---::::::::TERI DOLI UTTHI TU :::::::-----

by fakharenaveed on December 26, 2004, 01:35:39 AM
Pages: 1 ... 31 32 33 34 [35] 36 37 38 39 40
Print
Author  (Read 32583 times)
FAREE
Guest
«Reply #510 on: January 19, 2007, 07:06:29 PM »






Har saal ki tarah ab na pachtaaoongi main,
Tere khayaalon main reh kar na jeeoongi main,
Bahaa doongi woh yaadein kissi nadiya main,
Kal ki tarah waapas lautne na doongi main







Logged
FAREE
Guest
«Reply #511 on: January 20, 2007, 08:24:21 PM »






Humne apne vade kuch is tarah nibhaye hain,
Zkham se baha lahu fir bhi muskurayen hain,
Unhe junun apna karz chukane ka,
Apni khushi apna wajud mitane ka
Hamain bhi shauq mohabbat aazmane ka,
Inhi haathon se unki sej sajayen hain
Zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain.
Guzarish unki aankhe nam na ho meri,
Diya jo vada to na uff karenge kabhi,
Ashkon ke dariyon ko tham lenge yahi,
Kosish mai hoton ne kitne ghav khayen hain,
Zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain.
Dua hai ki ab zindagi mai koi majburi na ho,
Jise tum milo us se ab koi duri na ho,
Meri tarah uski kismat adhuri na ho,
Shaakh se gir kar kai phool murjhayen hain,
Zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain.







Logged
FAREE
Guest
«Reply #512 on: January 21, 2007, 11:19:07 PM »







yeh mulaqat itni jaldi guzar jaati hei ,
pyas bhujti nahi ki barsaat gujar jaati hei ,
tumhari yaad se keh do ki is tarah na aaye,
neend aati nahi ki raat guzar jaati hei






Logged
FAREE
Guest
«Reply #513 on: January 22, 2007, 10:24:21 PM »







kyun aap ki pyari baatein,
pyaar sai bhi zyada pyaari lagti hain...
kyun aap ki koi burai,
mujhe buri nahi lagti...
kyun aap ka pyaar sai dekhna,
banata hai mujhe dewaana...
kyun mujhe lagta hai aap hi aap ho merey sajana..
kyun maine aap kai saath itne sapne dekh liye...
kyun mujhe lagta hai kai,
main aap ki aur aap sirf merey hain...
kyun aap sai milne kai,
liye yun bekaraar rehti hoon...
kyun aap kai liye,
din raat parehaan rehti hoon...
kyun dil karta hai kai,
jidhar bhi dekhoon aap hi nazar aao...
kyun main sochti hoon kai,
aap hi mujhe merey ghar sai lai jao...
kyun main aap ki ek ek muskaan pai marti hoon..
kyun main aap sai becharne kai khayal sai bhi darti hoon
kyun aap sai roothna aur aap ko manana acha lagta hai
kyun aap ko aur bhi gharaiye sai jaan ne ko dil karta hai
kyun aap ki har khushi ban gayi meri khushi
kyun dil chahta hai kai,
aap naa jao mujhse door kabhi..
jab main jaanti hoon ki...
pyaar kai raaste main bohut mushkalein hain
iss mohabbat kai kal main bohut takleefain hain
hamari kismat kai kal main sirf dooriyaan hain
kal hum ko roekin gi bohut si majboriyaan
aaj shayad hum ek saath hain haryali main
par kal hum juda rahegain viraani main
jazbaat dum tor dega ehsaas sai pehle
aur hum judaa ho jaye gain milne sai pehle...!!!!
kyun aap ki pyari baatein,
pyaar sai bhi zyada pyaari lagti hain...
kyun aap ki koi burai,
mujhe buri nahi lagti...
kyun aap ka pyaar sai dekhna,
banata hai mujhe dewaana...
kyun mujhe lagta hai aap hi aap ho merey sajana..
kyun maine aap kai saath itne sapne dekh liye...
kyun mujhe lagta hai kai,
main aap ki aur aap sirf merey hain...
kyun aap sai milne kai,
liye yun bekaraar rehti hoon...
kyun aap kai liye,
din raat parehaan rehti hoon...
kyun dil karta hai kai,
jidhar bhi dekhoon aap hi nazar aao...
kyun main sochti hoon kai,
aap hi mujhe merey ghar sai lai jao...
kyun main aap ki ek ek muskaan pai marti hoon..
kyun main aap sai becharne kai khayal sai bhi darti hoon
kyun aap sai roothna aur aap ko manana acha lagta hai
kyun aap ko aur bhi gharaiye sai jaan ne ko dil karta hai
kyun aap ki har khushi ban gayi meri khushi
kyun dil chahta hai kai,
aap naa jao mujhse door kabhi..
jab main jaanti hoon ki...
pyaar kai raaste main bohut mushkalein hain
iss mohabbat kai kal main bohut takleefain hain
hamari kismat kai kal main sirf dooriyaan hain
kal hum ko roekin gi bohut si majboriyaan
aaj shayad hum ek saath hain haryali main
par kal hum juda rahegain viraani main
jazbaat dum tor dega ehsaas sai pehle
aur hum judaa ho jaye gain milne sai pehle...!!!!






nm
Logged
FAREE
Guest
«Reply #514 on: January 24, 2007, 07:05:36 PM »







You WelCome






Logged
FAREE
Guest
«Reply #515 on: January 25, 2007, 08:53:47 PM »







Sooni zindagi main hulchul mehsus hui,
Bejaan dil ki aaj dhadkan mehsus hui,
Jaane kyun aaj aisa laga,
Shayad aapki kami mehsus hui.






Logged
FAREE
Guest
«Reply #516 on: January 26, 2007, 07:18:26 PM »







chalo bhi aao ab tum in baho mein
yu akele humse ab baitha nai jata
aajao ki humme saath chahiye tumhara
in raho pe ab akele chala nahi jaata

pairo mein chubte hue kaante
khwabo ke duniya se humme bahar le jate hai
hum sochte hai har pal tumhe
ab toh ek tarfa humse socha bhi nai jaata

jo miloge humse toh jaan paoge
ki intezar mein kitna dard hai
aur der na kar kuch toh soch
apno ke bina toh kabra mein dafnaya bhi nai jaata






Logged
FAREE
Guest
«Reply #517 on: January 28, 2007, 06:31:47 PM »







In ashq ki kya keemat hogi?
Jab dil mein tere na chaahat hogi

Aankhon se behta ye paani
Yeh bewafa pyaar ki Amaanat hogi

yaad aayenge nashq dil pe
Jab bi tere kadmon ki aahat hogi

Mud kar na dekh na kabhi
Mere sanam tujhe ye izaazat hogi

Dhadkan tut-te hue dil ki
ye to khhuda ki hi Enaayat hogi

Dum tute teri chaukhat pe
Yeh meri khhuda se Ebaadat hogi






Logged
FAREE
Guest
«Reply #518 on: January 29, 2007, 10:33:43 PM »







Aankho me tum aaye to aankhe bandh na kar paye,
so jaye to chubegi palke bhi aap ko,
yeh sochkar so bhi na paye,
jina chaha to saanso me tum bas gaye,
saans chhodne per kahi kho na de tum ko,
yahi sochkar saans le bhi na paye...






Logged
FAREE
Guest
«Reply #519 on: January 31, 2007, 03:54:42 AM »







Ajeeb si kashish hai tum mein,
ke hum tumhare khayalon mein khoye rehte hain.
Yeh soch kar k tum khwabon mein aaoge,
hum din mein bhi soye rehte hain..






Logged
FAREE
Guest
«Reply #520 on: January 31, 2007, 11:18:14 PM »







Bahut Ajeeb Se Lagte Ho,
Dur Rehkar Bhi Dil Ke Bahut Kareeb Lagte Ho,
Malum Hai Tumhe Hum Paa Na Sakenge,
Phir Kyun Tum Hume ,, Humare Naseeb Lagte Ho....






Logged
Roja
Guest
«Reply #521 on: February 01, 2007, 01:20:05 AM »
Quote from: "fakharenaveed"

har aik ke liye naa khulaa rakh isay “”Naz”

ye dil hai ek ghar isay bazaar mat banaa.

===========================================

 

khamosh zindagi jo basar kar rahe hain hum

gahray samandaron mein safar kar rahe hain hum

===========================================

 

ab tak dil-e-khush faham ko tujh se hain ummeedein

ye aakhree shamein bhee bujhaane ke liye aa




Wah wah bahut khoob... Daad hazir hai Fakarenji
Logged
Roja
Guest
«Reply #522 on: February 01, 2007, 01:22:38 AM »
Mile bhi bahut saathi ... bichude bhi bahut
Kisii cheez ki bhi kami, kabhi na rahi
Phir bhi na jane, kyu umar bar..
Udaas hii rahi "Roja", kkhushi na rahi..
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #523 on: February 01, 2007, 03:39:43 AM »
Quote from: "Roja"
Quote from: "fakharenaveed"

har aik ke liye naa khulaa rakh isay “”Naz”

ye dil hai ek ghar isay bazaar mat banaa.

===========================================

 

khamosh zindagi jo basar kar rahe hain hum

gahray samandaron mein safar kar rahe hain hum

===========================================

 

ab tak dil-e-khush faham ko tujh se hain ummeedein

ye aakhree shamein bhee bujhaane ke liye aa




Wah wah bahut khoob... Daad hazir hai Fakarenji





Roja ji yeh Kiya kya Aap ne

Mera Mazi Khol diya Aapne




Mere Har Ek Dharkan App Ke Liya Hai
Mere Har Ek Muskuraht App Ke Liya Hai
App Ke Ada Mere Dilko Churane Ke Liya Hai
Ab Toh Meri Yeah Zindagi Bhi App Ke Liya hai





Logged
FAREE
Guest
«Reply #524 on: February 01, 2007, 08:24:18 PM »





ab to un ho gaye hain madhosh, tairi nigah dhaikh kar
sadion say piye bhaitay hain jaisay jam, tairi nigah dhaikh kar

sumandar say bhi gahri hain, na palkain jhukao tum
thani hai jheel na bhi dubnay ki, tairi nigah dhaik kar

kar chukay thay hum ayam zindagi kay puray.....
phir gee uthay hain chund lamhat, tairi nigah dhaikh kar

tumhay kya ozar-e-qatal chahiye hain a jana..........
mar jatay hain sar-e-rah kuch log, tairi nigah dhaikh kar

bachay rakhna zamanay ki khalish say tum inhain jana....
phair laitay hain yeh nadan munh, tairi nigah dhaikh kar

kya ajab dost hai paya tum nay yeh FAREE............
bharta hi nahi hai ji iska, tairi nigah dhaikh kar........

mairay us dost ki to sada karna hifazat aye KHUDARA
nikalti hai har bar duva yehi dil say, tairi nigah dhaikh kar...








Logged
Pages: 1 ... 31 32 33 34 [35] 36 37 38 39 40
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 02:23:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer