---::::::::TERI DOLI UTTHI TU :::::::-----

by fakharenaveed on December 26, 2004, 01:35:39 AM
Pages: 1 ... 28 29 30 31 [32] 33 34 35 36 ... 40
Print
Author  (Read 32428 times)
FAREE
Guest
«Reply #465 on: December 10, 2006, 04:29:29 AM »
fasuda nazare hamen jante hain
mohabbat ke mare hamen jante hain
fasurda- sadish

teri yaad men raat katti hai sari
falak ke sitare hamen jante hain
falak- Sky

jo hote hain sham-e-farozan pe qurban
oh parwaane sare hamen jante hain
sham-e-farozan - Light of lamp

hui thi jahan gharq kashti hamari
nadi ke oh dhare hamen jante hain
gharq- sink

mohabbat ki duniya men mashhoor hain hum
sabhi mahapare hamen jante hain
mahapare- pieces of moon

mulaqaat NAZ kab hogi unse
jo khat ke sahare hamen jante hain
Logged
FAREE
Guest
«Reply #466 on: December 10, 2006, 06:19:07 PM »
buht khoob majid

Door reh kar bhi tujh se mohabbat karna mujhe acha laga
tu bata ,aakhir tujhe yeh waaqiaa kaisa laga?

Itne faslay mein bhi hain teri qurbat ke mazay
tujh se milna,tujh ko chahna mujhe acha laga

Silsalay teri yaadun ke phailay hain har taraf
teri chah,teri raah mein bhatakna mujhe acha laga

Raakh urrne lagi hai mann mein jalti bujhti yaadun ki
shaam dhalay teri yaad ke deep jalana mujhe acha laga

Kaise kahun tere bin dasti hai mujh ko tanhaii
teri ulfat,teri furqat mein ratt-jaga karna mujhe acha laga

Woh aanch thi hawa mein ke kali tak bhi sulagg gaii
aise mein tera ghatta ban ke barasna mujhe acha laga

Faaslay mitt na paaein ge inn dooriun ke kabhi
tasawar mein tera aa ke dil ko behlana mujhe acha laga

Cheen li neend jab aa ke teray khiyaalun ne
teri tasweer pe chupke se hountun ko rakhna mujhe acha laga.
Logged
paani
Guest
«Reply #467 on: December 11, 2006, 12:04:58 PM »
nice farkh
Logged
paani
Guest
«Reply #468 on: December 11, 2006, 12:08:25 PM »
Quote from: "FAREE"
buht khoob majid

Door reh kar bhi tujh se mohabbat karna mujhe acha laga
tu bata ,aakhir tujhe yeh waaqiaa kaisa laga?

Itne faslay mein bhi hain teri qurbat ke mazay
tujh se milna,tujh ko chahna mujhe acha laga

Silsalay teri yaadun ke phailay hain har taraf
teri chah,teri raah mein bhatakna mujhe acha laga

Raakh urrne lagi hai mann mein jalti bujhti yaadun ki
shaam dhalay teri yaad ke deep jalana mujhe acha laga

Kaise kahun tere bin dasti hai mujh ko tanhaii
teri ulfat,teri furqat mein ratt-jaga karna mujhe acha laga

Woh aanch thi hawa mein ke kali tak bhi sulagg gaii
aise mein tera ghatta ban ke barasna mujhe acha laga

Faaslay mitt na paaein ge inn dooriun ke kabhi
tasawar mein tera aa ke dil ko behlana mujhe acha laga

Cheen li neend jab aa ke teray khiyaalun ne
teri tasweer pe chupke se hountun ko rakhna mujhe acha laga.

nice Faree bhai
Logged
paani
Guest
«Reply #469 on: December 11, 2006, 12:09:38 PM »

«Reply #470 on: December 11, 2006, 08:25:55 PM »
Thank You  Paani

Kaash tum nay mujhey hansaya hotta
Kaash tum nay mujhey rulaya hotta
Kaash gussay main he apna bulaya hotta
Kaash mujhey yaad ker k apnay dil ko behlaya hotta
Kaash meri yaad satati tumhain
Kaash merray bina neend na atee tumhain
Kaash k tum meri mohabbat ko pehchaan patee
Kaash k tum mujhey apna hee bana patee
Kaash main tumhain apni bahoon main khilata
Kaash main tumhari zulfoon main so jata
Kaash k tum dil say chahtee mujhey
Kaash k apna saya banatee mujhey
Kaash main teri aankhoon ka kajol hotta
Kaash main iss barish ka badal hotta
Kaash tum merray sennay say lipat ker rotee
Kaash k merray bina teri subhoo na hotee
Kaash k hal-e-dil batata tumhain
Kaash k dil ka ghum batata tumhain
Kaash k apni jaaaan say bhee chahta
Kaash tumbin saas bhee lay na pata
Aay kaash yeeh saab ghum na hottay
Aay kaash na tum hottay na hum hottay
Logged
FAREE
Guest
«Reply #471 on: December 14, 2006, 03:18:16 PM »
PYAAR KARNE SE TU PAHLE
PYAAR KI PAHCHN KARLE

YE DIL GUNGA HOKAR BHI BAHUT KUCH BOLTA HAI
DAAL ANKHO KI NISANA PYAAR KI PAHCHAN KARLE

PYAAR KARNE SE TU PAHLE
PYAAR KI PAHCHAN KAR LE

YE SOORAT BURI HAI YA GARIBI ISKA BHI HOSH KARNA
AB ASAMBHAV CHOD YE DIL DOSRE DIL PE LAGANA

PYAAR KARNE SE TU PAHLE
PYAAR KI PAHCHAN KAR LE

BHAVI ME TUJHE SAJNI BANKE HAI SAJNA
MAANG BHARNE SE PAHLE TU SAJAN KI PAHCHN KARLE

PYAAR KARNE SE TU PAHLE
PYAAR KI PAHCHAN KAR LE

DEKH UMAR TU WAQT KI JATAN KARLE
JATAN KARNE SE PAHLE TU WAQT PE NAMAN KARLE

PYAAR KARNE SE TU PAHLE
PYAAR KI PAHCHAN KAR LE
Logged
FAREE
Guest
«Reply #472 on: December 14, 2006, 08:46:48 PM »
ishq karne ki kimat chukani padi
sach bolne ke liye himat jutani padi

rishtey nibhane ke liye yaha
zaruri thi daulat kamani padi

raasto ko manzil tak pahuchane ke liye
dar dar ki thokre khaani padi

zindagi tuje paane ke khaatir
muje ek zindagi lutani padi
Logged
FAREE
Guest
«Reply #473 on: December 15, 2006, 05:02:51 PM »
Guzr Gaya Hai Jo Waqt Lout Kr Na Aye ga
Ab Tere Bina Mushkal Hi Jiya Jaye Ga

Tu Kehti Thi Sada Rahoungi Saath Tere
Yeh Wada Tera Ab Saba Mazi Ban Jaye Ga
Logged
gr_ajimal
Guest
HI
«Reply #474 on: December 16, 2006, 11:57:46 AM »
NICE ONE JI

:cry: Oh Har Khat De Wich Kehndi Si,Teri Dulhan Ban K Aawagi,

Agle Saal Diwali Te Tere Ghar Wich Deep Jalawagi,

Na Deep Jage Na Oh Aayi,Mainu Kali Raat Ne Gher Laya,

Aaj Pher Uhde Kuch Khat Pad Ke, Main Dard Purana Ched Liya……… :cry:
Logged
FAREE
Guest
«Reply #475 on: December 16, 2006, 07:02:21 PM »
Quote from: "gr_ajimal"
NICE ONE JI

:cry: Oh Har Khat De Wich Kehndi Si,Teri Dulhan Ban K Aawagi,

Agle Saal Diwali Te Tere Ghar Wich Deep Jalawagi,

Na Deep Jage Na Oh Aayi,Mainu Kali Raat Ne Gher Laya,

Aaj Pher Uhde Kuch Khat Pad Ke, Main Dard Purana Ched Liya……… :cry:
Thank You

Nice Wording Ji
Logged
FAREE
Guest
«Reply #476 on: December 17, 2006, 02:30:42 AM »
kaagaz per kisike chehre yuhi bane jaa rahe hai
yaadon mein jaise kisike khwab bune jaa rahe hai

muje ruswa karek wo chal diye khushikhushi
unke kadmo ke nishaa abhi bhi jaane se katra rahe hai

na jaane ye raat fir kaisi guzre
ujaale shaam ke jo bujne jaa rahe hai

jaane kis tarah se hoga ab dard ka ilaaz
mariz jo masiha se hi sharma rahe hai

apne saman mein unki yaadein baandh lu
nahi jaante ab hum kis safar pe jaa rahe hai..
Logged
FAREE
Guest
«Reply #477 on: December 17, 2006, 08:27:32 PM »

us sham wo rukhsat ka saman yad rahega
wo shahar wo kucha wo makan yad rahega

wo tis k ubhri thi idhar yad rahegi
wo dard k utha tha yahan yad rahega

ham shauq k shole ki lapak bhul jayenge
wo shama-e-fasurda ka dhuan yad rahega

kuch mir k abyat the kuch faiz k misre
ik dard ka tha jin main bayan yad rahega

jan bakhsh si thi us gulbarg ki tarawat
wo lams-e-aziz-e-do-jahan yad rahega

ham bhul sak hain na tujhe bhul saknge
tu yad rahega hamen han yad rahega
Logged
FAREE
Guest
«Reply #478 on: December 18, 2006, 06:41:14 PM »
Un khayaalo k saaye mein aksar main chala jaata hu
Tere pyaar k us Aangan mein main chala aata hu
Jab yaad aati hai un guzre hue lamho ki
To simat kar khud mein hi main reh jaata hu
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #479 on: December 18, 2006, 06:55:31 PM »
nice sharing  Naveed..............
Logged
Pages: 1 ... 28 29 30 31 [32] 33 34 35 36 ... 40
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:45:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.086 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer