- Tere Dariche Se Kya Uthe -

by HumTum is back on August 23, 2006, 06:14:45 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1081 times)
HumTum is back
Guest


Tere dariche se kya uthe ke koi thikana na mila
Zamane bhar mein hum sa koi dewana na mila

woh jo ik zra si baat pe yun ruth ke chale gaye
Unko wapis bulane ka mujhe koi bahana na mila

Hua yun bhi kabhi hum jaseey rindoN ke sath
Tras gaye ik bond ke liye, koi maikhana na mila

Sang barsane waloN ko dekha zra jo gour se to
Apne hi the sab unmein, koi bhi begana na mila

Firaq-e-yaar ne kiya hai iss kadar behal humey
GumoN ki shaame to mili,  koi shamiyana na mila

Baad mud'dat ke ja dekha jo purani basti mein
Dusmani hi dusmani thi wha koi dostana na mila

Kahu bhi to kaseey kahu usko bewaffa ke jab ke
Khat to likhey usne magar koi dhakkhana na mila

Milne ko to phir har shai milli magar "HumTum" ji
Guzar kiya jo uski zulfoN mein woh zamana na mila !!


HumTum
[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tere Zahen Me Uthe Sawaalo Ko by mohd imran in Shayri for Dard -e- Judai
Us ik dariche se by Zeeshan Ajnabee in Shayri for Khumar -e- Ishq
tadap uthe hum.....mkv by mkv in Shayri for Khumar -e- Ishq
Juba Par tere lafz bol uthe. by sohanp in Other Languages
*** jaag uthe…*** by vimmi singh in Shairi - E - Zindagi
nirbhay
Guest
«Reply #1 on: August 24, 2006, 05:30:18 AM »
Superb =D> ! Kuch mein b Koshish karte hon


Dil mein jo hulchul kar de humko wo paimana na mila
Zindagi Sukoon se basar karne.Ko aashiyana na mila

Rishtey Judd kar Dil se phir Dil hi toot gaye
Tanhai naseeb hui Humko-2 kisi ka dostana na mila

Dil chaak kar unke naam par maine likh di dasTaan
Par Zalim Tumko ye saaD.Gi ka sath aashiQana na mila

Gumsum si hai Zindagi ulfaat dil chahi paa kar bhi
Tasveer na mili teri humko khawabon mein tere aana jaan na mila!
Logged
harshit101
Guest
HI
«Reply #2 on: August 24, 2006, 02:57:19 PM »
EXCELLENT ,SUPERB MAZA AA GAYA.
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: August 27, 2006, 03:52:27 PM »
superbbb Humtum n Nirbhay....

karte hain shiqayat woh humse har baat ki
magar humein unse shiqayat ka koi bahana na mila

waqt beet raha hai zudayi ki ghadiyan gin-2 kar
lagta hai unhein hamare paas aane ka koi khoobsurat thikana na mila

kabhi chand ki roshni mein baatein kiya karte the humse ghanto
lagta hai abb unehin woh aasman ka chand purana na mila
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #4 on: August 27, 2006, 04:05:08 PM »
Shukriya.. Boht acha likhya hai aapne bhi!

Nashe mein tabdeel kar de is kash-m-kash ko
"Maikash" mujhe wo maikhana na mila..

Ye Duniye ye Rutt sabb kiya nazar tere pyar ko
Humko lekin wafa ka wo fasana na mila..

Dard-e-dil maloom hai dil lagane waale ko
Afsos ki tumko bhi meri tarah ye dil dewana na mila..
Logged
sanya310
Guest
«Reply #5 on: August 27, 2006, 06:04:56 PM »
bohot khoob humtum nirbhay n nikki!!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #6 on: August 31, 2006, 07:38:20 PM »
Nirbay, Harshit, Nikki aur Sanya Ji ... aap sab ka bahut bahut shukriya ......  Nirbhay &  Nikki ......  bahut achcha likha hai aap dono ne !!



tumhe hai shauq agar bijaliyaN giraane ka
hamara kaam bhi hai aashiyaN banane ka

bhalla woh kaise samandar ke paar utarega
nafas nafas jise Khadsha hai duub jaane ka

suna hai aap hain mahir hava chalane mein
magar hamey bhi hunar hai diye jalane ka

goya ke jism se ruuh hi nikal rhi ho meri
aaya tha jab waqt tujh se bichad jane ka

suno, hum bhi seena tan ke hi rakhte hai
aap ko agar shounq hai   teer chalane ka

utho aur niklo apne safar pe "HumTum" ji
waqt aa gya hai ab iss duniya se jane ka !!
[/color]
Logged
nikki
Guest
«Reply #7 on: September 02, 2006, 02:23:21 PM »
very very nice again Humtum n thank u haiga ....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:35:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer