---::::::::TERI DOLI UTTHI TU :::::::-----

by fakharenaveed on December 26, 2004, 01:35:39 AM
Pages: 1 ... 32 33 34 35 [36] 37 38 39 40
Print
Author  (Read 32675 times)
FAREE
Guest
«Reply #525 on: February 02, 2007, 07:29:31 PM »







pyar ka anjaam kisne socha
hum toh mohabbeth kiye ja rahe hein
deewaane hum toh aapke hein sanam
bas aap ka naam liye ja rahe hein
yeh ishq hamesha tumse rahega
yeh waada hum toh aaj kiye ja rahein






Logged
FAREE
Guest
«Reply #526 on: February 03, 2007, 08:39:50 PM »






Unhe hum rooh se pehchante hai
Per abhi jaante nahi,
Is dil ke aaine mein hai jhalakhti
Unkee mohabbat ki parchayi,
Per,unke kareeb aanai ki aahat ko hum
Abhi jaanate hi nahi.







Logged
FAREE
Guest
«Reply #527 on: February 04, 2007, 09:03:16 PM »







shayari banti hai Shayar se , gawaron se nahi.
Jhankaar hoti hai payal se, koi pairo se nahi.
chaandni hoti hai Chand se, sitaro se nahi.
Dil behalta hai to doston se, koi Riston se nahi.






Logged
FAREE
Guest
«Reply #528 on: February 05, 2007, 07:38:05 PM »






Mera har pal teri yaad mein guzarta hai,
Teri har mehak teri har khushbu hawaon me mehakte hai,
teri har batein teri har hasi fizaon me chahakte hai,
tera har gum tere har aanshu mere khwabon mein siskate hai,
ab tum hi kaho hum kya kare jab hamara dil
sirf aap ke liye dhadakta hai. .......







Logged
FAREE
Guest
«Reply #529 on: February 05, 2007, 11:03:17 PM »







honto mai dupatay ko daba laitay hai
kuch aur sahiu hatoo ko jhuka laitay hai
gar karta hoon un se mai chand ka zikar
chehre ko wo hatoo mei chhupa laitay hai






Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #530 on: February 08, 2007, 07:23:32 PM »
bahot  khoob Faree........  last  waali  sher  bahot acchi lagi........
Logged
Roja
Guest
«Reply #531 on: February 11, 2007, 03:13:08 AM »
Phir peshe-nazar ek, ghar ujhad gaya
Phir dunia ne, mohabbat ki umar dekhi

Phir ek janaza, nikhla meri gali se
Phir zamane ne khamosh, udaas chup sehar dekhi

Hai ishq ek khaja, hai phir bhi aashiq ko ajeez
Yahii bath akhsar "Roja", maine her shehar main dekhi
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #532 on: February 17, 2007, 07:45:13 PM »







Har saal ki tarah ab na pachtaaoongi main,
Tere khayaalon main reh kar na jeeoongi main,
Bahaa doongi woh yaadein kissi nadiya main,
Kal ki tarah waapas lautne na doongi main.










Logged
FAREE
Guest
«Reply #533 on: February 18, 2007, 01:14:07 PM »








Singer: Mukesh Ji
Film: Jii Chahta Hain

Hum Chhod Chale Hain Mehfil Ko Yaad Aaye Kabhi To Mat Rona
Iss Dil Ko Tasaalli De Lena Ghabraaye Kabhii To Mat Rona
Hum Chhod Chale Hain Mehfil Ko

Ek Khwaab Sa Dekha Tha Humnein Jab Aankh Khuli To Toot Gaya
Ye Pyaar Tumhein Saapna Ban Kar Tadpaaye Kabhi To Mat Rona
Hum Chhod Chale Hain Mehfil Ko

Toum Mere Khayaalon Mein Khon Kar Barbaad Na Karna Jeewan Ko
Jab Koyi Sahelii Baat Tumhein Samjhaaye Kabhii To Mat Rona
Hum Chhod Chale Hain Mehfil Ko

Jeewan Ke Safar Mein Tanhaaii Mujhko To Na Zindaa Chhodegii
Maarne Ki Khabar Aye Jaan-e-Jigar Mil Jaaye Kabhi To Mat Rona
Hum Chhod Chale Hain Mehfil Ko Yaad Aaye Kabhii To Mat Rona
Iss Dil Ko Tasaalli De Lena Ghabraaye Kabhii To,
Mat Ronaa...............!









Logged
FAREE
Guest
«Reply #534 on: February 19, 2007, 05:47:03 PM »







MehfiloN main Bhi Jab Tanha Ho Gaye
Us Din Se Hum Apni Zaat Main Fana Ho Gaye










Logged
FAREE
Guest
«Reply #535 on: February 20, 2007, 02:27:31 AM »







Na Koi Kisi Se door Hota Hai
Na Koi Kisi Ke Kareeb Hota Hai
Pyaar Khud Chal Kar Aata hai
Jab Koi Kisi Ke Naseeb Main Hota Hai










Logged
FAREE
Guest
«Reply #536 on: February 21, 2007, 01:29:33 PM »









ایک ہوں مسلم حرم کی پاسبانی کے لیے
نیل کے ساحل سے لے کر تابخاکِ کاشغر








Logged
FAREE
Guest
«Reply #537 on: February 22, 2007, 04:41:35 PM »







Naz kyu na karu apni taqdeer pe
Mil gaya jab mujhe tumsa pyara sanam
Kuch khuda ki bi hogi meherbaniyan
Aur kuch honge mere bi acche karam..
Sheesha-ye-Dil main tera hii tasveer hai
Tum mera pyar hai meri Taqdeer hai
Jane-jaana tujhe pyar karthi hu mai
Kasam tera tujhi per toh marthi hu mai..

Dil ki dhadkan main herdam tera naam hai
Yu hii anjaan na ban sonu, sab jaan kar
Hai agar pyar mujhse toh ikraar kar..
Lakh diwane mil jayenge her dagar
Dil ki chahat na hogi kisii ko magar
Pyar hoga na unki nazar main kabi
Honge jism ke diwane sabhi ke sabhi..

Gar yakeen na ho toh phir kabi dekh lena
Aajma kar kisii ko zara dekh lena..
Baath ka tujh ko meri yakeen aayega
Tab bram ye tumhara nikal jayega
Dhadkano se sadaye ye tab aayeghi
Mai tumhari hu... Tum mere ho jane jaana..

Raatein kaisi guzarthi hai kaise kahu?
Kathilana judayee main herdam sahu
Jism hai do magar Jaan hai Ek HUM
Tum hai Mujhme samaya, Mai Tujhpe Sanam
Pass dil hai sadha, phir bhi hai dhooriya.n
Kuch Tumhari toh kuch meri majbooriya.n

Yaad aakar satathi hai herdam tera
Kaash tum dekh pate ye haalath meri
Rahein teri alag, rahein meri juda
Kaun jane ki kya chahta hai Khuda..

Tum bhi majboor ho, mai bhi majboor hu
Mujhse tum dhur ho, tumse mai dhur hu
Dil hamare bhale hii mile ho magar
Tadapna hai hamme toh yu hii umr bhar
Chaah Kar Bi Na Mil Payenge Hum Kabi
Likh chuka hai Khuda Zindagi main Yahii

Isliye ye Dua Kar rahii hu Sanam
Ho Khuda Ka Karam Phir Milenge Ek Janam...










Logged
FAREE
Guest
«Reply #538 on: February 23, 2007, 07:30:29 PM »








Aangan main lali tumhe doondthi hai
Chaya thinir ki tumhe poochthi hai
Chupakar wo aasoo ye palkein uti hai
Muskaan fikhi adhar pe bichi hai
Yaadon ke badal hridaiy main gire hai
Bijli ke bandhan main bhavar padi hai
Ghoongat tumhare liye hii rukha hai
Kumkum tumhare liye hii rakha hai..

Meri dehri ka herpal vikal hai..
Aane ka ghar ko yahii ek pal hai..

Payal ki chamcham rukhi hai yahan per
Kajal ki rekha rukhi hai bigadkar
Aanchal main toofa.n lakhon bandhe hai
swason ki tarni phir bi rukhi hai
Prateeksha tumhari hii sahil hai mera
Sahare ko meri manzil rukhi hai

Sawari, saji maang sindoor meri
Mehendi ki rangat ab bi rukhi hai sajna

Aao bulata jeevan apal hai
Aane ka ghar ko yahii ek pal hai...











Logged
FAREE
Guest
«Reply #539 on: February 24, 2007, 08:22:38 PM »







Har Koi Dil ki Hatheli Pe Hai Sehra Rakhay
Kisi Ko Seraab kray kisi Ko Payasa Rakhay

Umar Bhar Koun Nibhata Hai Taluq Itna
Aye Mere Jaan k Dushman Tujhye AllaH Rakhay










Logged
Pages: 1 ... 32 33 34 35 [36] 37 38 39 40
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:23:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer