Tere Bagair Jeena Chahta Hoon.

by majid on January 03, 2009, 03:02:36 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 5568 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #15 on: January 05, 2009, 08:25:05 PM »
Bohat Umda Rep Diya Hai Bhai Aapne
Ab Aur Main Kya Likhu?
Khair Koshish Karta Hoon Galti Maaf Ho....


 Tere Jawaab Likhun Yaan Ki Apne Sawaal Likhun
   Kin Lafzon Main Aakhir Apne Dil Ki Baat Likhun.

  Tumne To Kar Diya Mehfilon Mein Qissa Apna Bayaan
  Tu Hi Bata Ab Is Mehfil Mein Apne Haalat Kya Likhu.

  Ghum Nahi Likhun To Kya Woh Khuishiyan Tamam Likhun
  Nikle Hai Jo Armanon Ke Janaze Unko Kya Baarat Likhun

   Jaane Ye Kaisa Dor Hai Ki Ab Jeena Bhi Mushqil Hua
  Tere Bagair Zindagi Ko Maut Likhu Yaan Hayaat Likhun.

     Tere Jawaab Likhun Yaan Ki Apne Sawaal Likhun
     Kin Lafzon Mein Aakhir Apne Dil Ki Baat Likhun




Waaah Mere Bhai Nice One Again,.

Na Sawaal Likhna, Na Koi Jawaab Likhna,.
Meri Haqeeqat Ko Tu, Bas Ek Khwaab Likhna,.

Zakham Diya Hai Maine Sabhi Chahne Waalon Ko Mere,.
Kaanta Hoon Main, Mujhe Na Tu Gulaab Likhna,.

Maut Hi Sachchaai Hai Maut Hi Wafaa Daar Hai,.
Zindagi To Bewafa Hai, Ise Tu Kharaab Likhna,.

Hum Hain Aaj, Kal Guzar Jaayenge "Azeem,.
Sab Pardhkar Doharaye, Aisi Koi Kitaab Likhna,.

Khushi Ka Naam, Sirf Sunta Aaya Hai "Azeem",.
Iski Zindagi Jo Beeti Hai, Tu Use Azaab Likhna,.

____________________________-Jaanasheen-

Ek Koshish Dil Se,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #16 on: January 10, 2009, 09:14:09 AM »
wah wah wah wah wah kya kehne
bohat hi umda rep diya hai mere bhai
ab hum kya likhe bolti band kardi mhmh
kahir koshish karunga kuch bana to.

Shukriya Majid Bhai..
Waise Aapse Hi To Seekha Hai,.

Logged
k.shael
Guest
«Reply #17 on: January 10, 2009, 09:24:59 AM »
Bahut khoob sabne bahut aacha likha hai
Specially Azeem u r 2 good yaar...

Shally.

Na yaar likhna na pyaar likhna mujhe to
bass ek aadmi bezaar likhna,

Na khush likhna na behaal likhna mujhe
bass ek lachaar likhna,

Na hassi likhna na aansoo likhna mere hisse
me sirf ek haar likhna,

Bahut dard sahe par mohabbat ka karz na chuka
paaya aisa mujhe ek karzdaar likhna.

Shally.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #18 on: January 10, 2009, 09:29:26 AM »
Bahut khoob sabne bahut aacha likha hai
Specially Azeem u r 2 good yaar...

Shally.

Na yaar likhna na pyaar likhna mujhe to
bass ek aadmi bezaar likhna,

Na khush likhna na behaal likhna mujhe
bass ek lachaar likhna,

Na hassi likhna na aansoo likhna mere hisse
me sirf ek haar likhna,

Bahut dard sahe par mohabbat ka karz na chuka
paaya aisa mujhe ek karzdaar likhna.

Shally.

Waah Waah,.
Kyua Khoob Kahaa Hai,.
Mazaa Aagaya,.

Aur Shukriya Ke Aapko Bhi Hamaari Koshish Pasand Aayi
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #19 on: January 10, 2009, 09:31:14 AM »
Dard Aur Tanhaai Ko Peena Chahta Hoon
Haan Ab Tere Bagair Hi Jeena Chahta Hoo.

Khoob Rangeeniyan Hai Nazron Ke Aage
Ab Thoda Sa Mein Andhera Chahta Hoon

Hai Itni Jhalan Ki Har Dhadkan Hai Betaab
Aankhon Se Do Bund Bahana Chahta Hoon

Saaf Keh De Mujhe Jo Tere Dil Mein Hai
Mein Aur Jhuth Sun Na Nahi Chahta Hoon.

Kisi Mashoom Khwahish Ki Tarha Hi Ab Me
Aey Dost Sheron Mein Dhalna Chahta Hoon

Bahoot Khoob Shihab Sahab Applause Applause Applause
BarBar Padhne ke Bad Aur bhi Khoob Lag Rahi Hai Aapki ye Post
Kamal Ka Likha Hai Wakayi me
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: January 10, 2009, 09:46:30 AM »
Bahut khoob sabne bahut aacha likha hai
Specially Azeem u r 2 good yaar...

Shally.

Na yaar likhna na pyaar likhna mujhe to
bass ek aadmi bezaar likhna,

Na khush likhna na behaal likhna mujhe
bass ek lachaar likhna,

Na hassi likhna na aansoo likhna mere hisse
me sirf ek haar likhna,

Bahut dard sahe par mohabbat ka karz na chuka
paaya aisa mujhe ek karzdaar likhna.

Shally.

Teri Zindagi Ko Ghamo Ka Mazaa Maine Chakhaaya,.
Mujhe Tu "Shally, Bewafaa Ya Gaddaar Likhna,.

Khelaa Hai Maine Tere Dilse Bohat, Khelaa Hai Mohabbat Se,.
Mujhe Tu Sazaa De Koi, Mere Liye Kisi Ka Intezaar Likhna,.

Bichaaye Hain, Kaantein Maine, Sab Ki Raahon Mein "Jaana,.
Dete Hain Sab Badduaa Mujhe, Tu Mujhe, Naa Bahaar Likhna,.

Maine Zindagi, To Jee Hai, Magar Kisi KO Khushi Na De Sakaa,.
Afsos Karna Mere Jeene Pe, Mere Jeene Ko Tu Bekaar Likhna,.

_____________________________________-Jaanasheen-


Logged
pankshivam
Guest
«Reply #21 on: January 11, 2009, 09:12:43 AM »
Wah Bhai Kya Baat Hai Bohat Khoob
Par Itni Mayoosi Bhi Achhi Nahi Hai.

Khawabon Ki Buniyaad Par Taamir Ki Thi Imaarat Hamne
Ilzaam Is Tabaahi Ke Mere Sar Par Hi To Aayenge.

Hume Kya Pata Tha.E Khuda Yun Kar Unse Sacha Pyaar.
Ek Deen Hum Yun Mehfilon Main Bewafaa Kehlaayenge.

Bahoot Bahoot Khoob Shihab Sahab
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #22 on: January 11, 2009, 01:59:42 PM »
Wah Bhai Kya Baat Hai Bohat Khoob
Par Itni Mayoosi Bhi Achhi Nahi Hai.

Khawabon Ki Buniyaad Par Taamir Ki Thi Imaarat Hamne
Ilzaam Is Tabaahi Ke Mere Sar Par Hi To Aayenge.

Hume Kya Pata Tha.E Khuda Yun Kar Unse Sacha Pyaar.
Ek Deen Hum Yun Mehfilon Main Bewafaa Kehlaayenge.


Bhai,.
Mujhse, Meri Mohabbat Ne Bewafaai Ki,.
Aur Mujhe Maloom Bhi Na Tha,.

Bas Abhi Maloom Hua,.
Sunkar, Bhai, Dil Ko, Bohat Dukh Ho Raha Hai,.

Yun To Pehle Mujhe Koi Dard Na Tha, Bas Apne Doston Ke Dard Sunkar, Uspar Likhaa Karta Tha,.

Ab Jab Khud KO Dard Ho Raha Hai, Mujhe Is Sehna Bhi Dushwaar Lag raha Hai,.


Mohabbat Ki Maine, Kaash Ye Gumaan Bhi Kiya Hota,.
Ke Mitti Ke Khilone Kabhi, Wafaa Nahi Nibhaate "Azeem,.

_______________________________-Jaanasheen,.

Ab To Bas Jaanasheen Ko, Sab Pardte Jaao,.
Inshallah,.

Logged
Roja
Guest
«Reply #23 on: January 11, 2009, 02:49:16 PM »
Bhai,.
Mujhse, Meri Mohabbat Ne Bewafaai Ki,.
Aur Mujhe Maloom Bhi Na Tha,.

Bas Abhi Maloom Hua,.
Sunkar, Bhai, Dil Ko, Bohat Dukh Ho Raha Hai,.

Yun To Pehle Mujhe Koi Dard Na Tha, Bas Apne Doston Ke Dard Sunkar, Uspar Likhaa Karta Tha,.

Ab Jab Khud KO Dard Ho Raha Hai, Mujhe Is Sehna Bhi Dushwaar Lag raha Hai,.


Mohabbat Ki Maine, Kaash Ye Gumaan Bhi Kiya Hota,.
Ke Mitti Ke Khilone Kabhi, Wafaa Nahi Nibhaate "Azeem,.

_______________________________-Jaanasheen,.

Ab To Bas Jaanasheen Ko, Sab Pardte Jaao,.
Inshallah,.



aaahaaa..
Kitna dard bara kalam hai ye ... aankhein num si hogayi bhai. sad7
Logged
Roja
Guest
«Reply #24 on: January 11, 2009, 02:52:02 PM »
Bhai Mere Pyaar Main Dard Ka
Milna To Aam Baat Hai Aur
Waise Bhi P[yaar Sharton Pe
To Kiya Jaata Nahi Na?
Jaanta Hoon Kehna Aasan Hai
Jab Khud Pe Aati Hai To Jeena Mushqil Ho Jaat Hai
Bas Bhai Humto Aapka Dard Baat Sakte Hai Aur Dua Kar Sakte Hai
ALLAH Pak Aapko Humesha Khush Rakhe Aameen....

NaKaamiyon Ko Yun Apna Muqadar Na Likh
Ek Ke Bichad Jaane Se Haara Nahi Jaata.

Aur Bhi Hai Tujhe Dekhkar Khush Hone Wale
Yun Bewafaaon Ke Liye Khudko Mara Nahi Jata.


 Applause  Applause Majid bro....  Thumbs UP
Logged
Roja
Guest
«Reply #25 on: January 11, 2009, 02:53:25 PM »
Dil Use Chahta Hi Nahi To Kya Karu
Pyar Uske Liye Aata Hi Nahi To Kya Karu

Vo Din Raat Dekhe Meri Surat
Mujhe Uski Surat Na Bhai To Kya Karu

Bandishe Hai Jo Nibhaye Jati Hu
Jazbaat Magar Saath Hi Nahi To Kya Karu

Raat Raat Bhar Jaag Jaag Kar
Vo Dil Ko Dukhaye To Kya Karu

Kaise Shaant Rakhu Khud Ko
Vo Jabardasti Kare To Kya Karu

Us-Se Kabhi Pyar Hua Hi Nahi To Kya Karu
Dil Kabhi Uski Taraf Jhukta Hi Nahi To Kya Karu

(nm)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: January 11, 2009, 11:14:02 PM »
good work lil bro, Shihab ji and nice sharing Roja
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #27 on: January 12, 2009, 10:31:44 AM »
Bhai Mere Pyaar Main Dard Ka
Milna To Aam Baat Hai Aur
Waise Bhi P[yaar Sharton Pe
To Kiya Jaata Nahi Na?
Jaanta Hoon Kehna Aasan Hai
Jab Khud Pe Aati Hai To Jeena Mushqil Ho Jaat Hai
Bas Bhai Humto Aapka Dard Baat Sakte Hai Aur Dua Kar Sakte Hai
ALLAH Pak Aapko Humesha Khush Rakhe Aameen....

NaKaamiyon Ko Yun Apna Muqadar Na Likh
Ek Ke Bichad Jaane Se Haara Nahi Jaata.

Aur Bhi Hai Tujhe Dekhkar Khush Hone Wale
Yun Bewafaaon Ke Liye Khudko Mara Nahi Jata.


Sahi Kaha Bhai Tumne,.

Jo Mera Nahi Tha, Shayad Isliye Wo Mujhe Na Mila,.
Jo Uska Tha, Usne Use Kho Diya..

Naakaami Ko Maine Kabhi Apna Mukkaddar Nahi Maana,.
Bas us Ek Shaks Ko, Apni Zindagi Maana Tha,.
Mukkadar To Phir Bhi Badal Sakta Hai, Zindagi To Ek Hoti Hai,.
Iska Main Kya Karoon,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #28 on: January 12, 2009, 10:36:03 AM »
aaahaaa..
Kitna dard bara kalam hai ye ... aankhein num si hogayi bhai. sad7


Mere Dard Ki Daastaan Sunkar, Tum Aansoon Na Bahaao,.
Mujhse Rishte Achche Nahi Hote, Mujhe Tum Bhai Na Banaao,.

Rishte Bhi Mere Liye Sazaa Ki Taraah Lagne Lage Hain "Roja,.
Mujhse Tum Door Hi Raho, Mujhpe Humdardi Na Jataao,.

Mera To Dil, Bohat Dukhaa Hai Dard Itna Hai, Ke Aansoon Bhi Nahi Nikalte,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #29 on: January 12, 2009, 10:37:16 AM »
good work lil bro, Shihab ji and nice sharing Roja

Shukriya Didijaan,.
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:28:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer