~*~*~ Teri Tasweer ~*~*~

by manu1979 on July 17, 2006, 08:01:47 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1072 times)
manu1979
Guest


Teri tasweer meri Nigaaho mai hardam kyun haiN
Aaine to tutate rahte haiN tumhe gham kyuN haiN

Wohi lamhe wohi manjar wohi yaado ke hujjuM*
Aur kya chahiye? Maayus mere sanam kyuN haiN

Mere na hone se shayad raahat haiN zamaane ko
Shor ye kaisa hangaama-e-maatam kyuN haiN

Har mulaaquaat pe mujhko ye hota hai gumaaN
Faasley furkat ke ye itney beraham kyuN haiN

Dil ko sadalakht* kiya sine ko bhi sad chaak kiya
Ab bhi dilresh* mai dhadkati tu paiham* kyuN haiN

Maine sincha haiN apne ashqo se dil ke gulshan ko
Baag-e-hasti* mai khizaaoN* ka mausam kyuN haiN


Hujjum= crowd
Dilresh=zakhmi dil
sadalakht= dil ke so tukde karna
Paiham=continues,constant
Baag-e-hasti= garden of life
KhizaaN=patzad
paiham= nirantar,sada,hameha
[/size]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri tasweer by bhavijay_jethva in Shayri-E-Dard
Teri Tasweer meri ankhon main basi kyun hai by pandit in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 5 6 »
teri tasweer ne mujhe bikharne na diya ... by tamanna_me in Shayeri for Dard -e- Bewafai
TERI TASWEER - EK NAZM ........ HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
Teri tasweer aur tara saya... by Arghya in Shayri for Khumar -e- Ishq
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: July 18, 2006, 01:24:09 PM »
Bahoot Khob Manu Bhai,..
Bahoot Badiya Kalam Hai,.
Lage Raho,.,..
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #2 on: July 18, 2006, 06:55:13 PM »
jaanaseen ji kaafi samay baad maine kuchh yaha post kiya hai ,ap ne padh kar use pasan kiya uskey liye aap ka shukraguzaar hu aise hi aate rahiyega yahi ummid karta hu

regards
manu
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #3 on: July 18, 2006, 07:51:10 PM »
jaanashen ji shayad ye chhoti si koshish aap ko pasand aaye,paish-e-khidmat hai




jo dard kay sehra mai akela bhi bohot hay
iske liye deewar ka saya bhi bohat hay

dekha nahi tanhai mai tum ne kabhie usko
bichre hue logo ko wo roya bhi bohat hay

kuch tujh ko mohabbat pe yaqeen tha na wafa per
kuch dukh meri taqdeer mai likha bhi bohat hay

beenai andhero mai bhala kaise bachata
ek shaks tere hijr mai jaaga bhi bohat hay

wo aur hain jo choo kay tujhe dekhna chahen
mujhko to tere khuwab ki dunya bhi bohat hay

kirdaar se mehroom tha ye sheher so is nay
ham ko dar-o-deewar pe likha bhi bohat hay
[/size][/color]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: July 19, 2006, 12:37:18 PM »
Quote from: "manu1979"
jaanashen ji shayad ye chhoti si koshish aap ko pasand aaye,paish-e-khidmat hai




jo dard kay sehra mai akela bhi bohot hay
iske liye deewar ka saya bhi bohat hay

dekha nahi tanhai mai tum ne kabhie usko
bichre hue logo ko wo roya bhi bohat hay

kuch tujh ko mohabbat pe yaqeen tha na wafa per
kuch dukh meri taqdeer mai likha bhi bohat hay

beenai andhero mai bhala kaise bachata
ek shaks tere hijr mai jaaga bhi bohat hay

wo aur hain jo choo kay tujhe dekhna chahen
mujhko to tere khuwab ki dunya bhi bohat hay

kirdaar se mehroom tha ye sheher so is nay
ham ko dar-o-deewar pe likha bhi bohat hay
[/size][/color]


Yaar Kamaal Ka Likhte Ho Tum,..
Is Baar Bhi Bahoot Acha Likha Hai,
Nice One,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: July 19, 2006, 12:46:05 PM »
Dil Mein Kuch Armaan Liye Tere Sheher Se Jaa Raha Hoon,...
Hain Gham Mere Dil Mein Bahoot Phir Bhi Teri Khushi Ke Liye Muskuraa Raha Hoon,..

Bahoot Naaz Tha Mujhe Teri Wafaaon Par Teri Chahat Par,..
Ab Hogayi Anjaan Tu Mere Dard Se, Dekh Main Khud Apna Naam Mitaa Raha Hoon,..

Khushion Ki Har Mehfil Tujhe Mile Gham Ka Andhera Kabhi Tuje Na Chue,..
Roshni Dene Ke Liye Tujhe "Jaanasheen" Dekh Ghar Apna Main Jalaa Raha Hoon,..

Phir Bhi Aitbaar Nahi Tujhe Meri Chahaton Pe " Ye Meri Bad Kismati,..
Tujhe Mohabbat Ka Ehsaas Dilaane Ke Liye Main Khud Ko Azmaa Raha Hoon,..

Gham To Rahega Mujhe Naa Paake Tujhe,. Tere Sang Zindagi Na Bitaane Ka,.
Phir Bhi Dil Ko Tassalli Dene Ke Liye Main Khud Ko Samjhaa Raha Hoon,..

Gham Sehna Ab Hogaya Hai Mukkaddar Apna Kho Gayi Kahin Roshni Zindagi Ki Ab,..
Isliye Mehfil Se Apni "Jaanasheen" Main Shamaa Bujhaa Raha Hoon,..

___________________________-Azeem-______________________
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #6 on: July 20, 2006, 09:05:07 PM »
jaa nashhen ji ye aap ke liye,gaur farmaaiyega

ishq dariya hai jiska saahil nahi hota
Har dil mahobbat ke kaabil nahi hota
rota wo bhi hai jo duba ishq ke saagar mai
aur wo bhi jise ishq kabhi haasil nahi hota
[/color]

aap ke jawaab ka intzaar rahega
Logged
Sonu
Guest
«Reply #7 on: July 20, 2006, 09:08:05 PM »
Manu ji bahut khoob.... Azeem bahi javab nahi apka bhi... app donu ney bahut hi acha likha hai... yeo hi likhtey rahu... with wonderful smile....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:39:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer