Teri chah! me........

by redwhitegang on June 02, 2006, 02:50:09 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1197 times)
redwhitegang
Guest
Teri chah! me saari ummr tamam ho gaya,
mar ne se pehle kisi ne na nazar pheri meri taraf..
maarne ke baad ashiquo ke firist me mashoor mera naam ho gaya....
Logged
Anushka
Guest
«Reply #1 on: June 03, 2006, 07:49:43 AM »
Quote from: "redwhitegang"
Teri chah! me saari ummr tamam ho gaya,
mar ne se pehle kisi ne na nazar pheri meri taraf..
maarne ke baad ashiquo ke firist me mashoor mera naam ho gaya....

bahut khub RWGji

WOH chahta tha phir bhi koi Guftago na ki
Main nay bhi poochnay ki Justojoo na ki

Tasveer teri dekh kar Ankheein Chaalkh parein
Hum nay teri Ibadaat kabhi bay-Wuzu na ki

Baithay rahay chup chap Hum pardah nasheen k paas
MUSA ki tarahan dekhnay ki Arzoo na ki

WOH hay Nasha-e-ISHQ ki lazat say Bay Khabar
Jis nay ye Zindagi kabhi Nazar-e-Sobo na ki

Karta raha biyaan WOH Geeroon kay Samanay
OS nay kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo na ki

DIL mein chuppaye rakhay hain Hum nay Raaz-e-ISHQ
Ahel-e-Janoon ki baat kabhi Koo-ba-Koo na ki

Milta nahi hay US ko Shahadat ka Martaba
Rah-e-KHUDA mein jis nay ye Gardan Lahoo na ki(NM)
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #2 on: June 06, 2006, 07:26:34 AM »
Quote from: "Anushka"

Masaallah! kya kahe aap ki is sayari par
Hamare to hoth sil gaye aap ki ibadgi par
kash tere kuch noor humpe bhi aajaye
To jindagi hum bhi bitayenge teri ibadgi par
Logged
Anushka
Guest
«Reply #3 on: June 06, 2006, 08:18:50 AM »
Shukriya RWGji.....
acha jawab hai.....emmmmmmmmmmmmmmm sooch ker likhay geh :D
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #4 on: June 06, 2006, 03:57:58 PM »
Quote from: "Anushka"
Shukriya RWGji.....
acha jawab hai.....emmmmmmmmmmmmmmm sooch ker likhay geh :D

shukriya aap ko,k aap hum pe khus hain :D
.
.
.
.
lekin aabhi bhi aap ka jawab nahi aaya! sad5

hmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm
kab aayega..................kab aayega.....................aur intezar muskil ho gaya hain :cry:

Aab es hadd pe laya hai intazaar muzhe,
Woh aa bhi jaye to aaye na yaki muzhe.

ummid karte hain aap ko pasand aaye ga :D  :D  :D  :D  :D  :D  :D
Logged
roshni246
Guest
«Reply #5 on: June 06, 2006, 04:08:30 PM »
gud both of u!!!!!!!!!!! Puzzled !  Puzzled !

Sunate hain ki mil jaati hai har cheez duaa se
ek roz tumhein maang ke dekhenge Khudaa se

tum saamne baithe ho to hai kaif ki baarish
vo din bhi the jab aag barasti thi ghataa se

ae dil tu unhen dekh kar kuchh aise tadapnaa
aa jaaye hansi un ko jo baithe hain Khafaa se

duniyaa bhi mili hai Gam-e-duniyaa bhi milaa hai
vo kyun nahiin milataa jise maangaa thaa Khudaa se

jab kuchh na milaa haath duaaon ko uthaakar
phir haath uthaane hi pade, hamko khudaa se

meri ek choti si khoshish!!!!!!! Puzzled !
Logged
Anushka
Guest
«Reply #6 on: June 06, 2006, 10:15:05 PM »
Bahut hi acha likha hai roshniji..... great to read it..... soothes the heart!!

Aur RWGji...... jawab to kab ka diya hua hai........ check it out
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: June 07, 2006, 02:26:35 AM »
WAH JI kya baat  hai aap sab ki bahut sundar likha.......... :D
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #8 on: June 07, 2006, 06:31:24 AM »
Quote from: "roshni246"
gud both of you!!!!!!!!!!! Puzzled !  Puzzled !

Sunate hain ki mil jaati hai har cheez duaa se
ek roz tumhein maang ke dekhenge Khudaa se

tum saamne baithe ho to hai kaif ki baarish
vo din bhi the jab aag barasti thi ghataa se

ae dil tu unhen dekh kar kuchh aise tadapnaa
aa jaaye hansi un ko jo baithe hain Khafaa se

duniyaa bhi mili hai Gam-e-duniyaa bhi milaa hai
vo kyun nahiin milataa jise maangaa thaa Khudaa se

jab kuchh na milaa haath duaaon ko uthaakar
phir haath uthaane hi pade, hamko khudaa se

meri ek choti si khoshish!!!!!!! Puzzled !

Is se choti si kosis kehte hain! to phir bari kya hain Shocked
Bohot khub likha hain aap ne  roshni ji!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:05:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer