tere milne ki duaa mein... Intezar !

by Intezar on January 13, 2011, 03:27:34 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 6509 times)
Intezar
Guest



Khayalon me aakar tumhare shayad ab bhi raato ko jagaata hun
Ya phir toot kar kisi khwaab sa mai tumhe phir dard de jaata hun

Na ban sake humsafar tum , saath chalkar bhi mere jis raah par
Jab bhi laut ta hun us raah par to, mai khud se bichhad jaata hun

Kabhi lauto us raah par agar to dekhna, ek shaakh ab bhi nam hai
Jahaan mile the tum, us darakht par main ab bhi aansu bahaata hun

Yun chalti raahon par apne nishaan dikha kar kya jataate ho tum
Kabhi fursat se milo to apne zakhm tumhe main bhi dikhaata hun

Mere pehlu se nikal kar chup chaap chale gaye tum door bahut
Kya bataau tumhare bin khud ko main kitna bezaar sa paata hun

Jo likh gaye tum hazaaro khat mere naam, apna izhaar-e-wafa karke
Tanhaayi me aaj bhi main un tehreeron ko apne seene se lagaata hun

Beshak muzrim samajh apna, gunaah teri chahat ka kiya hai maine
Kar liya ikbaale zurm maine aur khud ko sazaa-e-maut sunaata hun

Janta hu mushkil bahut hai milna tujhse baad maut k phir bhi Intezar
bhar aati hain aankhen tere milne ki duaa mein jab haath uthaata hun...!



Shukriya
Intezar !

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tere intezar mein by Affluent in Shayri-E-Dard
Na Ahad karo tum mujhse milne ka... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
unke intezar mein... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
duaa ka asar to nahin... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
ZINDGI TERE INTEZAR MEIN GUZAR REHI HAI by daadaulasad in Shayri for Khumar -e- Ishq
manjum
Guest
«Reply #1 on: January 13, 2011, 04:10:05 AM »
wak.... kamal ka likha hai aapne...

sach kahun samjh main nahin aa raha ki kin shabdon main daad dun sach
dil ko bahut gahre tak chhu lia aapki shayari ne......

 Applause Applause Applause
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #2 on: January 13, 2011, 06:36:51 AM »
wah Intezaar kya baat likh di yaar.
chir gaye dil ko.
kya ehsaas hai , kya alfaaz hain.
mindblowng mere dost.
khus raho
sukriya
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #3 on: January 13, 2011, 06:40:35 AM »
bahut khubsoorat intezar ji.
execellent creation. Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #4 on: January 13, 2011, 06:41:49 AM »
intjaar ji ...kabhi kabhi khushi me bhi aasu aa jate he..........ye shayari apki kuch esi he ki rona aa bhi jaye to wo aachi feel dega.........bahot hi classic wali sahayri he dear......aur likho muje si bahot sari read karni he apki likhi hui......superb dear
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: January 13, 2011, 07:35:22 AM »



Khayalon me aakar tumhare shayad ab bhi raato ko jagaata hun
Ya phir toot kar kisi khwaab sa mai tumhe phir dard de jaata hun

Na ban sake humsafar tum , saath chalkar bhi mere jis raah par
Jab bhi laut ta hun us raah par to, mai khud se bichhad jaata hun

Kabhi lauto us raah par agar to dekhna, ek shaakh ab bhi nam hai
Jahaan mile the tum, us darakht par main ab bhi aansu bahaata hun

Yun chalti raahon par apne nishaan dikha kar kya jataate ho tum
Kabhi fursat se milo to apne zakhm tumhe main bhi dikhaata hun

Mere pehlu se nikal kar chup chaap chale gaye tum door bahut
Kya bataau tumhare bin khud ko main kitna bezaar sa paata hun

Jo likh gaye tum hazaaro khat mere naam, apna izhaar-e-wafa karke
Tanhaayi me aaj bhi main un tehreeron ko apne seene se lagaata hun

Beshak muzrim samajh apna, gunaah teri chahat ka kiya hai maine
Kar liya ikbaale zurm maine aur khud ko sazaa-e-maut sunaata hun

Janta hu mushkil bahut hai milna tujhse baad maut k phir bhi Intezar
bhar aati hain aankhen tere milne ki duaa mein jab haath uthaata hun...!



Shukriya
Intezar !



kuch Poetries Surf Padhi Nahi Jaati, Mehsoos Ki jaati hai..

Yeh Unme se ek hai...tarrf ke liye lafz nahi......Lajawaab

Bahut Bahut Khoob Intezar Ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #6 on: January 13, 2011, 10:42:13 AM »
bht bht khoob intezaar ji...
kamal likha hai aapne..
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: January 13, 2011, 11:13:13 AM »
intezar ji
mujhe aapki ye first designed poem bht hi zyada pasand aai...itni k isi design pe maine iska reply bana liya...
aapki iss dilfareb post k liye hamari taraf se ye ek pyari si koshish ..hope aapko pasand aayegi.....


text is here
http://www.yoindia.com/shayariadab/miscellaneous-shayri/mujhe-maut-k-aur-kareeb-le-jata-haia%80brvbar-t60965.0.html;new#new
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #8 on: January 13, 2011, 01:20:33 PM »
Bahut Khub Intezar Ji Bahut Hi Sunder Creation Hai Aapka
Logged
Intezar
Guest
«Reply #9 on: January 13, 2011, 02:25:40 PM »
Shukriya Manjum ji aapke dil tak pahuncha, aap ka bahut bahut shukriya... !

Intezar !

wak.... kamal ka likha hai aapne...

sach kahun samjh main nahin aa raha ki kin shabdon main daad dun sach
dil ko bahut gahre tak chhu lia aapki shayari ne......

 Applause Applause Applause
Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: January 13, 2011, 02:26:51 PM »
KB bhai tahe dil se shukriya aap ka bahut bahut shukriya... humesha saath rehiye bas yahi chahte hain... shukriya ji...

Intezar !

wah Intezaar kya baat likh di yaar.
chir gaye dil ko.
kya ehsaas hai , kya alfaaz hain.
mindblowng mere dost.
khus raho
sukriya
Logged
Intezar
Guest
«Reply #11 on: January 13, 2011, 02:27:50 PM »
Suresh ji aap ka bahut bahut shukriya dil se shukriya hai ji...

Intezar !

bahut khubsoorat intezar ji.
execellent creation. Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Logged
Intezar
Guest
«Reply #12 on: January 13, 2011, 04:19:48 PM »
Matrix ji aap ka shukriya bahut bahut shukriya aap ko pasand aaya aur dard nazar aaya... bas saath dete rehiye yun hi...

Intezar !

intjaar ji ...kabhi kabhi khushi me bhi aasu aa jate he..........ye shayari apki kuch esi he ki rona aa bhi jaye to wo aachi feel dega.........bahot hi classic wali sahayri he dear......aur likho muje si bahot sari read karni he apki likhi hui......superb dear
Logged
Intezar
Guest
«Reply #13 on: January 13, 2011, 04:21:24 PM »
kuch na kehkar bhi bahut kuch keh diya aapne khwaish ji... aapne ise dil se mehsus kiya uske liye shukriya dil se bahut bahut shukriya...

Intezar !


kuch Poetries Surf Padhi Nahi Jaati, Mehsoos Ki jaati hai..

Yeh Unme se ek hai...tarrf ke liye lafz nahi......Lajawaab

Bahut Bahut Khoob Intezar Ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Logged
Intezar
Guest
«Reply #14 on: January 13, 2011, 04:22:31 PM »
Shukriya Manzil-e-ishq ji, is dil se bahut bahut shukriya hai ji...

Intezar !

bht bht khoob intezaar ji...
kamal likha hai aapne..
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:33:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer