"TERE DIDAAR KE LIYE".......kamal

by kamal aggarwal on February 20, 2011, 11:20:56 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2243 times)
kamal aggarwal
Guest
tere didaar ke liye kya-kya na kiye jaate hain
jkham khate hain fir bhi katoon pe chale jaate hain
tu  na  dekh  palatkar  bhi  humko  ae   situmgar
mere jkham tere saaye ko chukar hi bhar jaate hain

mujhse tujhse tujhe mujhse koi gila-shikwa na rahe
teri be-wafai ka sila apni wafa se diye jaate hain
ho sake to meri majar par tu aana -ek baar hi sahi
dekh lena wafa me kaise dilo-jaan fana kiye jaate hain

tere daaman se meri khushbu na kabhi jayegi
hum wo hain jo dil se ruh me utar jaate hain
karoge lakh koshishen hume bhulane ki magar
hum wo saaya hain jo marte dum tuk saath aate hain

tere didaar ke......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
" GUJARTE LAMHE KE SAATH."...kamal by kamal aggarwal in Shayri for Khumar -e- Ishq
" KISSA MOHBAT KA "......kamal by kamal aggarwal in Shayri-E-Dard
"JAB JINDGI AISE"......kamal by kamal aggarwal in Shayri for Dard -e- Judai
"NIBHANA"........kamal by kamal aggarwal in Shayri for Khumar -e- Ishq
--"tere shehar me"--....kamal by kamal aggarwal in Shayri for Khumar -e- Ishq
nirala
Guest
«Reply #1 on: February 20, 2011, 12:31:19 PM »
aye haye kya baat hai ji.
ye mastam post hai ji
daad dil se--
aapko parhna ab bahut bhaane laga hai ji.
keep writing.
""
ye kah kar mere dushman mujhe hasta hua chhod gaye---
ki tere apne hi tujhe rulaane ke liye kaafi hain !!!
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #2 on: February 20, 2011, 01:19:13 PM »
tere didaar ke liye kya-kya na kiye jaate hain
jkham khate hain fir bhi katoon pe chale jaate hain
tu  na  dekh  palatkar  bhi  humko  ae   situmgar
mere jkham tere saaye ko chukar hi bhar jaate hain

mujhse tujhse tujhe mujhse koi gila-shikwa na rahe
teri be-wafai ka sila apni wafa se diye jaate hain
ho sake to meri majar par tu aana -ek baar hi sahi
dekh lena wafa me kaise dilo-jaan fana kiye jaate hain

tere daaman se meri khushbu na kabhi jayegi
hum wo hain jo dil se ruh me utar jaate hain
karoge lakh koshishen hume bhulane ki magar
hum wo saaya hain jo marte dum tuk saath aate hain

tere didaar ke......


Ehsaasat bahut khoob lage hume .. dil se daad !!!!!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #3 on: February 20, 2011, 05:03:24 PM »
Bahut Khub Kamal Ji
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #4 on: February 21, 2011, 02:16:52 PM »
Bahut khoob kamal ji..
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #5 on: February 21, 2011, 02:17:35 PM »
Moved to appropriate section!

YOINDIA MONITOR!

THANX..
Logged
kamal aggarwal
Guest
«Reply #6 on: February 21, 2011, 03:16:04 PM »
aap sabhi ka nirala ji,bbl ji
and rishi ji bhut-bhut shukriya
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #7 on: February 21, 2011, 03:20:37 PM »
wah wah Kamala ji--
kamaal ka post hai.
ek lay me parha bahut maza aaya.
kamaal ke ehsaas aur mohaabat bayan kiye aapne.
bewafai ki khusbu bhi aati hai nagme ke aasharon se. khumaar bhi ishq ka.
everythng is here .
mastam post hai dear .
dili daad.
***
aisa laga ek baar ki--
Mazaar par aanewala paragraph agar end me bhi de sakte the aap.
anyways ye meri soch hai sirf
bura nai manna aap
***
khus rahiye ji
sukriya
Logged
kamal aggarwal
Guest
«Reply #8 on: February 21, 2011, 03:39:45 PM »
aapne thik farmaya killbill ji pehli nazar me padne ke baad yahi advice di ja sakti hai .
lekil jara gaur farmaye meine ye mazaar wala paragraph centre me kyu liya "to baat ye hai ki second me aapne rawana hone ki baat kahi gayi hai aur fourth me apne jane ke baad bhi wo mujhe bhula na payenge ye ehsaas dilane ki koshish ki hai"
i hope aapko mera najariya samajh aya hoga

bura na manna ye kehkar mujhe shaminda na kare gar koi aur doubt ho to" most welcome"
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #9 on: February 21, 2011, 03:45:30 PM »
wah wah ji Kalal ji.
ye hui na baat.
bilkul wahi answer aapne mere qstn ka dia jo mene guess kiya tha.
jaankar bahut jada khushi hui ke ek aur achhe shayar se YO gulzaar ho gaya.
aapka behad sukriya Kamal ji.
aapse ab aur umeed rahegi behtareen nagmo ki.
coz KB sirf padhna janta hai Likhna nahi.
sukriya
Logged
kamal aggarwal
Guest
«Reply #10 on: February 21, 2011, 04:22:52 PM »
thanku very much KB JI
bas ek koshish hai ehsaason ko alfazon me bayan karne ki aur baat kuch bhi nahi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: March 23, 2011, 08:39:21 AM »
Waah waah Waah!!!!

Bahut bahut Aur Bahut Khoob Kamal Ji..

Bahut Hi khoobsurat Peshkash!!!
 
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
kamal aggarwal
Guest
«Reply #12 on: March 23, 2011, 08:42:29 AM »
shukriya khwaish ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:25:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer