---::::::::TERI DOLI UTTHI TU :::::::-----

by fakharenaveed on December 26, 2004, 01:35:39 AM
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29 30 ... 40
Print
Author  (Read 32482 times)
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #375 on: September 27, 2005, 06:07:51 PM »
Quote from: "ali"
Mohabbat naam hai jiska
Wo ek ibadat hai yaaro
Do pal ki khushi ke liye
WO barso tadpa or roya tha


Ali Ji ...... Bohat KhuuB


Yeh khushiya apne sang dukh bhi laati hai
Kisi ki yaad jab bhi aati hai bohat rulati hai
Logged
FAREE
Guest
«Reply #376 on: September 28, 2005, 10:24:58 AM »
dil mein tu qaid hai ab tuj ko reha kia kerna
jism ko roh se danista juda kia kerna
meri her sans tere naam se mansoob hui
ab tujay chatay rehnay k siwa aur kia kerna
Logged
FAREE
Guest
«Reply #377 on: September 28, 2005, 11:31:45 AM »
raat hui jab shaam ke badd,
teri yaad ayi har baat ke baad,
humne khamosh reh kar bhi dekha
teri awaz ayi har sans ke baad.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #378 on: October 01, 2005, 06:16:27 AM »
Quote from: "FAREE"
dil mein tu qaid hai ab tuj ko reha kia kerna
jism ko roh se danista juda kia kerna
meri her sans tere naam se mansoob hui
ab tujay chatay rehnay k siwa aur kia kerna


Qaid rahe hum yu hi yeh dua kiya karte hai
In bandisho me lazzat mehsoos kiya karte hai
Logged
siddharth
Guest
«Reply #379 on: October 02, 2005, 09:58:57 AM »
bahut achha kaha hai aap ne dua dun salam likkun ya taarif karun magar kaise alfaaz kam pad jate hai wo nikal jaten hai samne se aur hum khayalon men hi unka dedaar karte rah jaten hi......
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #380 on: October 06, 2005, 06:31:46 PM »
Quote from: "gum"
gr888 work Saba_Saba

Dil mein Baskar Dil jalate kyon ho,
Mujhse nafrat hai to mere khaboo mein aate kyon ho,
Nahi hai tumhe mera yaar kabool to,
Pyaar ke shama mere dil mein jalate kyon ho


Gum ji cooolllllllll
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #381 on: October 20, 2005, 09:21:48 PM »
Jeete hai woh log mar mar ke
Is zindgi me jo pyar karte hai
Kuchh pal ki khushiyo ki khatir
Har ek gum ko jhel jaate hai
Firaaq-o-hijar ki ghariya bitate hai
Har ek lamhe ko shumar karte hai
Mujhe bataye koi zara
Kyu log pyar karte hai
Kyu khud ko is tarah barbad karte hai
Logged
ali
Guest
«Reply #382 on: October 22, 2005, 08:24:36 PM »
Bahot hi khub saba ji
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #383 on: October 28, 2005, 03:34:10 PM »
Quote from: "ali"
Bahot hi khub saba ji



Thanxxxx Ali .... tongue3 :oops: Usual Smile
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #384 on: October 28, 2005, 03:39:36 PM »
nice  wrok  all ............  bahot  khoob........
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #385 on: November 24, 2005, 04:53:08 PM »
Jab mausam-e-bara me bhi gulshan me lage aag
Jazbaat ki garmi se na kyu tan me lage aag


Tum khair khabar lene ki takleef na karna
Bas dekhte rehna jo nasheman me lage aag


Mausam ka yeh badla hua andaz ajab hai
Gami me gire baf to sawan me lage aag


Pahunchegi beherhaal lapak sholo.n ki mujh tak
Ghar me mere ya khana-e-dushman me lage aag


Honto.n pe mere rehti hai har dam yeh duwaye
Allah na kare sabar ke daaman me lage aag


Yeh husn-e-amal ka hai taqaza SABA begum
Gulshan me lage phool to gulkhan me lage aag
Logged
FAREE
Guest
«Reply #386 on: December 10, 2005, 01:30:29 PM »
Nice Saba Ji
Logged
FAREE
Guest
«Reply #387 on: February 12, 2006, 04:55:18 AM »
Mohabbat atebar ki soorat,
Dillon ki sirzameen par ghir k aati aur barasti hai
Chaman ka zarra zarra jhoomta hai, muskuraata hai
Azal ki bay na mooti main sabza sir uthaata hai
Mohabbat un ko bhi aabaad aur shaadab karti hai
Jo dill hain Qabar ki soorat
Mohabbat atebaar ki soorat
Logged
FAREE
Guest
«Reply #388 on: February 12, 2006, 07:09:57 AM »

jin ke chehre hoon chand ki soorat
un ke dil mein bhi daag hote hain

tumhari bazam mein dhundli si roshni ki hai
dilon ke daag,chiragon ke ro-baro to nahin

zeest se tang huwa hai daag to kuin jeete ho
jaan pyari bhi nahi jaan se jaate bhi nahi

nigah parhti hai jis waqt dil ke daagon per
to aik dost ke ehsan yaad aate hain

masham jaan muattar hai tere tassawur se
mein apne dil ke har ik daag ko gulab karoon

app ke sar ki qasam daag ko parwah bhi nahi
app se milne ka hoga jise armaan hoga

bheegi jo raat jal uthe hasrat kade ke daag
hum wadi bahar chiragon mein aa gaye

woh teri yaad ka ik zakham bhar gaya laiken
kabhi jo mit na sake woh daag chor gaya

Logged
FAREE
Guest
«Reply #389 on: February 12, 2006, 08:08:20 PM »
Thank You gum


kitna taweel hai safar
manzil e kher ka! magar
thaktay nahee hain paon ye
toota nahee hai hosla

dard ki reh guzar mein to
mera safar naya naya
mujh se bhi pehle kitne log
paon mein ablay liye
manzil ki arzoo liye
niklay thhe dasht e kher ko
lekin wo be aman safar
oon ko to kuchh na de saka
or wo thuk ke gir gae
rastay mein kitne mar gae


mein bhi safar mein hoon abhi
manzil ki arzoo liye
nikla hoon dasht e kher ko...

mera safar naya naya
mujhe ko mager yaqeen hai
apne hi logon ki tarah
rastay mein na maroon ga mein
manzil ager nahee milee
phir bhi safar karoon ga mein...
kitna taweel hai safar
manzil e kher ka! magar
thaktay nahee hain paon ye
toota nahee hai hosla
Logged
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29 30 ... 40
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:15:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer