---::::::::TERI DOLI UTTHI TU :::::::-----

by fakharenaveed on December 26, 2004, 01:35:39 AM
Pages: 1 ... 30 31 32 33 [34] 35 36 37 38 ... 40
Print
Author  (Read 32855 times)
FAREE
Guest
«Reply #495 on: January 02, 2007, 06:57:51 PM »
Meri muhobbat ka ab
tak nishan baaki hai,

unka naam lab par hai
to ja'an baaki hai.

Kya hua jo dekh kar
nazar pher letein hain,

yeh kya kum hai ke Faree
unhe meri pehchaan baaki hai"
Logged
FAREE
Guest
«Reply #496 on: January 03, 2007, 04:43:23 AM »












aaj humane apne ashqo.n ko syahi bana apna dard likha diya
aaj fir logo.n ne humare ishq ko fajul kah diya

jo gujara tha wo yad kar liya
humare dard chhipa muskurane ki aadat ko dillagi kah diya
aaj fir..............................

dard banta unka to wo har pal sath rahe
aur jab hume dard hua to hume dhokebaj kah diya
aaj fir .................................

jab wo tanha chale the safar me,to hum karwa.n ban gaye
aur jab hum tanha rahe to ise mukaddar ka khel kah diya
aaj fir......................................

bas hum palko.n me nami liye muskura sakte hai
ja E-wafa humane tujhe aaj apane khyalo.n se bhi aajad kar diya.
aaj fir..................................




Logged
FAREE
Guest
«Reply #497 on: January 03, 2007, 07:50:59 PM »











tanha the kab se magr u nahi
mar rahe the kab se magr u nahi
khwab to bahot tute the magr u nahi
patte bhi kafi utare the magr u shakhe khali n hui
jindagi e jindgi ishq to hamko sabse huaa tha magr u nahi
tumko sabme banta tha magr u nahi
chaht tab tak sath rahi jab tak sanse sath thi
mot har wqt pass thi magr u nahi





Logged
FAREE
Guest
«Reply #498 on: January 05, 2007, 03:14:28 AM »










Kal, Rat Or Mujhame Than Gai
Chand Rat Ke Sath
Par Taro.n Ke Sath Se Meri Bat Ban Gai
Kal, Rat Or Mujhsame Than Gai

Rat Boli Chand Har Pal Mere Sath Hai
Thodi Muskurai Or Boli Kanha Tera Pyar Hai?
Tanha Kyon. Baithi Hai Tu Tujhe Kiska Intjar Hai?
Main Aankhe Jhuka Chup Rah Gai
To Tara Bol Pada Tanhai Me Bhi Isaka Pyar Hai
Kal, Rat Or Mujhame Than Gai……………………………….

Thodi Der Chup Rah Kar Fir Se Bol Padi
Me Khush Hun Tu Kyo.n Udas Hai?
Kyo Tere Dil Me Use Khone Ahsas Hai?
Ab Main Muskurai Or Chup Rahi
Tara Bhi Muskura Kar Bola
Ye To Hamesha Khush Hai
Iska Pyar Iske Khayalo. Me Sath Hai
Rat Kuch Udas Ho Gai Or Sir Jhuka Wanha Se Gujar Gai
Kal, Rat Or Mujhame Than Gai
Chand Rat Ke Sath
Par Taro.n Ke Sath Se Meri Bat Ban Gai






Logged
FAREE
Guest
«Reply #499 on: January 05, 2007, 07:15:23 PM »









nazar bacha kar nazar se dekhta hu,
tum bura na maan jayo isliye bade darr se dekhta hu,
jab bhi tumhe dekhta hu tum roz nai lagti ho,
isliye main tumhe phir se dekhta hu,
lekin tumahre chehre ki kitaab se aaj yun pada,
ki shayad tum sochti ho main buri nazar se dekhta hu.........







Logged
FAREE
Guest
«Reply #500 on: January 06, 2007, 08:31:08 PM »





dil bas jana dharkan banke,
ke iss kadar tumhe chupa longi

aankhon mein banke kajal tum rehna,
nazar na lage iss kadar khud ko dhak longi

tumhe sabke samne uthane ke liye,
mein khud ko iss kadar gira dongii

banja meri zindagi ki
mien tumhe itna pyarr dongi

ban ja meri bindiya ki
mein tumhe sir aankhon mein bitha dongi

ban jana meri chudiyaan
iss kadar tumhe saja dongi

ban jana koi nazm ju
mein sabko suna dongi

ban jana meri rooh ki
iss kadar apne ander chupa longi

saanso mein ghul jana khushbo banke mein
iss kadar mehek longi

ban ja mere haatho ki mehendi ki mein
iss kadar tumhe rang dongi

ban jana Naz ka SINDOOR ki
tumhe koi shikayat ka muka nahi dongi











Logged
FAREE
Guest
«Reply #501 on: January 07, 2007, 09:10:16 PM »





Jab Bhi Aap Se Milne Ki Takdeer Nazar Ayi

Mujhe Paoon Main Bandhi Zanzeer Nazar Ayi

Teri Yaad Main Nikal Pade Mere Aansu

Har Aansu Main Teri Tasweer Nazar Ayi.











Logged
FAREE
Guest
«Reply #502 on: January 08, 2007, 06:37:35 PM »





pardes main yaad jab teri aati hai

dil rota hai aankh bhar aati hai

kia gunaah kia tha ham ne ?

pardes main yaad jab teri aati hai

kaisi yeh aajeeb pareshani hai

yaad bhi teri aik pareshani hai

kabhi to sakoon mile ga dil ko

kaisi yeh aajeeb pareshani hai


din lambe raatein bhi lambi hai

yaad main hosh bhola bethe hain
talaash ki justaju kaise nahi

din bhi lambe aur ratein bhi lambi hain


dil ke darwaze pe dastak ho rahi hai

aaj phir aik yaad saata rahi hai

dil ki gihraiyon main jhaank ke dekh

pardes main aaj phir teri yaad aa rahi hai











Logged
FAREE
Guest
«Reply #503 on: January 09, 2007, 08:00:35 PM »









"Yaad mein teri dil ka tadapna kam nahi hota,
Masoom dil ka intezaar kabhi katam nahi hota,
waqt-bewaqt bhar jati hai yeh akhen,
Kyonki yadoon ka koi mausam nahi hota"




Logged
FAREE
Guest
«Reply #504 on: January 10, 2007, 08:39:22 PM »






Ajeeb shakhs tha kuch ajjeb se us ki kahani thi
Yeh dor ab aisi muhabatoon ka naheen raha
Millan key baghair muhabatoon ka kia tassawer hey
Deed key baghair chahatoon ka kia rang hey
Yeh dor to faqt aghraz pey mabni hey,Meru muhabat bhi sirf char din ki kahani thi
Koi garri aik hee station pey hamesha naheen rukti
Waqt key sath khialat badaltey gatey heen
Muhabat baqqi rehti hey mehboob badaltey jatey heen







Logged
FAREE
Guest
«Reply #505 on: January 12, 2007, 08:25:02 PM »






Kal khwab me ek pari mili
muddat-o-ke bad unki ek jalak mili

JiNe me jalim rakha hi kya-tha varna
Yu Laga, jine ki phir se aas mili

Fasle to bahut the darmiya
Ankh khulNe par Phir bhi vo pas mili

Dard se apna dostana he to purana
fir bhi muskurane ko thodi fursad mili

tha to akhir ye bhi ek sapna
Akhir to hath nairasa hi mili

kuch na aaya hath akhir 'Faree' ke
muft me thodi aur badnami mili







Logged
FAREE
Guest
«Reply #506 on: January 13, 2007, 09:26:04 PM »







Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Tere laut aane ka khwab dekh rakha hai

Saans tak bhi nahin lete hain tujhe sochte waqt
Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha ha
Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagti ho
Hum ne yah soch ke hi tum ko khafa rakha hai

Tum jise rota hua chhod gayi the ek din
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai
Chein lene nahin deta yeh kisi tor mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai

Jaane wale ne kaha tha ke woh laut aaeygi zaroor
Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai
Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankhon mein bassa rakha hai.......

Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Tere laut aane ka khwab dekh rakha hai






Logged
FAREE
Guest
«Reply #507 on: January 15, 2007, 08:36:44 PM »








unki mehfil main jab bhee mera zikar aiya,
saray mehfil unhonay khud ko tanha paiya......

ajab taufeek bakshi hai us saksh ko khuda nay,
kha kay dil pay choot wo sada muskuraiya........

yeh bhee shayad uski mohabat ki ik adda hai,
mera zikar jab bhee aiya sab kay baad aiya......

mere zakhmo nay phir hara honay ki guzarish ki,
us zalim nay jab bhee in par marham lagaiya......

wo mujh say door bhut door hotay ja raha hai,
soachta hoon kiyon usko apna khuda banaiya.......

uski aankho say khushi kay aansu baras paray,
jab maine usay apna zakhm-e-jigar dikhaiya.......

'Faree' ki shayri main zindagi usikay dam say hai,
wo jab aiya kabhi nazam kabhi gazal ban kay aiya





Logged
FAREE
Guest
«Reply #508 on: January 17, 2007, 06:57:10 PM »







kya baath hai tujhme
ke nazrein nahi hat theen
aisi bhi kya mohabath
ke raatein nahi kut theen

khayalon ko tere mein
har lafz de chuka hoon
auron se karne ko ab
batein nahi bach theen

teri hi mohabath ki sadkon pe
iskhadir chal chuke hain
kisi aur se mohabath ki
raahein nahi bach theen

kya baath hai tujhme
ke nazrein nahi hat theen
aisi bhi kya mohabath
ke raatein nahi kut theen






Logged
FAREE
Guest
«Reply #509 on: January 18, 2007, 08:58:31 PM »







Dil main mere sau dard hain,
Baaton main meri sirf yaaden hain,

Anjaan yeh naye raaste hain,
Ab Tere intezaar main hum hain.

Jaanti hoon kabhi na aayega Tu,
Lautegi na woh meethi khushboo.

Tera haath kabhi na chu paaongi,
Teri dhadkan ko kaise sun paaoongi.

Yeh sau dard jo mere dil main hain,
Samajhta inko bas Tu hi hai.

Yeh yaadon se bheegi baaten jo hain,
Tu hi jaanta hai inki keemat kya hai.

Yeh anjaan se jo naye raaste hain,
Inki manzil bataa mujhe kya hai.

Roshan ab meri yeh zindagi nahin,
Woh zindagi kya jismain Tu nahin.






Logged
Pages: 1 ... 30 31 32 33 [34] 35 36 37 38 ... 40
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 14, 2025, 02:47:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer