Teri Bewafayi __________ {Angel}

by angel4u on June 01, 2009, 06:00:53 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5
Print
Author  (Read 4197 times)
angel4u
Guest
«Reply #15 on: June 02, 2009, 02:56:35 AM »
Very sad !!
Sapana

Thanks Sapana...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
___Aab Tu Adat Si Hai __________ by fakharenaveed in Shayeri for Dard -e- Bewafai
:-:-:-: Teri Bewafayi :-:-:-: by angel4u in Shayri-E-Dard
Teri Bewafayi Dhoond Raha Hoon Main by angel4u in Shayri-E-Dard
~*~*~*~Teri Dulhan~*~*~*~______ {Angel} by angel4u in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Kuch idhar udhar ki bateen __________ ROY by roy in Miscellaneous Shayri
angel4u
Guest
«Reply #16 on: June 02, 2009, 02:57:29 AM »
Excellent,very very nice Angel ji. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thank you so much Madhu Usual Smile
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #17 on: June 02, 2009, 08:12:27 AM »
WAAH ! kamal ka likha hai Angel  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
salil2002
Guest
«Reply #18 on: June 02, 2009, 08:21:06 AM »
bahut achche huzena achcha likha hai.gr8 wrdings..........

Logged
angel4u
Guest
«Reply #19 on: June 02, 2009, 02:22:38 PM »
Thank you so much Shweta and Salil Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #20 on: June 02, 2009, 03:40:21 PM »
Quote
Teri Bewafayi Ki Kya Misaal Doon Paas Mere Koi Lafz Nahi Hai,
Rulake Meri Rooh Ko, Muskurane Mein Tujhe Koi Aitraaz Nahi Hai,

Har Mod Pe Thokar Kha Ke Bhi Tere Saath Chalte Gaye Ye Qadam,
Pata Bhi Tha Inko Is Raah Ki Koi Manzil, Koi Shaamyana Nahi Hai,
[/b]

Wahhh... bahut accha likha hai dear hasina...
Very touchy lines. Good work dear. Keep up. Thumbs UP

Logged
dead heart
Guest
«Reply #21 on: June 02, 2009, 05:04:28 PM »
Thanks Rahim and a nice one from you too... Applause
Shukriya!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #22 on: June 03, 2009, 02:56:39 AM »
Thank you so much Roja...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #23 on: June 03, 2009, 04:44:44 PM »

Teri bewafayi se behtar ab saza kya hogi jeene ki sanam,
ke tere ashqon se jala rahe hai hum saanson ke diye aaj tak...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #24 on: June 04, 2009, 05:54:17 AM »

Teri Bewafayi Ki Kya Misaal Doon Paas Mere Koi Lafz Nahi Hai,
Rulake Meri Rooh Ko, Muskurane Mein Tujhe Koi Aitraaz Nahi Hai,

Har Mod Pe Thokar Kha Ke Bhi Tere Saath Chalte Gaye Ye Qadam,
Pata Bhi Tha Inko Is Raah Ki Koi Manzil, Koi Shaamyana Nahi Hai,


Dhadkano Ka Shor Gunjta Hai To Khalal Padti Hai Meri Tanhaiyon Mein,
Kaise Bardasht Karun, In Mein Teri Dhadkano Ka Nagma Ab Shaamil Nahi Hai,

Ye Phoolon Ki Rutt, Ye Bahaar, Ye Patte, Lagte Hai Na-Maayne Mujhe,
In Waadiyon Mein Jo Mehek Sake Teri Wafa Ki Ab Mehek Nahi Hai,


Chheen Li Tune Meri Aakhri Muskurahat Bhi Ruswayi Meri Karke,
Ankhon Ke Ghar Ko AshQon Se Kiya Khali, Inhone Tujhe Maaf Kiya Nahi Hai,

Raat Ki Khaamoshiyon Ko Bana Di Hai Tune Kyon Ab Aadat Meri,
Chubho Raha Hai Meri Saanson Ko Apni Chandni, Chaand Ab Pehle Sa Nahi Hai,


Na Aana Meri Maiyyat Pe, Mera Qafan Kaamp Uthega Teri Maujudgi Se,
Mere Hisse Ki Khushiyan Mile Tujhe, Lab Pe Ab Koi Baddua Bhi Nahi Hai,

Teri Bewafa Rooh Ka Saaya Jo Padega Meri Qabr Bhi Sisak Uthegi,
Dard Ye Aakhri Sehne Ka Ab Is Bejaan Jism Mein Hausla Bhi Nahi Hai...

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

  tearyeyed tearyeyed

Ek Koshish Meri taraf Se Angel,
Iss Nazm Ke Jawaab Mein Kuch likhne Ki...

Tujhe Ruulakar Aaj Khud Bhi Rota Hoon Main,
Tujhse Door Kya Hua, Aaj Khud Se Bhi Door Hota Hoon Main!!!

Saath Rehna Kabhi Taqdeer Mein Likha Hi Naa Tha,
Tu Kya Jaane Aakhir Kitna Bechain Se Hota Hoon Main!!!

Har Mod Par Saath Chal Kar,Tune Mera Saath Diya,
Par Jab Raahein Hi Alag thi,To Apne Naseeb Ko Hi Kosta Hoon Main!!!

Dhadkano Ka Shor To Gunjta Rahega Umar bhar,
 Par Mer Zindagi to bas Ek Aaena hai!!!
Aapne Hi Hathon Se Iss Aaene Ko Tukdo Mein Todta Hoon main!!!!!

Neend Kya Hoti Hai Mujhe Ab Pata Nahi,
Neend Se Pehle Aankhon Mein Aansu Aa Jaate Hai,
Khuli Aankhon Se Ab Sota Hoon Main!!!!

Gar Mumkin Ho to,Cheen Loon Tujhse Tere Saare Gham,
Khushiyan Mere Paas Bhi Ho To Kuch Maayus Sa Hota Hoon Main!!!!

"Khwaish" Insaan Kabhi Bewaffa Nahi Hota,
Bas Kabhi-Kabhi Insaan ke Halaat Bewaffai Kar Jaate Hai,
Aaj Teri Hi Khushiyon Ke Liye,
Tujhse Door,Bahut Door Hota Hoon Main!!!!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #25 on: June 04, 2009, 06:27:56 AM »
very very nice and beautiful Khwaish ji. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #26 on: June 04, 2009, 06:38:40 AM »
Ek Koshish Meri taraf Se Angel,
Iss Nazm Ke Jawaab Mein Kuch likhne Ki...

Tujhe Ruulakar Aaj Khud Bhi Rota Hoon Main,
Tujhse Door Kya Hua, Aaj Khud Se Bhi Door Hota Hoon Main!!!

Saath Rehna Kabhi Taqdeer Mein Likha Hi Naa Tha,
Tu Kya Jaane Aakhir Kitna Bechain Se Hota Hoon Main!!!

Har Mod Par Saath Chal Kar,Tune Mera Saath Diya,
Par Jab Raahein Hi Alag thi,To Apne Naseeb Ko Hi Kosta Hoon Main!!!

Dhadkano Ka Shor To Gunjta Rahega Umar bhar,
 Par Mer Zindagi to bas Ek Aaena hai!!!
Aapne Hi Hathon Se Iss Aaene Ko Tukdo Mein Todta Hoon main!!!!!

Neend Kya Hoti Hai Mujhe Ab Pata Nahi,
Neend Se Pehle Aankhon Mein Aansu Aa Jaate Hai,
Khuli Aankhon Se Ab Sota Hoon Main!!!!

Gar Mumkin Ho to,Cheen Loon Tujhse Tere Saare Gham,
Khushiyan Mere Paas Bhi Ho To Kuch Maayus Sa Hota Hoon Main!!!!

"Khwaish" Insaan Kabhi Bewaffa Nahi Hota,
Bas Kabhi-Kabhi Insaan ke Halaat Bewaffai Kar Jaate Hai,
Aaj Teri Hi Khushiyon Ke Liye,
Tujhse Door,Bahut Door Hota Hoon Main!!!!!

Waah! Bahut bahut khub Khwaish ji.......... Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #27 on: June 04, 2009, 10:46:16 AM »
Bahut bahut shukriya madhuwesh ji...

Logged
amarhellboy
Guest
«Reply #28 on: June 04, 2009, 01:18:53 PM »
bahut khub anjel dear
Logged
angel4u
Guest
«Reply #29 on: June 04, 2009, 02:34:32 PM »
Ek Koshish Meri taraf Se Angel,
Iss Nazm Ke Jawaab Mein Kuch likhne Ki...

Tujhe Ruulakar Aaj Khud Bhi Rota Hoon Main,
Tujhse Door Kya Hua, Aaj Khud Se Bhi Door Hota Hoon Main!!!

Saath Rehna Kabhi Taqdeer Mein Likha Hi Naa Tha,
Tu Kya Jaane Aakhir Kitna Bechain Se Hota Hoon Main!!!

Har Mod Par Saath Chal Kar,Tune Mera Saath Diya,
Par Jab Raahein Hi Alag thi,To Apne Naseeb Ko Hi Kosta Hoon Main!!!

Dhadkano Ka Shor To Gunjta Rahega Umar bhar,
 Par Mer Zindagi to bas Ek Aaena hai!!!
Aapne Hi Hathon Se Iss Aaene Ko Tukdo Mein Todta Hoon main!!!!!

Neend Kya Hoti Hai Mujhe Ab Pata Nahi,
Neend Se Pehle Aankhon Mein Aansu Aa Jaate Hai,
Khuli Aankhon Se Ab Sota Hoon Main!!!!

Gar Mumkin Ho to,Cheen Loon Tujhse Tere Saare Gham,
Khushiyan Mere Paas Bhi Ho To Kuch Maayus Sa Hota Hoon Main!!!!

"Khwaish" Insaan Kabhi Bewaffa Nahi Hota,
Bas Kabhi-Kabhi Insaan ke Halaat Bewaffai Kar Jaate Hai,
Aaj Teri Hi Khushiyon Ke Liye,
Tujhse Door,Bahut Door Hota Hoon Main!!!!!



Beautifully written Khwaish ji as usual...

Mujhe rulaake chala gaya khud itni door na jane kyon,
mere ashqon pe hans rahi hai teri jafayein na jane kyon,

Qadam do qadam saath chalne ki baat hi na thi is raah par,
phir beech raaste mode tune ye sunsaan raaste na jane kyon,

Tere saath the meri manzilon ke kaarwan, mujh sang meri parchhayi,
ye jaante hue bhi qismat ko kyon dosh de rahe ho na jaane kyon,

tode jo tune wo meri hi wafaon ke kuch paak shishe the,
kirchiyan chubhti hai jinki meri palkon ko aaj bhi na jaane kyon,

Meri khushiyon ko lautana tere bas mein hi nahi hai ab,
teri bewafaiyon ka saath paake khush hoon na jaane kyon,

Kehke halaat ko bewafa kuch log bas yunhi chal dete hai,
meri khushi ka waasta deke tu ho chala hai sangdil na jaane kyon,

jo rishte chhode the tujhse milne ki khaatir maine BEWAFA SANAM,
aaj wohi rishte mujhe apne paas yun bulaate hai kyon,

ashqon ka saawan hamesha barsa hai dhadkano mein rimjhim rimjhim
phir bhi dilki zameen hai registaan si banjar na jaane kyon...
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:22:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer