---::::::::TERI DOLI UTTHI TU :::::::-----

by fakharenaveed on December 26, 2004, 01:35:39 AM
Pages: 1 ... 26 27 28 29 [30] 31 32 33 34 ... 40
Print
Author  (Read 32906 times)
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #435 on: October 16, 2006, 06:53:24 PM »
Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo

Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo

Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain

Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #436 on: October 17, 2006, 01:37:51 PM »
Har ashq ka matlab gam nahi hota,
Duriyo se pyar kam nahi hota,
Waqt bewaqt ho jati hai aankhein nam,
Kyonki yaado ka koi mausam nahi hota.
Logged
FAREE
Guest
«Reply #437 on: October 24, 2006, 11:14:35 PM »
Dekh Lo Khwaab Magar Khwaab ka Charcha Na Karo
Log Jal jaayenge Sooraj ki Tamanna na karo

Waqt Ka kya hai kisi Pal Bhi Badal Sakta Hai
Ho sake tum se to tum mujhpe bharosa na karo

Khirkiyan Toote Huey Aks ki Chubh Jayengi
Aur kuch Roz Abhi Aaiina Dekha na karo

Ajnabi lagne lage khud tumhen Apna Wajood
Apne din Raat ko itna Bhi Akela na Karo

khwaab Bachhon ke khilono ki tarah hote hain
khwaab Dekha na karo,khwaab dikhaya na karo

Be-khayalee mein kabhi ungliyan Jal jayengi
Raakh guzre huey Lamhon ki kuredaa na Karo...
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #438 on: October 25, 2006, 10:42:26 AM »
The Style Guru says......


Cool as usual Faree
Logged
FAREE
Guest
«Reply #439 on: October 29, 2006, 07:21:34 PM »
Thank You



bahot hi khusnasib hun main,
ek wajah mil gayi jindagi ko jeene ko...

kya kahu main ab aur kuch ,
jab koi lafz hi nahi mil rahe kehne ko...

milongi ab kab aap mujhse,
ye dil taras raha hai aapse milne ko...

nazre dhundhti hai sirf aapko,
ye nazre bekarar hai aapko dekhne ko..

waqt bitta nahi aapke bager ,
intezar bhare lamhe hai dil ko behlane ko...

pyaar ke bareme main kya janu,
aap hai mujhe pyaar ka matlab samjhane ko..

ye "Faree" sirf aapke liye hai,
sirf aapko hi hak hai mujhpe yun hak jatane ko.....
Logged
FAREE
Guest
«Reply #440 on: October 31, 2006, 03:39:52 AM »
Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
k ashq rokna tum se mohaal hona hay

har aik laab pe hay meri wafa k afsanay
tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

baja hay ka khaar hain lakin bahar ki rot main
yeh teh hay k huamin bhi nehaal hona hay

tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
tumharay hijar main ik lamha bhi sal hona hay

humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bhahoon main
kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
baas intizaar hay kaab yeh kamal hona hay

har shaks chalay ga humari rahoon per
mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
humari zaat ko aisa sawal hona hay

Faree" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
usay bhi apne kiye ka milal hona hay .
Logged
FAREE
Guest
«Reply #441 on: October 31, 2006, 07:55:32 PM »
Waqat na jaane zamane ko kahan lejaega
hum to ruk jaainge lakin waqat chalta jayega

koun chalta hai sada sung karwane waqat ke
har musafir thak ke koi rah pe ruk jayega

zindagi wo khawab hai tootega jab uth jaainge
mout ki aaghosh main jab har bashar so jayega

kia mohabat kia khushi kia dosti kia dushmani
waqat ka sab khail hai aur sab khatam ho jayega

sochta hoon mai janaza dekh ker jaate hue
ik kafan he hai mera jo saath mere jaayega
Logged
FAREE
Guest
«Reply #442 on: November 02, 2006, 08:08:22 PM »
Aaj jaane kii zid na karo


Aaj jaane kii zid na karo
yuu.N hii pahaluu me.n baiThe raho
haaye! mar jaaye.ge, ham to luT jaaye.ge
aisii baate.n kiyaa na karo

tum hii socho zaraa kyuu.N na roke tumhe.n
jaan jaatii hai jab uThake jaate ho tum
tum ko apanii kasam jaan-e-jaa.N
baat itanii merii maan lo

waqt kii qaid me.n zindagii hai magar
cha.nd gha.Diyaa.N yahii hai.n jo aazaad hai
in ko kho kar abhii jaan-e-jaa.N
umr bhar na taraste raho

kitanaa maasuum-o-rangiin hai ye samaa
husn aur ishq kii aaj meraaj hai
kal ki kisako Khabar jaane-jaa.N
rok lo aaj kii raat ko

gesuuo.n kii shikan hai abhii shabanamii
aur palako.n ke saaye bhii madahosh hai.n
husn-e-masuum ko jaane-jaa.N
beKhudii me.n na rusvaa karo
Logged
FAREE
Guest
«Reply #443 on: November 04, 2006, 07:22:27 PM »
Chehra na koi dooja mere dil ko bhaaye.
Gulsan bhi lage soonaa, jo tu na najar aaye..............

tere tirchi chitwan,man me halchal se machaate hai.
ye jo hai hansi tere, jeenaa shikhlaate hai.
tere jheel se aankho me, dil doobaa chalaa jaaye.
Gulsan bhi lage soonaa, jo tu na najar aaye..............




NM
mere khasta dil kee, haalat na koi puche.
gumsum aankhiyaaN mere, tera he pataa puche.
tere hijr me kaise hum, is dil ko samjhaaye.
Gulsan bhi lage soonaa, jo tu na najar aaye..............

nit apne is dil ko,hum ye samjhaate hai.
tujhse milne kee ise, hum aas delaati hai.
aajaa ab to na kahiN, ye aas bhi chuth jaaye.
Gulsan bhi lage soonaa, jo tu na najar aaye..............
Logged
FAREE
Guest
«Reply #444 on: November 08, 2006, 07:39:08 PM »
Jo keh na sake wo fasana yaad aata hai
Guzra hua dilkash jamana yaad aata hai

Jab husn se ishq takraya tha kabhi
Ghayal hua tha ek parwana yaad aata hai

Dil se mohabbat ke tufaan uthe the jab
Aankhon ka sapne sajana yaad aata hai

Kasturi jaise din mehakte the mere
Raaton ka gungunana yaad aata hai

Aankhon ka mil kar jhuk jana nahin bhula
Hothon ka thar_tharana yaad aata hai

Mera usko kankhiyon se dekhna baar baar
Aur uska wo muskurana yaad aata hai

Raaton ko tanha yaad mein kisiki...
Dhuan udata ek deewana yaad aata hai

*~;~**~;~**~;~**~;~**~;~**~;~**~;~*
Logged
FAREE
Guest
«Reply #445 on: November 12, 2006, 06:02:31 PM »
Mujhe bhi koyi Yaad karahi hogi!
Apni Sapnomey sajarahi hogi!!
Koyi kare ya na kare!
Woh mera intezar zarror karahi hogi!!
Logged
FAREE
Guest
«Reply #446 on: November 14, 2006, 11:42:02 PM »
har yadon mein usi ki yaad rehti hai,
meri ankhon ko usi ki talash rehti hai,
kuch tum bhi dua karo aye dost,
suna hai doston ki dua mein farishton ki fariyad hoti hai
Logged
FAREE
Guest
«Reply #447 on: November 18, 2006, 08:16:22 PM »
PYAR SACHCHA HO TO WAQT RUK JATA HAI,
ASMA LAKH NCHA HO MAGAR JUK JATA HAI..
PYAR ME DUNIYA LAKH BANE RUKAVAT,
AGAR PYAR SACHCHA HO TO KHUDA BHI JUK JATA HAI...
Logged
FAREE
Guest
«Reply #448 on: November 21, 2006, 07:37:18 PM »
shayad kami si lage,
kabhi tumhe mere jane ke bad,
par jane ka mera kabhi,
tum gam mat karna
ye kami hi hai bas sirf,
aur kuch nahi zindagi ki
ye kami ko apni himmat banaye rakhna
subha sham yun ankho me,
tum intezar mera sada rakhna
aaunga roz tumhare khwabo me,
pyaar bhare pal tum saja k rakhna
chahata hun tujhe main,
jitna koi chah na sakenga kabhi
na chhodu sath tera,
chahe kuch bhi kahe sabhi
is safar me tumhe kabhi,main
rukne nahi dunga
kanto ke raste pe,
main tumhe chalne nahi dunga
zindagi ke akhri palo ko,
maine tumhare naam kar diya hai
aakhri saans me bhi,
jaan tumhara hak likh diya hai
tujhse bichadne ka gam mujko bhi hai,
ankho me aaj ansu,
mujh me bhi hai
ja raha hun kahin,
is duniya ko alwida keh kar
mere pyaar ko hamesha,
apne seene me basaye rakhna



bas shayad kami si lage tumhe,
mere jane ke bad.............................
Logged
FAREE
Guest
«Reply #449 on: November 24, 2006, 07:02:08 PM »

zindagi ki tanhai main,hum akele
unki yaadon ko hi yaad karte hai,

baag main phool ke khilne per,hum sharmili
unki hansi ko hi yaad karte hain,,

raat ke us chaand ko dekh,hum suhani
unke saath guzri,har shaam ko yaad karte hai,,,

khiza ke har mausam main,,hum zindagi ki
dard bhare,us lamhe ko hi yaad karte hain,,,,

jaan se zyada jo hamare the,unke jaane ki
aansuon se bhari,us ghadi ko hi yaad karte hai,,,,,

yaad karte hain,,bas karte hai,jaan ko apni
zindagi bas aise hi tamam karte hain,,,,,
Logged
Pages: 1 ... 26 27 28 29 [30] 31 32 33 34 ... 40
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:17:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer