---::::::::TERI DOLI UTTHI TU :::::::-----

by fakharenaveed on December 26, 2004, 01:35:39 AM
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19 20 21 ... 40
Print
Author  (Read 32486 times)
fakharenaveed
Guest
«Reply #240 on: June 10, 2005, 09:23:20 PM »
BIN SAWAN BAARSAT NAHI HOTI SURAJ DUBE BINA RAAT NAHI HOTI

AE DOST KISIKA KA DILL MAT TODHNA KYU KE DILL TODHNE KI AWAAZ NAHI HOTI
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #241 on: June 11, 2005, 09:40:27 AM »
Dil jo toota inka.....dosto
yeh karte hai aah-o-faga
kis ko khabar kis ne...SABA
toda dil kis ka yaha........
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #242 on: June 11, 2005, 11:36:37 PM »
intezaar hai tujhe kiska phir se......
chala gaya dil behlane wala.........

ab to samajh ja "e-tanha dil"....
na milega tujhe pyar dene wala......

yeh khel hai teri kismat ka......ki kal tu royi thi
aaj phir tayyar khada hai tujhko rulane wala.........
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #243 on: June 12, 2005, 12:40:43 AM »
Dard saath hai mere aur gam mera saathi hai
Zindgi bozhil si aur door tak udaasi hai
Maikhana ghar mera dost mera saaki hai
Khali see hai zindgi bas teri yaad baki hai
En sukhe hoto pe aab hi ek muskan baki hai
Tu aaye naa aaye tera intzaar baki hai............
Logged
TriVinDreamer
Guest
«Reply #244 on: June 12, 2005, 01:45:10 AM »
Quote from: "fakharenaveed"
Dard saath hai mere aur gam mera saathi hai
Zindgi bozhil si aur door tak udaasi hai
Maikhana ghar mera dost mera saaki hai
Khali see hai zindgi bas teri yaad baki hai
En sukhe hoto pe aab hi ek muskan baki hai
Tu aaye naa aaye tera intzaar baki hai............
aap ke sayari ki baat
dil ke yoon kareeb hai,
ki lagta mujhe aisa
aapne meri baat kahi hai.
Bas naveed sahab
itni baat samajhiye,
lafz kahete hain wohi
jo dil me baat chupi hai.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #245 on: June 12, 2005, 01:49:04 AM »
tumhari yaad aati hai to ankhain khoob roti hain
baarishon ke mausam main yeh bhi barasti hain

jab suraj ye dhalta hai aur jab taare nikalte hain
andheri raaton main ye aankhain khoob roti hain

jab jab baharain aati hain jab jab phool khilte hain
dil ke mauam-e-khizaan pe ye aankhain khoob roti hain !!




for you  Trivi
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #246 on: June 12, 2005, 07:58:17 PM »
Tanhie to shayad kabhi tanha ho sakti hai,
Par tanha ho kar bhi kabhi tum tanha nahi. (tanhaie tumharey sath hai)
Ki tanhaie kamzor logon ke liye nahi,
Iss liye yeh sabki taqder mein nahi.
Jisey kabhi piyar na kiya karey koi,
ki piyar ke kabil to hai sirf woh he.
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #247 on: June 13, 2005, 06:51:30 PM »
Excellent job Gum ...
Keep writing more ...
Hope to see more from you ...
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #248 on: June 13, 2005, 07:28:26 PM »
Thanx..................................Gum....... ..........................Jhl



Koi kuch bhi na kahay to pata kya hai
Is bechain khamoshi ki wajah kya hai
Unhain ja kay koi kahay hum lay lenge zahar bhi
Woh sirf yeh to bata dain meri khata kya hai
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #249 on: June 14, 2005, 09:22:46 PM »
Gum ji Aap Ki Nzar Krta Hoon










"aik diya dil main jalaana bhi, bhuja bhi daina
Yaad karna bhi us se roz, bhula bhi daina

Kia kahoon yeh meri chahat hai ke nafrat us ki
Naam likhna bhi mera, likh ke mitta bhi daina

Phir na milne ko bicharta to hoon tujh se lekin
Mur ke dekhoon to palatne ki dua bhi daina

Khat bhi likhna us se, mayoos bhi rehna us se
Jurm karna bhi magar saza bhi daina

Mujh ko rasmoon ka takkaluf bhi gawaara lakin
Jee main aaye to yeh deewaar gira bhi daina

Us se mansoob hi kar lain puraane qisse
Us ke baloom main naya phool saja bhi daina

Surat-e-naqsh-e-qadam, dasht main rehna
Apne hone se na hone ka pata bhi daina
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #250 on: June 15, 2005, 08:08:34 AM »
Hum bhi aap ki qurbat mein agaye hotey
gar zmane waley mere rstay mein na agye hotey
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #251 on: June 15, 2005, 11:22:22 PM »
Aakir yeh fitrat kahan jayegi,
ek na ek din rang layegi,
us din kisi ka dil tootega,
un tukdon se woh apna aasiyana banayegi.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #252 on: June 15, 2005, 11:23:08 PM »
Is dil ki gehraiyon mein jaaoge,
to ek hi naam paaoge,
lekin us naam ki gehraiyon mein mat jaao,
tum sirf bewafai paaoge.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #253 on: June 15, 2005, 11:23:40 PM »
Guzre hain hum ishq ke aise muqaam se,
ke nafrat si ho gayi hai mohabbat ke naam se.
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #254 on: June 16, 2005, 05:02:58 AM »
Quote from: "fakharenaveed"
Gum ji Aap Ki Nzar Krta Hoon










"aik diya dil main jalaana bhi, bhuja bhi daina
Yaad karna bhi us se roz, bhula bhi daina

Kia kahoon yeh meri chahat hai ke nafrat us ki
Naam likhna bhi mera, likh ke mitta bhi daina

Phir na milne ko bicharta to hoon tujh se lekin
Mur ke dekhoon to palatne ki dua bhi daina

Khat bhi likhna us se, mayoos bhi rehna us se
Jurm karna bhi magar saza bhi daina

Mujh ko rasmoon ka takkaluf bhi gawaara lakin
Jee main aaye to yeh deewaar gira bhi daina

Us se mansoob hi kar lain puraane qisse
Us ke baloom main naya phool saja bhi daina

Surat-e-naqsh-e-qadam, dasht main rehna
Apne hone se na hone ka pata bhi daina

\
wah wahhhhhhhhhh........... aap bahutttttttttttttt achha likhte hoo...............
Logged
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19 20 21 ... 40
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:57:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer