---::::::::TERI DOLI UTTHI TU :::::::-----

by fakharenaveed on December 26, 2004, 01:35:39 AM
Pages: 1 ... 29 30 31 32 [33] 34 35 36 37 ... 40
Print
Author  (Read 32527 times)
FAREE
Guest
«Reply #480 on: December 18, 2006, 11:16:18 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
nice sharing  Naveed..............
Thank You Janab
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #481 on: December 18, 2006, 11:24:58 PM »
Quote from: "FAREE"
Un khayaalo k saaye mein aksar main chala jaata hu
Tere pyaar k us Aangan mein main chala aata hu
Jab yaad aati hai un guzre hue lamho ki
To simat kar khud mein hi main reh jaata hu


pohrani yaadoin mein kho jaati hoon
phir uski deewani ho jaati hoon

chor gaya jo aikh baar daman mera....
dil ke du tokre kar gaya woh mere

jiske liye kabhi sajha karti thi
jiski lambhi umar ke liye dua mangha karti thi

aaj ussi ne mujhe akela chor diya
hokhar aikh.....mujhe tanha chor gaya :D
Logged
Tosha
Guest
«Reply #482 on: December 18, 2006, 11:33:48 PM »
wah ji chuttki ... shayer ho gaye ho aap bhi!!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #483 on: December 19, 2006, 12:08:00 AM »
teinku tienku :D
Logged
FAREE
Guest
«Reply #484 on: December 19, 2006, 01:41:44 AM »
Quote from: "anjani_si"
teinku tienku :D
Anjani u got 100/100 Marks
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #485 on: December 19, 2006, 01:42:53 AM »
Quote from: "FAREE"
Quote from: "anjani_si"
teinku tienku :D
Anjani you got 100/100 Marks


maine exams mein nahi baithe thi tongue3
Logged
FAREE
Guest
«Reply #486 on: December 19, 2006, 01:53:02 AM »
Quote from: "anjani_si"
Quote from: "FAREE"
Quote from: "anjani_si"
teinku tienku :D
Anjani you got 100/100 Marks


maine exams mein nahi baithe thi tongue3
Acha Tu Wapis Kr Do
Logged
FAREE
Guest
«Reply #487 on: December 19, 2006, 05:55:31 PM »
Baith jata hai woh jab mehfil mein aakay samnay...
Mein hi mein hota hoon uss ki uss ada ke samnay...


Teez thi itni ke sara shaher suna kergayee...
Dair tak baitha raha mein uss hawa ke samnay...


Raat ekk makaan pe ja kay jab awaaz di...
Goonj uthay darr o diwaar meri sada ke samnay...


Mein to uss ko deekhtay hi jaisay pathar ka hogaya...
Baat moun se na nikli Bewafa ke samnay...
Logged
FAREE
Guest
«Reply #488 on: December 20, 2006, 01:39:46 AM »
Sitare timtimate hain toh koi yaad aata hai..
Nazare geet gaate hain toh koi yaad aata hai...
Us aana nahi wapas magar phir bhi haath apne...
Dua ko jab uthate hain toh koi yaad aata hai...
Kabhi jugnu, kabhi taare, Kabhi badal, Kabhi gunche,
Hamara dil jalate hain toh koi yaad aata hai...
Bohat koshish se bhi us sitam gar ko nahi bhoole...
KAhin bhi dil lagate hain toh koi yaad aata hai...
Abhi raston pe bikhri hai mehak peechli rafaqat ki....
Kisi se milne jaate hain toh koi yaad aata hai....
Hamari shayari per bhi ussi ki huqumrani hai...
Ghazal jab bhi sunate hain toh koi yaad aata hai....
Logged
FAREE
Guest
«Reply #489 on: December 20, 2006, 10:38:03 PM »
Tu meray Dil kay Kareeb hay,
tu meray Khaab ke Tabeer hay.
meri haar Baat main, meri Chahat main,
Har Taraf har Jagah, tera hi Saath hay
hoon Akeyla to kya huwa lekin,
tu mere Dil ke to Aas-pass hay.
Rona nahi ata mujhe kyon ki,
tu meri Khushi ki Buniyad hay.
nahi Bhata koi Chehara mujhe,
teri Sedge ka mujhay Khumar hay,
hoon main Magroor kehtay hein Sab
Mujhay to bus tumhara Guroor hay.
Logged
FAREE
Guest
«Reply #490 on: December 20, 2006, 10:38:24 PM »
Tu meray Dil kay Kareeb hay,
tu meray Khaab ke Tabeer hay.
meri haar Baat main, meri Chahat main,
Har Taraf har Jagah, tera hi Saath hay
hoon Akeyla to kya huwa lekin,
tu mere Dil ke to Aas-pass hay.
Rona nahi ata mujhe kyon ki,
tu meri Khushi ki Buniyad hay.
nahi Bhata koi Chehara mujhe,
teri Sedge ka mujhay Khumar hay,
hoon main Magroor kehtay hein Sab
Mujhay to bus tumhara Guroor hay.
Logged
FAREE
Guest
«Reply #491 on: December 21, 2006, 07:47:56 PM »
Pakad kar hath choda hai kisi ne...

Mushkillo main muh moda hai kisine...

Kai wade mohabaat main hue the...

Har wada todda hai kisine...

Woh mere sath bhi hai , Dur bhi hai...

Ajab yeh rishta joda hai kisine...

Banaya doo dillo ne prem mandir...

Woh mandir aaj todda hai kisine...

Dil main dar liye kab tak jiyegge..

Bhari mehfil ko choda hai kisine.
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #492 on: December 21, 2006, 07:53:42 PM »
rely nice faree jiiiiiiiiiiiiii :D:D:D:D:D
bandhan aaj woh do dilon ka tor ayi mein
banaya tha jo ghar apne pyar ka...woh chor ayi mein

usse apni majboori baatlaon kaise...
isse dil ka raaz usse kahoon kaise....

ishq mein...badnaam mein hogayi
isse dil ki wajah se kisi pe fida hogayi....

isse doli ke bahane se janaza mera uth gaya...
bharat nikli meri...aur jaan gayi meri...maine teri hogayi....:D
Logged
FAREE
Guest
«Reply #493 on: December 31, 2006, 05:37:05 PM »
Thank You  



anjani ji
Logged
FAREE
Guest
«Reply #494 on: January 01, 2007, 10:42:59 PM »
Khayalon ki duniya me jee raha hu abhi,
Mujhe ye pyaar bhare khwab tum dekhne do…

Dilaya hai aapne mujhe apnepan ka ehsas,
Mujhe ab aapke sare dukh-dard ko sehne do…

zindagi me mayine rakhta hai apka wajud,
mujhe aaj ye dil ki baton ko tum kehne do….

Ban jau jo agar main dard bhari yad apki,
Mujhe apni ankho me ansu banke behne do….

Apne aap me samaa lo is ”Faree” ko abto,
Mujhe hamesa ke liye apne dil me hi rehne do…
Logged
Pages: 1 ... 29 30 31 32 [33] 34 35 36 37 ... 40
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 04:07:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer