---::::::::TERI DOLI UTTHI TU :::::::-----

by fakharenaveed on December 26, 2004, 01:35:39 AM
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 40
Print
Author  (Read 32481 times)
fakharenaveed
Guest
«Reply #210 on: May 22, 2005, 08:27:13 PM »
Duniya ko is ka chehra dekha na para mujhe
Parda jo darmiyan tha hatah na parah mujhe
Ruswayion ke khuaf se ajj phir
Mehfil mein teri aana parah mujhe
Usool-e-mehfil reh gaye is liye,
Is bewafa se haath mila na para mujhe
Gum ho na jaye log kahin is liye
Apne Laho ka deep jala na para mujhe
Tum kis pe azzmao ge apni jafa
ke teri mehfil bas ye sooch ke aana para mujhe
Dil ko yakeen tha aap ke aane ka is liye
Ankhon ko raaste pe bichana para mujhe
Nayaab mujh ko ghum se mohabbat thi is liye
Dil ek bewafa se laga na para mujhe
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #211 on: May 23, 2005, 10:01:15 PM »
Raat bhar neend hi naa aaye to ,
Ashq aankhon main chhal chhalaaye to,
Kyaa hua hai bataaiye kaise,
Yaad koi bahot hi aaye to
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #212 on: May 23, 2005, 10:02:01 PM »
Jitna pyar dil mein hai,
Agar unta mil jaye to.
Unhein he rakheingey nigahon mein,
Koi kitan bhi kuch kehta ho.
Ansoon ko janey kya soojha,
Ki khushi mein bhi chalak aaye woh
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #213 on: May 23, 2005, 10:02:34 PM »
Zindagi Ki Raahon Mein Aise Mod Bhi Aate Hain
Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain
Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain
Jo Unhe Doond lete hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #214 on: May 23, 2005, 10:04:10 PM »
Bewafaie ko agar moti kaho,
To bahut miley hai zindagi mein.
Zindagi jitni gehri hai,
Sagar unta to kabhi nahi.
Mujhey to mila nahi kabhi ek bhi,
Jeewan do mausam kab laya hai.
Ansoo nahi baha saktey hum,
Ki usey bhi dilbar ka aashiq Paya hai.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #215 on: May 24, 2005, 10:38:15 PM »


Ajj Udhaas Hoon Tow ..

Aaj udhas hoon tow zamana mujhey phochney aya ..
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..

Woh tow ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..
ajj udhas lamhon main phir kyon mujhey woh yaad aya..

Zindagi ki musrufiyat ke woh chund din jo guzar chuke hain..
na hi un pe urooj aya,aur na hi un pe zawaal aya...

Bhool na chahti hoon har lamha ,har waqt jo guzar gaya hai..
jitna bhi rokka woh waqt utna woh mere sath chala aya...

Guzra hua kal na tha mera, na hai mera aur na ho ga kabhi...
yeh mein janti hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya..

woh waade teri woh kasmein woh sab yaad hain mujhe...
magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhoola paya..

ana parast the tum tow khudaar thi main bhi
yeh rishta hi humare dermiyaan na raas aya..

us ki muskurahat tere liye ek fareb thi Kanwal ..
tu thi nadan, dil tera usse na samajh paya!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #216 on: May 25, 2005, 10:08:38 PM »
Log kehte hain mujko aadat hai muskarane ki
Par unko kya pata ye bhi ek ada hai gum chupaane ki
Bahot tamanna thi meri bhi pyaar mein aashiyan banane ki
Banaya to lag gayi Nazar zamaane ki
Usi ka karz hai, jo aaj hain aankh mein aansoo
Saza mili hai humein muskurane ki...

nm
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #217 on: May 26, 2005, 10:24:07 PM »
Hum ne kab tum se mulaqat ka wada chaha,
dur rah kar to tumhay aur bhi ziada chaha,
yaad ayi hai teri aur bhi shidat se,
bhool janay ka tujhe jab bhi irada chaha.
Logged
s.hajare
Guest
«Reply #218 on: May 27, 2005, 03:46:36 AM »
Quote from: "fakharenaveed"
mein bach bhi jaoon mujhe tanhai mar dale gi
mere qabile ka har frad qtal gah mein rehta hai
**************************************
hum tu dil ki hsrtein mitye bethe hain
jo lutna tha lutye bethe hain
aab tu tere deedar ki khwahish hai
baqi sab kuch tu hum ganwaye bethee hain
------------------------------------------------------
aapne krdarko mousam se bachaye rakhna
laut ke ati nahin phool mein khusboo doobara
///////////////////////////////////////////////////////////
hum bhi har sans pe samjhota kr lete
magar aye ZINDGI humein jeene ka itna bhi shouk nahin

HAM JINHE APNA SAHARA MANTE THE
UNHONE HI HAMSE SAHARA CHIN LIYA
HAM TO UNHE APNA HI MANTE THE PAR
NA JANE KUN UNHONE HAME GAIRO ME GIN LIYA
Logged
taran_the_great
Guest
«Reply #219 on: May 27, 2005, 08:45:16 AM »
Quote from: "fakharenaveed"
Mat karo koi wada jise tum nibha na sako
Mat chaho use jise tum pa na sako
pyar kahan kisi ka poora hota hai
pyar ka to pahala shabd hi adhoora hota hai
************************************
************************************
Teri Doli Uthi Meraa Janazaa Uthha
Tu Bhi KandHoon Par Thi Mien Bhi Kandhoon ParTha

Charchy Teray Bhi Thae Charchye Mere Bhi Thy
Roye Tere Bhi Thye Aur Roye Meray Bhi Thay
Phool Tujhe Per Bhi Bersay Phool Mujhe Per Bhi Bersay
Chader Tujhe Pey Bhi Thi Aur Chader Mujhe Pey Bhi Thi
FARQ Sirf itna Thaa Tu Apni Duniya Mein Jaa Rahi Thi
Aur Mein Teri Duniyaa Sey Jaa raha tha



DOSTO YEH MERI 1ST TRY THI IF you LIKE IT PLZ MAIL ME ON MY ID FAKHARENAVEED@YAHOO.COM
MY SITE IS WWW.GEOCITIES.COM/FAKHARENAVEED/FAREE.HTML





wahhhh waah great one!!
Logged
taran_the_great
Guest
«Reply #220 on: May 27, 2005, 08:47:55 AM »
Quote from: "fakharenaveed"
mein bach bhi jaoon mujhe tanhai mar dale gi
mere qabile ka har frad qtal gah mein rehta hai
**************************************
hum tu dil ki hsrtein mitye bethe hain
jo lutna tha lutye bethe hain
aab tu tere deedar ki khwahish hai
baqi sab kuch tu hum ganwaye bethee hain
------------------------------------------------------
aapne krdarko mousam se bachaye rakhna
laut ke ati nahin phool mein khusboo doobara
///////////////////////////////////////////////////////////
hum bhi har sans pe samjhota kr lete
magar aye ZINDGI humein jeene ka itna bhi shouk nahin
waah waah great one!!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #221 on: May 27, 2005, 10:09:19 PM »
Thanx taran ji


badaltay hain log aise
jaise kuch yaad hi nahi
woh pyar jo kabhi hota tha
us ki parwaah hi nahi
hasrat main duniya kay
woh bhi niklay khwar kaheen
badla yoon dil unka
jaise tha pyar hi nahi
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #222 on: May 29, 2005, 12:16:11 AM »
I Miss you ...............................................My sweet frnd nini..............
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #223 on: May 30, 2005, 12:57:54 AM »
Zindgi mein yunhi mere tum
phoolon ki trah basi rehna
koi bhi tujhe ghum ho tu
bas mujhi s wohi kehna
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #224 on: May 30, 2005, 03:09:20 AM »
wafa k woh phool jo khilay thay aghaz e sfar mein
beech raah ponhche tu woh murjha gaye bewafon ki trah
Logged
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 40
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 12:54:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer