teri yaad saath hai

by salil2002 on November 10, 2008, 06:16:33 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3923 times)
salil2002
Guest
dekhta hoon apna aks aaine main
toh kuch dararein bhi dekh pata hoon
yeh shayad bayaan karta hai meri haqeeqat
haan khud ko bikhra hua pata hoon main
is akele kamre kii deewaron main qaid hoon
barish k pani sa ris ris k aata hoon main
yeh bhi mujhse parda nahin rakhti
haan apne aansuon ko chhupata hoon main
is chaukhat par kabhi darakht bhi tha
jo hawaon kii raftaar se dum tod gaya
in hawaon ne sargoshi se mujhse bhi kaha ood jao
par apne pankhon ko qatra hua pata hoon main
bas ek tu hai aur teri yaad hi hai
kii main jaisa bhi hoon tu rehti mere saath hai
tujhe bhi pata hai kii andheron se darta hoon main
par tere saaye kii oat main simat jata hoon main
hoon bahut akela aur shayad ghabraaya hua
kii patta bhi hilta hai toh saham jaata hoon main
kii kaahin chheen na le duniya teri yaadein bhi mujhse
isliye socha hai maine ,aankh band kar k so jaata hoon main
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri yaad by Sonu in Shayri-E-Dard
TERI YAAD by mahip in Shayri-E-Dard
teri yaad ki ................ by mahip in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
TERI YAAD by MANN MARJANA in Shayri for Khumar -e- Ishq
Gazaloun Key Saath : Janab Ahmed Faraaz Sahib Kee Yaad Mein! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: November 10, 2008, 06:52:55 AM »
 Applause Applause

Bohat khoob salil bro...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #2 on: November 10, 2008, 07:27:26 AM »
thnks sis..........
har taraf khamoshi ka basar tha
isliye main chupchap raha
tumne kaha jala do ghar toh jala diya
mere ghar kii roshni tere ghar main aab raha
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: November 10, 2008, 07:33:32 AM »
thnks sis..........
har taraf khamoshi ka basar tha
isliye main chupchap raha
tumne kaha jala do ghar toh jala diya
mere ghar kii roshni tere ghar main aab raha



Bohat khoob salil....


Meine toh tumen aapna saathi mana tha
Tumen mere dil ki baat pohancha hi nahi tha
Kaise kaheti ke tumse pyaar hai jab tu saath na tha
Tere zindagi se judi har yaaden kya ek khwab tha...

___________honeyrose___________
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #4 on: November 10, 2008, 11:48:41 AM »
bohat bohat behtareen salil ji. Applause Applause Applause
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #5 on: November 10, 2008, 11:49:57 AM »
very nice reply honey ji Applause Applause
Logged
taheer_khaja
Guest
«Reply #6 on: November 10, 2008, 06:40:04 PM »
bohat khoob Applause
Logged
sjid hadayat
Guest
«Reply #7 on: November 10, 2008, 08:40:04 PM »
Bohat aachay salil ji...  Clapping Smiley

Sajid Hadayat
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #8 on: November 10, 2008, 09:37:02 PM »
...awesome Salil...keep it up...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: November 11, 2008, 05:23:16 AM »
thnks everyone............

koshish bahut kii teri yaadon se door jaane kii
 na jaane kya kashish hai kii tum bhoolte nahin
Logged
salil2002
Guest
«Reply #10 on: January 17, 2009, 09:28:18 AM »
chaha jab bhi tujhe khud se door karna
tujhe khud k aur qareeb paaya maine
har ghadi bas socha tere baar main
is liye khud ko kaahin bhool aay ahoon main
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: January 17, 2009, 09:35:08 AM »
Nice One Again Salil Bhai,.
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #12 on: January 17, 2009, 09:47:47 AM »
bohat khoob salil.....
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: January 17, 2009, 10:07:08 AM »
bohat khoob salil.....
kya baat hai yaar itni mashhoor shakshiyat yoindia kii meri post par gr8................
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: January 19, 2009, 11:05:54 AM »
Yun To Kuch Nahi Tha Paas Mere Gawaane Ko "Azeem,.
Phir Kya Khoya Maine, Jiski Kami Ka Ehsaas Hota Hai,.

____________________-Jaanasheen-
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:36:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer