Teri khwaish ka bana rehna

by Prateek Mardia on November 29, 2008, 07:56:49 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 4634 times)
jasbirsingh
Guest
«Reply #15 on: November 30, 2008, 05:34:43 PM »
BAHGTEY MUSAFIR SEY KYA KEHNA,
RUKEY TOH KUCH SAMAJ AAYE,
ANDHERO MEH BHI ROSHNI HOTI HAI,
ABB ISS DIWANEY KOH KAUN SAMJAYE


JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tujhe dekhe bina teri tasveer bana sakta hon by Dewana_Badal in Shayri-E-Dard
Dost bana na koi Rakeeb bana by Nino in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Dost bana na koi Rakeeb bana by Nino in Ghazals
dil bana hai aaina teri surat by Rahi2001 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Rehna hai teri bahon mein by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #16 on: December 01, 2008, 03:25:07 AM »
samjhane per bhi nahi samjhti
khwaishein to khwaishein hai
toot-toot kar, bikhar-bikhar kar
ho jaati hai phir se zinda,
khwaishein to khwaishein hai
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #17 on: December 01, 2008, 07:41:48 AM »
Aapki ek bohat pyaari si line chura raha hu prateek majboor hu is line ko chid nahi sakta is tarah

Gungh_ruo me nam mera, khuda ke bando ne likh dala
Maikhano me mile waiz, aur muje masjido se nikala
Main bada gunahgaar hu par ek soch me atka hu
Kya farak hain dono me, kisi ne dil se kisi ne jannat se nikala

                              -SG & PRATEEK-



DIL SEY NIKALA MAIN SEHAM GAYA
JANNAT SEY NIKALA MAIN SEHAM GAYA
YEH TOH AJEEB HI BERUKHI HAI UNKI
ABB TOH NIGAHO SEY BHI NIKALA, MAIN MARR GAYA


JASBIR SINGH
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #18 on: December 03, 2008, 03:10:19 PM »
good going pooja ji and jasbir ji.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #19 on: December 03, 2008, 06:51:11 PM »
samjhane per bhi nahi samjhti
khwaishein to khwaishein hai
toot-toot kar, bikhar-bikhar kar
ho jaati hai phir se zinda,
khwaishein to khwaishein hai


bahut khoob and aap neh bilkul sach kaha hai JI


MITA KEY KHWAISH, JINDA LAASH BAN JAOGEY
FIR RAHEYGA KYA JINDAGI MEH, JINDA LAASH BAN JAOGEY

KWAISH SEY HI EK UMEED BANTI HAI
KUCH KAR GUJARNEY KI TAKREEB BANTI HAI

EK KEY PEECH EK KHWAISH JANAM LETI REHTI HAI
EK POORI HUYI NAHI KI DUSRI PEECHEY KHADI REHTI HAI

KWAISH KEY POORA HOTEY HI, EK KHUSHI KI LEHAR DOAD AATI HAI
TUSRI KHWAISH KEY LIYE, HOSLEY-AFZAYI KI LEHAR DOAD AATI HAI

KWAISH NA HO TOH JINDAGI KA RANG MIT JATA HAI
JYADA KYA KAHEY YARO, JINDA LAASH BAN JATA HAI



JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #20 on: December 03, 2008, 07:17:27 PM »


Haasil nahi tum,pur teri khwaish ka bana rehna
Mere dil ki dawa karta,mujhe ub aa gaya jeena
In aankhon ke aanson ne badi shiddat se seecha he
Gulistaa bun gaya jaise,jisey kehte they kabhi seena

Tujhse koi nahi shikwa,nahi kismat se ranjish he
Teri aarzo ko roke hu,inhey jaane ki bandish he
Is khel mein bahut khatra,mujhey maalom he lekin
Kabhi tu kheechi chali aaye,kari aisi hi saajish he

Tujhe paane ki chaahat se,kabhi chaaha nahi maine
Jo paaya hein sada maine,usey luttey hi dekha he
gunahgaaro mein naam mera, khuda ke bandoon ne likh daala
Tammnaaye budh gayi meri,dil deewanon sa mehka he


Nice one Prateek Ji
Bus likhte rahiye
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #21 on: December 04, 2008, 01:17:33 PM »
Nice one Prateek Ji
Bus likhte rahiye


Shukriya Rajesh Ji.likhne ki kaushish jaari rahegi.
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #22 on: December 04, 2008, 01:26:50 PM »


Haasil nahi tum,pur teri khwaish ka bana rehna
Mere dil ki dawa karta,mujhe ub aa gaya jeena
In aankhon ke aanson ne badi shiddat se seecha he
Gulistaa bun gaya jaise,jisey kehte they kabhi seena

Tujhse koi nahi shikwa,nahi kismat se ranjish he
Teri aarzo ko roke hu,inhey jaane ki bandish he
Is khel mein bahut khatra,mujhey maalom he lekin
Kabhi tu kheechi chali aaye,kari aisi hi saajish he

Tujhe paane ki chaahat se,kabhi chaaha nahi maine
Jo paaya hein sada maine,usey luttey hi dekha he
gunahgaaro mein naam mera, khuda ke bandoon ne likh daala
Tammnaaye budh gayi meri,dil deewanon sa mehka he


Haaye Oye.. Sadke jaavaa.. Usual Smile
Innaaa pyaara sa kalaam kaise reh gaya bina padhe..

Chalo deir se hi sahi, yeh beshkimati kalaam padhne ko toh mila..
Waah.. Waah.. Aur Waah... Waah.. Bahut khoobsurat likha hai aapne Prateek Ji.. Applause Applause Applause

Dard kam Ishq jyaada nazar aaya ismein..  drunken_smilie
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #23 on: December 04, 2008, 01:33:59 PM »
Aapki ek bohat pyaari si line chura raha hu prateek majboor hu is line ko chid nahi sakta is tarah

Gungh_ruo me nam mera, khuda ke bando ne likh dala
Maikhano me mile waiz, aur muje masjido se nikala
Main bada gunahgaar hu par ek soch me atka hu
Kya farak hain dono me, kisi ne dil se kisi ne jannat se nikala

                              -SG & PRATEEK-


Kya baat hai... Bahut bahut khoob...
Sajid ji.. Kamaal de utte dhamaal kar ditta.. Applause
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #24 on: December 04, 2008, 01:35:42 PM »
BAHGTEY MUSAFIR SEY KYA KEHNA,
RUKEY TOH KUCH SAMAJ AAYE,
ANDHERO MEH BHI ROSHNI HOTI HAI,
ABB ISS DIWANEY KOH KAUN SAMJAYE


JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com


DIL SEY NIKALA MAIN SEHAM GAYA
JANNAT SEY NIKALA MAIN SEHAM GAYA
YEH TOH AJEEB HI BERUKHI HAI UNKI
ABB TOH NIGAHO SEY BHI NIKALA, MAIN MARR GAYA


JASBIR SINGH


bahut khoob and aap neh bilkul sach kaha hai JI


MITA KEY KHWAISH, JINDA LAASH BAN JAOGEY
FIR RAHEYGA KYA JINDAGI MEH, JINDA LAASH BAN JAOGEY

KWAISH SEY HI EK UMEED BANTI HAI
KUCH KAR GUJARNEY KI TAKREEB BANTI HAI

EK KEY PEECH EK KHWAISH JANAM LETI REHTI HAI
EK POORI HUYI NAHI KI DUSRI PEECHEY KHADI REHTI HAI

KWAISH KEY POORA HOTEY HI, EK KHUSHI KI LEHAR DOAD AATI HAI
TUSRI KHWAISH KEY LIYE, HOSLEY-AFZAYI KI LEHAR DOAD AATI HAI

KWAISH NA HO TOH JINDAGI KA RANG MIT JATA HAI
JYADA KYA KAHEY YARO, JINDA LAASH BAN JATA HAI



JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com


Jasbir Ji..

Ek se badh kar ek...  icon_thumleft
Tussi wi vadda sohna likhiya hai..  Applause
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #25 on: December 04, 2008, 01:37:27 PM »
samjhane per bhi nahi samjhti
khwaishein to khwaishein hai
toot-toot kar, bikhar-bikhar kar
ho jaati hai phir se zinda,
khwaishein to khwaishein hai

Pooja di..

Toooooo Gooood.. As Always.. Thumbs UP
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #26 on: December 04, 2008, 02:22:21 PM »
Jasbir Ji..

Ek se badh kar ek...  icon_thumleft
Tussi wi vadda sohna likhiya hai..  Applause



Thanks Mahiya

DIL KI BAAT, KABHI KABHI JUBAA PEH AA JATI HAI
HAR GUM, HAR DARD, KABHI KABHI BAYAAN HO JATI HAI
JINDAGI KA SAFAR YUHI KAT RAHA HAI
KYA PATA,KAB KISS GHADI, JANEY KI KHABAR AA JATI HAI


JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #27 on: December 04, 2008, 07:30:54 PM »
YOU ARE WELCOME PRATEEK


JASBIR SINGH
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #28 on: December 05, 2008, 07:49:58 PM »
Haaye Oye.. Sadke jaavaa.. Usual Smile
Innaaa pyaara sa kalaam kaise reh gaya bina padhe..

Chalo deir se hi sahi, yeh beshkimati kalaam padhne ko toh mila..
Waah.. Waah.. Aur Waah... Waah.. Bahut khoobsurat likha hai aapne Prateek Ji.. Applause Applause Applause

Dard kam Ishq jyaada nazar aaya ismein..  drunken_smilie




[/quote)



Mahiya ji,Aapki saraahna ka shukriya.Aapko jo nazar aaya woh vaakai koot koot ke bhara he isme.Aap ne sahi kaha he.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: December 14, 2008, 08:42:52 PM »
nice lines jas ji
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:36:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.147 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer