---::::::::TERI DOLI UTTHI TU :::::::-----

by fakharenaveed on December 26, 2004, 01:35:39 AM
Pages: 1 ... 23 24 25 26 [27] 28 29 30 31 ... 40
Print
Author  (Read 32479 times)
badnaam_shayar
Guest
«Reply #390 on: February 13, 2006, 04:13:14 AM »
Wonderfull Naveed bhai....really gr88 maine aapke purane records bhi pade bahut acche the......

Kab se teri Yaad me......
Dil me Dard Sajaye baithe hain.....
Apne Janaze par kafan nahi.....
Tera Dupatta bichaye baithe hain.....
Tujhse bahut Pyar karta hoon mein....
Isiliye aaj apna sab kuch lutaye baithe hain....
Jala k mashaal teri mahobbat ka.....
Kabse hum har Khushi ko door bhagaye baithe hain.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #391 on: February 13, 2006, 05:07:37 AM »
wah kaya baat hai gum ji, BS JI and Faree ek se bar kar ek likha hai app sabne.....
Logged
FAREE
Guest
«Reply #392 on: February 13, 2006, 10:02:18 PM »
Shukriya aap Logon Ka



You All Are  Something Special For Me

teray rokay say woh bad ahad kahan rukta hai
paoon chonay say tu bahtar hai usay janay dai



ai khuda loog banaye thay agar pathar kay
meray ahsas ko sheesha na banaya hota



naza ki akhri hicki ko zara ghour say sun
umer bhar ka ghulasa issi awaz main hai


dhoop bhi ud kar bulandi par pohanch jati haai
aap agar takht nasheen hain tu koi bat nahi
Logged
FAREE
Guest
«Reply #393 on: February 15, 2006, 08:02:16 AM »
Chehre par nazar aati hain woh to khushi ke dikhawein hote hain

Dard ke saaz to dil ke kisi kone main chupe hote hain

Kaan se chutkuli sunte hain to honth hans bhi dete hain

Par ain naino ka kia karein jo har pal roti hi rehti hai

Saal do saal ki baat hai yeh umar bhar ka silsilla nahi

Phir na royenge nain waqt ke saath ghav bhi to naasoor hote hain

Kehlo pyaar ais si ya ishq kaho, dil lagi ya dil ki lagi kehlo

Yeh dard ki sunehri kunchi hai jis pe lage hazaro mukhote hain

Kar rahi hai baat " ashaar-e-dil " un silsillon ki jo dil se shuru hote hain

Phir chehre par ubhar aate hain aur naino se aansu ban beh jate hain
Logged
FAREE
Guest
«Reply #394 on: February 15, 2006, 07:41:06 PM »
mohaatain jab shumar karna tu sazihain bhi shumar karna
jo meray hissay mai aye hain o aziyatain bhi shumar karna

jalay rakhon g suhba tak mai tumharay rastoon mai apni ankhain
magar kaheen zabt toot jay tu barishain bhi shumar karna

jo harf loh ay wafa pa likhayhoay hain un ko bhi daikh laina
jo raigaan ho gain wo sari abartain bhi shumar karna

tum apni majbooriyoon ka kisay zaroor likhna wazahatoon sa
jo meri ankhoon mai jal bujhi hain o khuahishain bhi shumar karna
Logged
FAREE
Guest
«Reply #395 on: February 17, 2006, 09:31:16 PM »
aaj to be-sabab udaas hai jii

aaj to be-sabab udaas hai jii
ishq hotaa to ko_ii baat bhii thii

jalataa phirataa huu.N kyuu.N do-paharo.n me.n
jaane kyaa chiiz kho ga_ii merii

vahii.n phirataa huu.N mai.n bhii Khaak ba-sar
is bhare shahar me.n hai ek galii

chhupataa phirataa hai ishq duniyaa se
phailatii jaa rahii hai rusvaa_ii

ham_nashii.n kyaa kahuu.N ke vo kyaa hai
chho.D ye baat niind u.Dane lagii

aaj to vo bhii kuchh Khaamosh saa thaa
mai.n ne bhii us se ko_ii baat na kii

ek dam us ke haath chuum liye
ye mujhe baiThe baiThe kyaa suujhii

tuu jo itanaa udaas hai 'Nasir'
tujhe kyaa ho gayaa bataa to sahii
Logged
FAREE
Guest
«Reply #396 on: February 18, 2006, 10:27:54 PM »
jo keh na sake woh fasana yaad aata hai
guzra hua dilkash zamana yaad aata hai

jab husn se ishq takraya tha kabhi
ghayal hua tha ek parwana yaad aata hai

dil se mohabbat ke toofan uthe they jab
aankhon ke sapne sajana yaad aata hai

kasturi jaise din mehakte they mere
raaton ka gungunana yaad aata hai

aankhon ka mil kar jhuk jana nahin bhula
hothoon ka thar_tharana yaad aata hai

mera usko kan akhiyoon se dekhna baar baar
aur uska wo muskurana yaad aata hai

raaton ko tanha yaad mein kisi ki...
dhuan udata ek deewana yaad aata hai
Logged
FAREE
Guest
«Reply #397 on: February 20, 2006, 02:10:05 AM »
Buhat Chup chup Sey Rehtey Hoo
Na Bantey Hoo , Sanwertey Hoo
Na Koi baat Kartey Hoo
Bharee Mehfil Main Bhi Aksar
Hamesha Khoye Rehtey Hoo
Oudasee Ankh Main Ley Kar
Har Eik Chehrey Ko Taktey Hoo
Koi jab Yaad Ata Hai
Tu Thandee Aah Bhartey Hoo
Tu Khul Kar Kyun Nahin Kehtey
Kis Sey Pyaar kartey hoo
Kahan Dil Choor Aye Hoo Huh???
Logged
FAREE
Guest
«Reply #398 on: February 21, 2006, 03:17:07 AM »

wo nahey thaa to dil ek shehar-e-wafa thaa jis mein
us kay hoontun kay tusawar say tapsh aatee thee
us kay inkaar pay bhee phool khillay retay thaay
us kay infaas say bhee shamma jalii jatee thee
din is umeed pay kutata thaa kay din dhaltay hee
us nay kuch diar ko mil lainay ki mohalat dee hay
ungliyan barq zadda reti theen jessay us nay
apnay rukhsaroon ko choo leenay ki ijazat dee hay!
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #399 on: February 21, 2006, 07:58:43 AM »
Quote from: "FAREE"

wo nahey thaa to dil ek shehar-e-wafa thaa jis mein
us kay hoontun kay tusawar say tapsh aatee thee
us kay inkaar pay bhee phool khillay retay thaay
us kay infaas say bhee shamma jalii jatee thee
din is umeed pay kutata thaa kay din dhaltay hee
us nay kuch diar ko mil lainay ki mohalat dee hay
ungliyan barq zadda reti theen jessay us nay
apnay rukhsaroon ko choo leenay ki ijazat dee hay!


Jitne pal they de kar diye aap ke naam
Phir bhi woh aap ko kaafi nahi they
Hum se kaha qatal kiya hai tum ne
Sochiye zara kya aap qatil nahi they
Kaise de dete tumhe mere humdum batana
woh masarrat ke pal hume bhi haasil nahi they
Logged
FAREE
Guest
«Reply #400 on: February 23, 2006, 08:41:37 PM »
Nice One Saba Jaanuu
Logged
FAREE
Guest
«Reply #401 on: February 24, 2006, 03:29:31 AM »
Tumne Bhi Rangoli Sajayi Hogi
Matwaali Diwaali Manayi Hogi
Bujha Hua Chirag Dekhkar
Humari Yaad to Aayi Hogi
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #402 on: February 24, 2006, 07:07:40 PM »
Thanxx Faree

Roshi dekhi jab bhi
woh andhera yaad aaya
har raat ki siyahi me
woh savera yaad aaya
Us se bichre they kabhi
aaj kyu fir woh yaad aaya
Logged
FAREE
Guest
«Reply #403 on: February 28, 2006, 06:19:16 PM »
ajeeb dastaan hai pyar ki............
isko koi na samajh pata hai.............

na ro tu -"ae mere dost"..........
kyuki....duniya ko rulane me maza aata hai.........

jo hua tere sath.....aisa aksar hota hai.......
pyar karke duniya mein aakhir kaun muskurata hai.......

yeh dard tera....tujhme simat ke reh jaayega......
na dikha duniya ko...... usse hasne mein maza aata hai.....

tod ke uski yaadon ka pehra.....nikal ja aaj tu.......
kal tadpoge zyada....kyuki ghao kal nasoor ban jata hai.....
Logged
FAREE
Guest
«Reply #404 on: March 01, 2006, 08:21:19 PM »
na tum aa sako gey na pir baat hogi
bari duk bari chandni raat hogi

gari do gari bait kar baat kar loo
na janay pir kab mulaqat hogi
Logged
Pages: 1 ... 23 24 25 26 [27] 28 29 30 31 ... 40
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:23:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer