tere intezar mein

by Affluent on March 03, 2008, 06:09:12 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 6011 times)
Affluent
Guest
roein hain bahut ajj hum tere naam se
kayun hoti hai tadap tere ek khayal se

jab tu khush hai , apni hi duniya mein
phir kayun jeeye hum tere intezar mein

ek tere vaade par, chale aaye iss paar
ab khade hain tanha, tanhai ke mukaam pe

roein hain bahut ajj hum tere naam se
kayun hoti hai tadap tere ek khayal se
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kasam se aaj bhimujhe intezar hai tere aane ka by muneeb in Shayri-E-Dard
~*~*~*~TERE iNTEZAR ME~*~*~*~ by pankshivam in Shayri-E-Dard
tere milne ki duaa mein... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
unke intezar mein... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
ZINDGI TERE INTEZAR MEIN GUZAR REHI HAI by daadaulasad in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: March 03, 2008, 02:48:16 PM »
Very Touching... Simply superb..
But.. why is this without any title Huh?
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: March 03, 2008, 03:13:10 PM »
Good one
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: March 03, 2008, 03:52:31 PM »
bahoot khoob Affluent ji.. bahoot gahra likha hai apne!! Good creation!!

Affluent ji, maine apki is rachna ko yah naam diya hai>> tere intezar mein
agar apko pasand na ayye app delete kar sakte hai.. magar bina title ke apki kavita sahi nahi lagi!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: March 03, 2008, 06:02:27 PM »
Tere khayal ki tadap sirf yah dil janta hai
Bahoot door hai magar tujhko bahoot kareeb manta hai

Meri khushi se na tadpa tu apne dil ko
Kitna rota hai yah dil, yah bhi tu hi janta hai

Vaadein per kiya jo aitbaar, to khud per aitbaar rakh
Teri issi ada per yah dil tujhko bhari dunia main apna manta hai

Royegi teri ankhia to barsaat yaha bhi hogi
Main janati hu, yah baat tera dil bhi janta hai
Logged
Affluent
Guest
«Reply #5 on: March 04, 2008, 04:56:34 AM »
Pooja ji...

aapko reply mein jab bhi kuch likha toh jagjit singh ki ghazal yaad aati rahi

     bebasi Jurm hai hauslaa jurm hai
     zindagi teri ek-ek adaa Jurm hai

     ae sanam tere baare meiN kuch soNchkar
     apne baare meiN kuch sochna Jurm hai

     yaad rakhna tuJhe mera ek Jurm thaa
     bhool jaana tuJhe doosra Jurm hai

     kya sitam hai ke tere haseeN sehar meiN
     har taraf gaur se dekhnaa Jurm hai

     bebasi Jurm hai hauslaa jurm hai
     zindagi teri ek-ek adaa Jurm hai


Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: March 04, 2008, 03:55:10 PM »
BAHOOT KHOOB!! thanks for sharing such a nice gazal with us!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: March 04, 2008, 04:00:51 PM »
roein hain bahut ajj hum tere naam se
kayun hoti hai tadap tere ek khayal se

jab tu khush hai , apni hi duniya mein
phir kayun jeeye hum tere intezar mein

ek tere vaade par, chale aaye iss paar
ab khade hain tanha, tanhai ke mukaam pe

roein hain bahut ajj hum tere naam se
kayun hoti hai tadap tere ek khayal se

Wah ! Bohot khoob Affluent ! saw you after a while !


Good reply Pooja !
Logged
Affluent
Guest
«Reply #8 on: March 06, 2008, 05:26:10 AM »
Talat, shayari likhne ka abb mann nahi karta ... na hi waqt milta hai ki apne dil-e-haal ko bayan kar sakein.

ek jagjit singh singh ki gayi hui line yaad aai hai

"honth jalte hain muskarane se
phir bhi shikwa nahi zaamane se"





Tere khayal ki tadap sirf yah dil janta hai
Bahoot door hai magar tujhko bahoot kareeb manta hai

Meri khushi se na tadpa tu apne dil ko
Kitna rota hai yah dil, yah bhi tu hi janta hai

Vaadein per kiya jo aitbaar, to khud per aitbaar rakh
Teri issi ada per yah dil tujhko bhari dunia main apna manta hai

Royegi teri ankhia to barsaat yaha bhi hogi
Main janati hu, yah baat tera dil bhi janta hai




dekh kar teri iss mehfil ki ronak
anjabi hone ka ehsaas hota hai

apni hi duniya mein hai tu khoyi hui
be-fikar hai mujhse yeh ehsass hota hai

samjhata hu khud ko,ki chup hi rahu,lekin
chupi mein phir bebasi ka ehsass hota hai

rehta hu har pal main tere hi intezar mein
kya tujhko kabhi bhi yeh ehsass hota hai ?
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:39:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer