Hain Wo Hume Ke Hum ne Kasmein Todi Hain,.
Door Jaakar Khush Rahoonga Main Aisa Unse Koi Waada Na tha,..

_______________________________________________-Jaanasheen-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #35 on: November 06, 2006, 05:43:56 PM »

Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya Na Jaa Saka,
Usko Bhi Dil Ka Haal Bataya Na Jaa Saka,

ZakhMon Se Choor Choor Tha Ye Dil Mera,
Ek ZakhaM Bhi Usko Dikhaya Na Jaa Saka,

Jab Teri Yaad Aayi To Koshish Ke Bawajood,
Aankhon Mein Aansuon Ko Chhupaya Na Jaa Saka,

Kuch Log Zindagi Mein Aise Bhi Aaye Hain,
Jinko Kisi Bhi LaMhe Bhulaya Na Jaa Saka,

Bas Is Khayal Se Kahin Usko Dukh Na Ho,
HuMse To Haal-E-GaM Bhi Sunaya Na Jaa Saka,

Wo Muskuraya Tha Mere Ru-Ba-Ru Magar
Chehre Ka Rang Usse Chhupaya Na Jaa Saka,

Tanhaiyon Ki Aag Mein HuM Jal Gaye,
Magar Faasla Jo DarMiya Tha Mitaya Na Jaa Saka...
* * * * *
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #36 on: November 08, 2006, 02:16:52 PM »
Bahoot Khoob Husena Didi,..
Kamaal Ka Likha hai,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #37 on: November 08, 2006, 02:18:12 PM »
Dard Mera Na Jaan Sake Wo,..
Aaj Poochte Hain Ki Zakham Dikhaao,..

______________________-Jaanasheen-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #38 on: November 08, 2006, 05:38:17 PM »
Thanks azeem and nice one...

Aansu maine rok liye hai,
khwabon ka gharonde tod diya hai,
khat bhi saare phaad diye hai,
dil ko maine band liya hia,

band ye darwaze khol na jana,
tum mujhe ab yaad na aana,

sheesh mahel ke ye sundar sapen,
tune chakna choor kiye hai,
tere naam pe behte aansu
khamoshi se zabt kiye hai,

zabt ke bandhan tod na jana,
tum mujhe ab yaad na aana,

ek ek kar ke saare panchhi,
apne gharon ko chale gaye hai,
prem nagar ke wo darwaze
maine thak ke band kiye hai,

dar ye saare khol na jana,
tum mujhe ab yaad na ana...
* * * * *
Logged
sanya310
Guest
«Reply #39 on: November 10, 2006, 06:25:16 PM »
bohot hi khubsoorat likha hai, aryaan n everyone else..

Uss ko chaaha bhi tou Izhaar na karna aaya
Lut gaaey hum , magar Pyaar na karna aaya
Uss ne maanga bhi tou hum se, Judaai maangi
Aut hum thhe , humein Inkaar na karna aaya


nm
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #40 on: November 12, 2006, 03:24:25 PM »
Bahoot Khoob Husena Sis,..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #41 on: November 12, 2006, 05:24:58 PM »

HuM Isse Jeet Hi Lenge Dilko Ye Yakeen Tha,
Ye Khel Bhi Haar Gaye HuM Koi GuMaan Hone Tak,

MoM Ka Badan Nahi Hota Ya Dhoop Nahi Itni Tez Hoti,
HuM To Jhulas Ke Reh Gaye Koi Saibaan Hone Tak,

HuM Hi KaMfehaM The Ya Zindagi Hi Dushwaar Thi,
Intezaar Mein HuM Reh Gaye Iske Aasan Hone Tak,

Koi Aisa Dar Milta Ke Jaan Se Hi Guzar Jaate,
HuM To Khud Patthar Rahe Us But Ke Jaan Hone Tak,

UMr Bhar Taraste Rahe Nazr-E-Iltafaat Ko,
HuM Kaheen Ke Nahi Rahe Uske Meherbaan Hone Tak...
* * * * * [NM]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #42 on: November 13, 2006, 12:42:24 PM »
Thanx For Sharing Husena Sis,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #43 on: November 13, 2006, 12:45:53 PM »
Yun Barbaad Hua Ke Phir Kisi Se Chahat Na Mili,,..
Mili Zamaane Ki Raunakhein Hume Par Dil KO Rahat Na Mili,..

_________________________________________-Jaanasheen-
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #44 on: November 15, 2006, 12:29:03 AM »
Thank you Sanya...

Bohat khoob Angel, Azeem & Sanya...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:54:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer