Teri Bewafayi __________ {Angel}

by angel4u on June 01, 2009, 06:00:53 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Author  (Read 4158 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #30 on: June 04, 2009, 04:49:20 PM »

Beautifully written Khwaish ji as usual...

Mujhe rulaake chala gaya khud itni door na jane kyon,
mere ashqon pe hans rahi hai teri jafayein na jane kyon,

Qadam do qadam saath chalne ki baat hi na thi is raah par,
phir beech raaste mode tune ye sunsaan raaste na jane kyon,

Tere saath the meri manzilon ke kaarwan, mujh sang meri parchhayi,
ye jaante hue bhi qismat ko kyon dosh de rahe ho na jaane kyon,

tode jo tune wo meri hi wafaon ke kuch paak shishe the,
kirchiyan chubhti hai jinki meri palkon ko aaj bhi na jaane kyon,

Meri khushiyon ko lautana tere bas mein hi nahi hai ab,
teri bewafaiyon ka saath paake khush hoon na jaane kyon,

Kehke halaat ko bewafa kuch log bas yunhi chal dete hai,
meri khushi ka waasta deke tu ho chala hai sangdil na jaane kyon,

jo rishte chhode the tujhse milne ki khaatir maine BEWAFA SANAM,
aaj wohi rishte mujhe apne paas yun bulaate hai kyon,

ashqon ka saawan hamesha barsa hai dhadkano mein rimjhim rimjhim
phir bhi dilki zameen hai registaan si banjar na jaane kyon...


Bahut Bahut Khoob Angel!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Jisne Tujhe Rulaya Hai,
Waqt Ne Usse  Bhi To Rulaya Hoga,

Asaan Hai Tera Usse Bewafa keh Dena,
Par Zara Soch, Usse Bhi Uske Halaat Ne Sataya Hoga....

Kaun Chaahta Hai Tujhse Juda Hokar Rehna Eh Pal Ke Liye Bhi,
Juda Hote Waqt Ashko Ka Samundar Uski Aankhon Mein Bhi To Utar Aaya Hoga..

Naa Soch,Ke Tujhse Juda Hokar Woh Khush Hai!!
Kaante To Phir Bhi Kaante Hai,Phoolon Se Bhi Maar Woh Khaya Hoga....

Suuna Hai, Ke Woh Sirf Neend Mein Hi Muskurata Hai!!!

"Khwaish" Yakeen Se kehta Hai,Khwaab mein Zaroor!!!
Chehra Tera Hi Nazar Usse Aaya Hoga.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
___Aab Tu Adat Si Hai __________ by fakharenaveed in Shayeri for Dard -e- Bewafai
:-:-:-: Teri Bewafayi :-:-:-: by angel4u in Shayri-E-Dard
Teri Bewafayi Dhoond Raha Hoon Main by angel4u in Shayri-E-Dard
~*~*~*~Teri Dulhan~*~*~*~______ {Angel} by angel4u in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Kuch idhar udhar ki bateen __________ ROY by roy in Miscellaneous Shayri
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #31 on: June 04, 2009, 11:30:38 PM »
Waah.. Waah.. Waah.. ek se badh kar ek Angel ji - Khwaish ji Dil-o-Dimagh ko hilakar rakhdiya... jese koi Qadeem dastan-e-ishq padh raha hun... ek ek lafz zinda ho kar aankhon ke saamne se sisakte huwe guzar raha tha.

Bohot umda or behtareen andaz mein haal-e-zaar bayaan kiya aap dono ne, kaya khoob...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #32 on: June 05, 2009, 02:51:05 AM »
Bahut Bahut Khoob Angel!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Jisne Tujhe Rulaya Hai,
Waqt Ne Usse  Bhi To Rulaya Hoga,

Asaan Hai Tera Usse Bewafa keh Dena,
Par Zara Soch, Usse Bhi Uske Halaat Ne Sataya Hoga....

Kaun Chaahta Hai Tujhse Juda Hokar Rehna Eh Pal Ke Liye Bhi,
Juda Hote Waqt Ashko Ka Samundar Uski Aankhon Mein Bhi To Utar Aaya Hoga..

Naa Soch,Ke Tujhse Juda Hokar Woh Khush Hai!!
Kaante To Phir Bhi Kaante Hai,Phoolon Se Bhi Maar Woh Khaya Hoga....

Suuna Hai, Ke Woh Sirf Neend Mein Hi Muskurata Hai!!!

"Khwaish" Yakeen Se kehta Hai,Khwaab mein Zaroor!!!
Chehra Tera Hi Nazar Usse Aaya Hoga.....


Awesome... Clapping Smiley

iska jawab shaam ko denge Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #33 on: June 05, 2009, 02:52:03 AM »
Waah.. Waah.. Waah.. ek se badh kar ek Angel ji - Khwaish ji Dil-o-Dimagh ko hilakar rakhdiya... jese koi Qadeem dastan-e-ishq padh raha hun... ek ek lafz zinda ho kar aankhon ke saamne se sisakte huwe guzar raha tha.

Bohot umda or behtareen andaz mein haal-e-zaar bayaan kiya aap dono ne, kaya khoob...



Bahut shukriya Sayyid Ji... Thanks for such kind words of appreciation. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #34 on: June 05, 2009, 05:13:13 AM »
Waah! Bahut bahut khub Khwaish ji.......... Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Bahut Shukriya Shweta Ji.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #35 on: June 05, 2009, 05:22:38 AM »
Waah.. Waah.. Waah.. ek se badh kar ek Angel ji - Khwaish ji Dil-o-Dimagh ko hilakar rakhdiya... jese koi Qadeem dastan-e-ishq padh raha hun... ek ek lafz zinda ho kar aankhon ke saamne se sisakte huwe guzar raha tha.

Bohot umda or behtareen andaz mein haal-e-zaar bayaan kiya aap dono ne, kaya khoob...



Teh Dil Se Shukriya Randeri Saheb!!!

Angel Ne Likha Hi Itna Khoobsurat Tha Ke Jawaab Diye Bin Raha Na Gaya..

Aapko Yahan Dekh Kar Bahut khuhsi Hui.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #36 on: June 05, 2009, 05:25:44 AM »
Awesome... Clapping Smiley

iska jawab shaam ko denge Usual Smile

Thankyou Soooooo Much Angel!!! Usual Smile

Ab Aapke Jawaab Ka Intezaar Rahega.. Thumbs UP
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #37 on: June 05, 2009, 12:15:22 PM »
bahut khub Angel ji. Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut badhiya khwaish ji Clapping Smiley Clapping Smiley

bewfai par aapne jo likha h khub likha h.....khuch lines kehna chahugi

                 Sab halat hi the jo hame bewfa kar gye
                 kha koi khud hi in raston par chalta h

                         ***************

                 Bewfai karne k baad haalaton ka liya sahara
                 kha koi apni galti taslim karta h
Logged
angel4u
Guest
«Reply #38 on: June 05, 2009, 02:10:20 PM »
Thankyou Soooooo Much Angel!!! Usual Smile

Ab Aapke Jawaab Ka Intezaar Rahega.. Thumbs UP



Sab kehte hai ke usne meri aankhon ko beintehaan rulaya hai,
hum kehte hai ke usne hamari rooh tak ko bejaan kiya hai,

hum bhi na karte usko bewafaon ke naamo mein shaamil,
par usne hamein un haalaaton ka saamna karwaaya hai,

Chaha to na tha usne mujhse bhi juda hoke rehna kabhi,
mere saath rehke hi usne mujhe har pal dhoka diya hia,

phir bhi na jaane kyon dil mein koi ranjish nahi rakhi,
meri aahone bhi usko bas duwaon ka qaafila diya hai,

uski haseen aankhein aaj bhi hia na jaane kyon khwaabeeda,
usne hi hamein in tanhaiyon ke jangalon mein bhatkaya hai,

sabne kaha ke bhool jaa pagli uski har ek bewafayi ko, par
kya karein meri har saans pe usine ikhtiyaar bhi paaya hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #39 on: June 05, 2009, 02:10:59 PM »
Teh Dil Se Shukriya Randeri Saheb!!!

Angel Ne Likha Hi Itna Khoobsurat Tha Ke Jawaab Diye Bin Raha Na Gaya..

Aapko Yahan Dekh Kar Bahut khuhsi Hui.. Usual Smile


Itni tarif karne ke liye shukriya. Kya pata hum iska qaabil hia bhi ya nahi... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #40 on: June 05, 2009, 02:11:32 PM »
bahut khub Angel ji. Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut badhiya khwaish ji Clapping Smiley Clapping Smiley

bewfai par aapne jo likha h khub likha h.....khuch lines kehna chahugi

                 Sab halat hi the jo hame bewfa kar gye
                 kha koi khud hi in raston par chalta h

                         ***************

                 Bewfai karne k baad haalaton ka liya sahara
                 kha koi apni galti taslim karta h


Thank you so much Popz.. and nice lines written by you. Too good. Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #41 on: June 05, 2009, 02:11:51 PM »
waah bahot khoob likha hai aapne Angel ji bahot ache ehsasaat lie hue ashaar hain  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Khwaish ji behad ache aur dil ko chhoo lene vale ashaar likhe hain aapne
very nice  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thank you so much Kaash Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #42 on: June 05, 2009, 03:55:24 PM »
bahut khub Angel ji. Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut badhiya khwaish ji Clapping Smiley Clapping Smiley

bewfai par aapne jo likha h khub likha h.....khuch lines kehna chahugi

                 Sab halat hi the jo hame bewfa kar gye
                 kha koi khud hi in raston par chalta h

                         ***************

                 Bewfai karne k baad haalaton ka liya sahara
                 kha koi apni galti taslim karta h


Bahut Bahut Shukriya Pooja...Aapne iss Thread Ko Apna Waqt Diya..Teh Dil se Shukriya...

Aur Wah Bahut Bahut Khoob!!! Kya Tanz Diye Hai Aapne Iss Sher mein..
Bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #43 on: June 05, 2009, 04:00:15 PM »
waah bahot khoob likha hai aapne Angel ji bahot ache ehsasaat lie hue ashaar hain  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Khwaish ji behad ache aur dil ko chhoo lene vale ashaar likhe hain aapne
very nice  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Bahut Shukriya Kaashji..Aapne Humein Waqt Diya,Teh DilSe Shukriya Aapka.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #44 on: June 05, 2009, 04:11:29 PM »

Sab kehte hai ke usne meri aankhon ko beintehaan rulaya hai,
hum kehte hai ke usne hamari rooh tak ko bejaan kiya hai,

hum bhi na karte usko bewafaon ke naamo mein shaamil,
par usne hamein un haalaaton ka saamna karwaaya hai,

Chaha to na tha usne mujhse bhi juda hoke rehna kabhi,
mere saath rehke hi usne mujhe har pal dhoka diya hia,

phir bhi na jaane kyon dil mein koi ranjish nahi rakhi,
meri aahone bhi usko bas duwaon ka qaafila diya hai,

uski haseen aankhein aaj bhi hia na jaane kyon khwaabeeda,
usne hi hamein in tanhaiyon ke jangalon mein bhatkaya hai,

sabne kaha ke bhool jaa pagli uski har ek bewafayi ko, par
kya karein meri har saans pe usine ikhtiyaar bhi paaya hai...


Bahut Bahut Khoob Angel!! Har Ek Lafz Ek Dastaan Sa Baayan Karta hai..Bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aankhon Se Gire AShq ko Kabhi Hum Zameen Par Dhoond Nahi Paate,
Tooth The Hai Jo Dil mohabbat Mein,Woh Kabhi Juud Nahi Paate...

Gham iss Baat Ka Nahin ke Tune Mujhe Bewaffa Kahan!!!
Gham Iss Baat Ka Hai ke Hum Chaah Kar Bhi,
Ab Tujhse, Phir Mil Nahi Paate....

Jab Tera Naa Ho Saka To Shayad Main Kisi Aur Ka Bhi Naa Ho Paau,
Mohabbat Mein Phool Aise Bhi Hote Hai Jo Kabhi Khil Nahi Paate....

Main Hi kasoorvaar Hoon,Jo Apne Iss Dil ko Khilona Samaj Baitha!!!
Zakhm Aise Bhi hote Hai "Khwaish" Jo Kabhi Sil Nahi Paate....

Shikayat Gar Tujhse Karoon To Woh Tauheen-E-Mohabbat Hogi,
Kuch Jazbaat Aise Bhi Hote Hai Dil mein,
Jinhe Koi Alfaaz Mil Nahi Paate....
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 06:44:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer