**Teri yaad** by Rahim

by dead heart on April 20, 2010, 08:02:02 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1603 times)
dead heart
Guest
Aj ki yeh nazm main maine dard ko bayan kar raha hoon mager ek sandesh dena chahta hoon...Ek shukriya kehna chahta hoon mere ek khas dost ko jis'se maine seekha hai ke agey badna chahiye...Kapil dost, Bahaut bahaut shukriya!!!Yeh nazm ki kuch akhri lines jin main yeh sandesh hai ke agey bado, apko dedicated hai...
Zindagi agey badne ka naam hai...koi bhi insaan itna aziz nahin hota ke woh zindagi banjaye...zindagi ki har nakamyabi par ek nayi raah shuru hoti hai aur uss raah par, naye musafir intezar kar rahe hai...kya pata koi hamsafar ho unn main...Jisse Khuda tumhe na de, samjho woh tumhara tha hi nahin..

Aur haan, yeh Zindagi uss Malik ka tofa hai..barbaad karne ka haq nahin kisi ko bhi...Koshish karein ke muskurate rahe...bahaut khubsoorat hai yeh zindagi..

Jab dil thartara ut’ta hai aur meri ankhein bhar ati hai,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab kaanton ke rehte hue phoolon se dard milta hai,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab apni kitab ke panno main tera diya hua gulab nazar ata hai,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab kanon ko who geet sunayi dete hai jo tere mere rishte ki nishani the,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab ankhon main kisi ke mere liye ehsaas mager mohobat nahin dekta hoon,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab kuch likhne ka mann ho mager lavz saath na de,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Waise toh tu aisi yaadein degaya hai,
Jo main kabhi bhula nahin paunga,
Jo ghum ka taj tune mujhe pehnaya hai,
Uske liye tujhe kabhi maaf kar nahin paunga,
Tujse nafrat bhi nahin hogi mujse,
Kyun ke tujse mohobat ki hai maine,
Itni ke tu andaza nahin laga sakta,
Bas aj tere bina bahaut adhura lagta hai,
Aj sans lene ko mann nahin karta,
Mager sochta hoon kab tak jeeyunga aise,
Aj ek nayi shuruwat karna chahta hoon,
Tujse bahaut dhoor chale jana chahta hoon,
Mager apne ateet ko sochta hai jab jab ‘Rahim’,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai,
Dil ki andheri galiyon se nikli ek pukar aj ponchana chahta hoon tujh tak,
O meri jaan,
Tu mujhe bahaut yaad ati hai…

~Rahim~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TERI YAAD by MANN MARJANA in Shayri for Khumar -e- Ishq

~*~ Yaad ati hai ~*~ by Rahim by dead heart in Shayri for Dard -e- Judai
~*~ Dil main ab bhi teri yaad basi hai ~*~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~ Yaad purani ~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
brokenbyluv
Guest
«Reply #1 on: April 20, 2010, 08:36:11 PM »
bahut hi khoob..rahiim ji bahut khoob..khuda apko khush rakhe aur hamesha har kisi ko unke dard se ubhrne ki taqat de...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #2 on: April 20, 2010, 10:02:59 PM »
Bahut bahut shukriya dost ki aapne hamari baat ko samajhne ki koshish ki... thank u so much... zindagi bahut chhoti hai isme agar hum chhoti chhoti baaton ko leke rote rahenge to kabhi muskura nahi paenge... so enjoy life.. have fun...

aur aapne bahut khoobsurat kavita likhi hai... bahut khoob mere bhai....bahut khoob...!!!

duniya ko chhoti na samjho ye bahut badi hai mere dost,
yahaan hazaaron ki bheed me koi apna mil hi jata hai,
kya hua agar kisi ne tumhaara dil kabhi tod diya to,
ek k chale jaane k baad dusra humsafar mil hi jaata hai,

ye na socho ki uske jaane se tumne kya khoya hai,
chaahne se to yahaan jannat bhi mil hi jaata hai,
kabhi sochte hain ki agar aaj wo hamare sath hote,
kabhi sochte hain ki jo paas hai wo dur ho hi jaata hai,

tum ye na socho ki kal tak uske rehne se jahaan haseen thi,
agar koshish karo to jungle bhi jannat ban hi jaata hai,
galti hamari hai ki hum aankhen kholke dekhte nahi hai,
warna khushiyon ka samundar nazron k saamne aa hi jaata hai,

mere dost kisi k chale jaane se saanse tham nahi jaati,
kisi aur haseen chehre pe ye dil aa hi jaata hai,
mere bhai q kisi ki yaad me yun aansu bahate ho tum,
aansuon ko pochke dekho muskaan aa hi jaati hai.....

Logged
neelgold
Guest
«Reply #3 on: April 20, 2010, 10:58:44 PM »
Wah wat a change Kapil Ji !!!!!!!!!!!!
Vry nyc & really HAppy for U ............

Good GOing!!!!!!!!!

«Reply #4 on: April 20, 2010, 11:00:46 PM »
Rahim ji bhut bhut shukriya ..... bhut hi "KAMAL" kaha aapne ...

Bechara Kapil ..........saab uske piche pad gaye ....
Abb to usse muskarna hi padega hai na KApil!!!!!!!!

Thnx again Rahim ji ........
Be happy alwyz!!!!!!!!!
Aj ki yeh nazm main maine dard ko bayan kar raha hoon mager ek sandesh dena chahta hoon...Ek shukriya kehna chahta hoon mere ek khas dost ko jis'se maine seekha hai ke agey badna chahiye...Kapil dost, Bahaut bahaut shukriya!!!Yeh nazm ki kuch akhri lines jin main yeh sandesh hai ke agey bado, apko dedicated hai...
Zindagi agey badne ka naam hai...koi bhi insaan itna aziz nahin hota ke woh zindagi banjaye...zindagi ki har nakamyabi par ek nayi raah shuru hoti hai aur uss raah par, naye musafir intezar kar rahe hai...kya pata koi hamsafar ho unn main...Jisse Khuda tumhe na de, samjho woh tumhara tha hi nahin..

Aur haan, yeh Zindagi uss Malik ka tofa hai..barbaad karne ka haq nahin kisi ko bhi...Koshish karein ke muskurate rahe...bahaut khubsoorat hai yeh zindagi..

Jab dil thartara ut’ta hai aur meri ankhein bhar ati hai,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab kaanton ke rehte hue phoolon se dard milta hai,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab apni kitab ke panno main tera diya hua gulab nazar ata hai,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab kanon ko who geet sunayi dete hai jo tere mere rishte ki nishani the,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab ankhon main kisi ke mere liye ehsaas mager mohobat nahin dekta hoon,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab kuch likhne ka mann ho mager lavz saath na de,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Waise toh tu aisi yaadein degaya hai,
Jo main kabhi bhula nahin paunga,
Jo ghum ka taj tune mujhe pehnaya hai,
Uske liye tujhe kabhi maaf kar nahin paunga,
Tujse nafrat bhi nahin hogi mujse,
Kyun ke tujse mohobat ki hai maine,
Itni ke tu andaza nahin laga sakta,
Bas aj tere bina bahaut adhura lagta hai,
Aj sans lene ko mann nahin karta,
Mager sochta hoon kab tak jeeyunga aise,
Aj ek nayi shuruwat karna chahta hoon,
Tujse bahaut dhoor chale jana chahta hoon,
Mager apne ateet ko sochta hai jab jab ‘Rahim’,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai,
Dil ki andheri galiyon se nikli ek pukar aj ponchana chahta hoon tujh tak,
O meri jaan,
Tu mujhe bahaut yaad ati hai…

~Rahim~
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #5 on: April 21, 2010, 12:03:06 AM »
Thanx a lot Neel ji.... glad to know that u liked it....it's all bcoz of u and few other friends... thax again...!!!

Wah wat a change Kapil Ji !!!!!!!!!!!!
Vry nyc & really HAppy for U ............

Good GOing!!!!!!!!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #6 on: April 21, 2010, 12:05:09 AM »
Bilkul sahi kaha Neel ji... bina muskuraye kahaan jaunga main...!!!

Rahim ji bhut bhut shukriya ..... bhut hi "KAMAL" kaha aapne ...

Bechara Kapil ..........saab uske piche pad gaye ....
Abb to usse muskarna hi padega hai na KApil!!!!!!!!

Thnx again Rahim ji ........
Be happy alwyz!!!!!!!!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: April 21, 2010, 02:33:52 AM »
Bahut khoob Rahim bhai and Kapil ji.kamaal ke likha aap dono ne.great work.excellent.keep up the good work. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: April 21, 2010, 08:37:59 AM »
Aj ki yeh nazm main maine dard ko bayan kar raha hoon mager ek sandesh dena chahta hoon...Ek shukriya kehna chahta hoon mere ek khas dost ko jis'se maine seekha hai ke agey badna chahiye...Kapil dost, Bahaut bahaut shukriya!!!Yeh nazm ki kuch akhri lines jin main yeh sandesh hai ke agey bado, apko dedicated hai...
Zindagi agey badne ka naam hai...koi bhi insaan itna aziz nahin hota ke woh zindagi banjaye...zindagi ki har nakamyabi par ek nayi raah shuru hoti hai aur uss raah par, naye musafir intezar kar rahe hai...kya pata koi hamsafar ho unn main...Jisse Khuda tumhe na de, samjho woh tumhara tha hi nahin..

Aur haan, yeh Zindagi uss Malik ka tofa hai..barbaad karne ka haq nahin kisi ko bhi...Koshish karein ke muskurate rahe...bahaut khubsoorat hai yeh zindagi..

Jab dil tharthara ut’ta hai aur meri ankhein bhar ati hai,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab kaanton ke rehte hue phoolon se dard milta hai,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab apni kitab ke panno main tera diya hua gulab nazar ata hai,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab kanon ko woh geet sunayi dete hai jo tere mere rishte ki nishani the,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab ankhon main kisi ke mere liye ehsaas mager mohobbat nahin dekta hoon,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Jab kuch likhne ka mann ho mager lavz saath na de,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai…

Waise toh tu aisi yaadein degaya hai,
Jo main kabhi bhula nahin paunga,
Jo ghum ka taj tune mujhe pehnaya hai,
Uske liye tujhe kabhi maaf kar nahin paunga,
Tujhse nafrat bhi nahin hogi mujhse,
Kyun ke tujhse mohobbat ki hai maine,
Itni ki tu andaza nahin laga sakta,
Bas aaj tere bina bahut adhura lagta hai,
Aaj sans lene ko mann nahin karta,
Mager sochta hoon kab tak jeeyunga aise,
Aaj ek nayi shuruwat karna chahta hoon,
Tujhse bahut duur chale jana chahta hoon,
Mager apne ateet ko sochta hai jab jab ‘Rahim’,
Toh meri jaan mujhe teri yaad ati hai,
Dil ki andheri galiyon se nikli ek pukar aaj pahoonchana chahta hoon tujh tak,
O meri jaan,
Tu mujhe bahut yaad ati hai…

~Rahim~

Bahut sundar peshkash hai Rahim Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: April 21, 2010, 08:39:26 AM »
Bahut bahut shukriya dost ki aapne hamari baat ko samajhne ki koshish ki... thank u so much... zindagi bahut chhoti hai isme agar hum chhoti chhoti baaton ko leke rote rahenge to kabhi muskura nahi paenge... so enjoy life.. have fun...

aur aapne bahut khoobsurat kavita likhi hai... bahut khoob mere bhai....bahut khoob...!!!

duniya ko chhoti na samjho ye bahut badi hai mere dost,
yahaan hazaaron ki bheed me koi apna mil hi jata hai,
kya hua agar kisi ne tumhaara dil kabhi tod diya to,
ek k chale jaane k baad dusra humsafar mil hi jaata hai,

ye na socho ki uske jaane se tumne kya khoya hai,
chaahne se to yahaan jannat bhi mil hi jaata hai,
kabhi sochte hain ki agar aaj wo hamare sath hote,
kabhi sochte hain ki jo paas hai wo dur ho hi jaata hai,

tum ye na socho ki kal tak uske rehne se jahaan haseen thi,
agar koshish karo to jungle bhi jannat ban hi jaata hai,
galti hamari hai ki hum aankhen kholke dekhte nahi hai,
warna khushiyon ka samundar nazron k saamne aa hi jaata hai,

mere dost kisi k chale jaane se saanse tham nahi jaati,
kisi aur haseen chehre pe ye dil aa hi jaata hai,
mere bhai q kisi ki yaad me yun aansu bahate ho tum,
aansuon ko pochke dekho muskaan aa hi jaati hai.....

Bahut umda response diya hai aap ne Kapil Ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #10 on: April 21, 2010, 10:57:27 AM »
Bahot achhi nazm likhi hai Abdul Rahim Bhai. Jo guzar gaya uska malaal karne ke bajaye zindagi naye dhang, nai soch ke saath shuru ki jaaye to ye khushnuma ho sakti hai. Jo ho chuka uska to kuchh nahi ho sakta lekin aane wale kal ke liye hum bahot kuchh kar sakte hain.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #11 on: April 21, 2010, 12:44:03 PM »
Bahut bahut shukriya Madhu ji...!!!

Bahut khoob Rahim bhai and Kapil ji.kamaal ke likha aap dono ne.great work.excellent.keep up the good work. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #12 on: April 21, 2010, 12:47:48 PM »
bahut bahut shukriya Rajesh ji hamari kavita ko pasand karne k liye aur aage likhne k liye hamari himmat badhane k liye... bahut bahut shukriya...!!!

Bahut umda response diya hai aap ne Kapil Ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: April 21, 2010, 02:41:29 PM »
Shukriya Kapil dost, Neel jee, Geet jee, Madhu di, Rajesh jee aur Riyaz jee...Teh dil se shukriya kehna chahta hoon...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: April 21, 2010, 02:44:23 PM »
bahut hi khoob..rahiim ji bahut khoob..khuda apko khush rakhe aur hamesha har kisi ko unke dard se ubhrne ki taqat de...
Allah apko bhi bahaut khush rakhe...sabhi ko himmat de..
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:49:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer