Teri Judaai Main.

by majid on December 26, 2007, 08:20:36 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3342 times)
majid
Guest
Teri Judaai Mein Aankhon Se Ashq Beh Rahe Hain.
Har Shab Furkat Ki Pasho Paise Se Gujar Rahe Hain.

Mehakte Hue Gulshan Mein Ab Mausam Hai Khizaon Ka.
Baharon Mein Bhi Ab Dil Ki Raahe Suni Ho Rahi Hai.

Manzil Ki Talash Mein Muqadar Kho Gaye Apne Kahi.
Gum.e.Sehra Mein Ab Kante Hi Kante Khil Rahe Hai.

Yun To Husn.o.Daulat Ki Kami Nahi yahaan Par Magar.
Jahan Main jaun Dil Par Tere pehre nazar Aa Rahe Hai.

Kis Se Kahen Ab Haal.e.Dil Apna Koi HumDum Na Raha.
Hum Akele The Aur Akele Hi Chale Jaa Rahe Hain.
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #1 on: December 26, 2007, 08:38:13 AM »
nice dost majid,
e dost kayo apne ko akela samghta hai jab tak mera saath tere saath hai,
akela chala jarur tha tu par ab to tera saaya tere saath hai,
zindgi ka to naam hi dhokhe dena hai, par kayo tu darta hai is matlabhi jamaane se,
jab tere dost ka saath tere saath.

Prem Chawla
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: December 29, 2007, 06:10:12 PM »
Bohat Bohat Shukariya Sir Ji....
And Nice 2 You Lage Raho...


Humaari Kismat Main Koi Chamakta Hua Sitara Nahi.
Dil Hai Bujhe Chand Sa Is Main Koi Ujjala Nahi.

Fir Bhi Mujhe Apne Muqadar Se Koi Shiqwa Nahi Aey Dost.
Meri Saathi Hai Tanaahi Meri. Main BeSahaara Nahi.






BAHUT KHOOB MAJID BHAI...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: December 30, 2007, 02:15:43 AM »
Teri Judaai Mein Aankhon Se Ashq Beh Rahe Hain.
Har Shab Furkat Ki Pasho Paise Se Gujar Rahe Hain.

Mehakte Hue Gulshan Mein Ab Mausam Hai Khizaon Ka.
Baharon Mein Bhi Ab Dil Ki Raahe Suni Ho Rahi Hai.

Manzil Ki Talash Mein Muqadar Kho Gaye Apne Kahi.
Gum.e.Sehra Mein Ab Kante Hi Kante Khil Rahe Hai.

Yun To Husn.o.Daulat Ki Kami Nahi yahaan Par Magar.
Jahan Main jaun Dil Par Tere pehre nazar Aa Rahe Hai.

Kis Se Kahen Ab Haal.e.Dil Apna Koi HumDum Na Raha.
Hum Akele The Aur Akele Hi Chale Jaa Rahe Hain.


Majid ji ... lovely lines
Logged
~princess~
Guest
«Reply #4 on: December 31, 2007, 10:46:10 AM »
masha allah majid sahab...shayarana khoon ubhar ubhar k bol raha hai hehehe keep it up
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: December 31, 2007, 01:51:33 PM »
Waah Bhaijaan,.
Kamaal Ka Likha Hai aapne,.
Yunhi Likhte Raho,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: December 31, 2007, 01:52:16 PM »
shaYad maiN zindagi ki sahar le ke aa gaya
qaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya

taa umR DhoonDta raha manzil maiN ishq ki
anjaam Ye ke garde safar le ke aa gaya

nashtar hai mere haath meiN kaaNdhoN pe maikada
lo maiN ilaaJe dard-e-zigar le ke aa gaya

'Faakir' sanam maikade meiN na aata maiN lautkar
ik zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya


_______________________________-NM-
Logged
~princess~
Guest
«Reply #7 on: December 31, 2007, 02:19:46 PM »
Tanhai ki aag mein phir jaalna chahti hu
Teri bahon k darmiyan phir phighalna chahti hu

Janti hu k bohot mehenga padega yeh arman mujhko
Is ek pal k liye ek sadi duri k dard se ladna chahti hu

Tu hi Humraaz hai tu hi Mashia hai humare liye
Par is jhoot ke sahare aaj bhi hasna chahti hu

Mohobbat mein milte hai phool par haath lage wo bhi murja gaye
Murje hue phoolo ko dekh k gham ki kalam likhna chahti hu

Gham ka saudayi hai tu yaa meri nazar mein bewafa khuda koi
Poochta hu sawal apne dil se kyu ki yeh raaz mein janna chahti hu

Roshni
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: December 31, 2007, 02:23:19 PM »
Nice One Roshni Sis,.
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: December 31, 2007, 11:23:18 PM »
Quote
Tanhai ki aag mein phir jaalna chahti hu
Teri bahon k darmiyan phir phighalna chahti hu

bahut umda likha hai roshni.good touchy lines
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: December 31, 2007, 11:35:47 PM »
Kitni sadgi hai hamme, hey dost
Ye to gulshan ki baharon se poocho
Itni khoobsurati chupi hai mujme
Ye tum in nazaron se poocho..

Log samaj na jaye kahi pyar apna
Isliye zara tum isharon se poocho
Kis hadh tak kiya intezar humne tumara
Ye hamari umeed ke saharon se poocho..

Jhote bayano ne kiya hai juda humko
Ye baat apne tarafdaron se poocho
Kitna roye hai hum tumse bicharkar
Kabhi hamare ashqon ki dharon se poocho..

Jala hai pal kis kadar dil mera
Judayi ki aag ke angaron se poocho
Raat-raat ber jagte hai yaad kar tujhko
Kabhi aasman ke chand-sitaron se poocho..

Dil jalaya tumhare ghar ki roshni ko
Ye apne ghar ke gangor andhiyaron se poocho
Apne sitamo ka hisaab beraham Sanam
Humko di jo tumne un dukhdaron se poocho..

Kaise takrathi hu ser apna lahoo nikalne
Aakar hamare ghar ki khadi diwaron se poocho
Barbadi ki kahani tum "Roja" ki
Jakar uske aziz tanhayiyon se poocho..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: January 03, 2008, 03:19:21 PM »
Waah Doston Khoob Mehfill Chaai Hai,.
Great Sab Ne Kamaal Ka Likha Hai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: January 07, 2008, 02:02:23 PM »
Nice One Bhai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: January 09, 2008, 10:26:42 AM »
Judaai Ki Ghadiyan Bani Murjhai Kaliyan Jaise
Aabaad Thi jo Kal Tak Ab Ujdi Wo Duniya Jaise.
Har Ek Lamhe Ka Wo Dil Cheer Kar Gujar Jana
Tanhai Ke palon Mein Beet Gayi Ho Sadiyan Jaise


Shikaar Judaai Ke Ho Jaate Hain Mohabbat Karne Waale,.
Tanhaai Aur Yaadon Me Kho Jaate Hain Mohabbat Karne Waale,.

Jeete Jee To Ankhein Band Nahi Karte Ye Raaton Ko "Azeem",.
Zindagi Se Haar Kar Ek Din Maut Ki God Me So jaate Hain Mohabbt Karne waale,.

____________________________________________-Jaanasheen-

Logged
~princess~
Guest
«Reply #14 on: January 09, 2008, 10:33:16 AM »
Tanhai ki aag mein phir jaalna chahti hu
Teri bahon k darmiyan phir phighalna chahti hu

Janti hu k bohot mehenga padega yeh arman mujhko
Is ek pal k liye ek sadi duri k dard se ladna chahti hu

Tu hi Humraaz hai tu hi Mashia hai humare liye
Par is jhoot ke sahare aaj bhi hasna chahti hu

Mohobbat mein milte hai phool par haath lage wo bhi murja gaye
Murje hue phoolo ko dekh k gham ki kalam likhna chahti hu

Gham ka saudayi hai tu yaa meri nazar mein bewafa khuda koi
Poochta hu sawal apne dil se kyu ki yeh raaz mein janna chahti hu

Roshni


Wah Re Ghalib Ki Nani
Kya Khoob Dard Ko Bayan Kiya Hai...
Ek Dum Jhakassssssss Hi Rosh Ji Lage Raho...


Janti hu k jhakas hai...lol kuch naya sunao glasses2 glasses2
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:07:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer