Teri Yaadein Sone Nahi Deti.

by majid on October 10, 2009, 06:36:12 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 8494 times)
majid
Guest
               Aksar Tanhaaiyan Mujhey Tumaniyat Se Rehne Nahi Deti
               Sona To Chahta Hoon ,  Par  Teri Yaadein Sone Nahi Deti.

               Is Qadar Rooh Mein Ghul Si Gayi Hai Bas Chahten Teri Ki
               Dhadkane  Tere  Siwa , Koi  Aur  Ehsaas Hone  Nahi Deti

               Aaina Bhi Dekhta  Hoon , To Teri Hi Surat Nazar Aati Hai
               Ik Pal Ko Bhi Mujhey Ab  Khudse , Rubau Hone Nahi Deti.

               Naa Jaane Aisi Kya Baat Hai Uski Saadgi Mein Shihab , Ki
               Uski Khoobsurti Meri  Ghazlon Ko , Pura Hone  Nahi Deti.

                  

                                       {Shihab}
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~Sone nahi denge~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Judai Jeene Nahi Deti...!!! by Delicate_Doll in Shayri for Dard -e- Judai
Jaane kyo teri awaaz sukun deti hai bohot --------NAZM BY KAVI DEEPAK SHARMA by kavyadharateam in Shayri for Khumar -e- Ishq
kal raat teri yaad ne chen se sone naa diyaa by hameeda in Share: Poetry of Pain
Teri yaad ne sone na diya by Asif samani jaunpuri in Shairi - E - Zindagi
Sammual
Guest
«Reply #1 on: October 10, 2009, 11:32:24 PM »
Wah Bahut Khoob Shihab Ji. Applause
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: October 10, 2009, 11:39:19 PM »
Wah bahut khoob Shihab ji,very touching and lovely creation,excellent.
sabhi lines tareef -e- kabil hai.likhte rahena. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: October 11, 2009, 03:53:08 AM »
Waah Waah Bahoot Bahoot Khoob Shihab...Bahoot Pyaare ehsaas hai ..

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #4 on: October 11, 2009, 06:09:12 PM »


waaaaaaaaah shihab ji bahut hi khubsurat nazam pesh ki hai apne......ApplauseApplause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: October 11, 2009, 06:21:10 PM »
Wah Wah Majid Bhai..

Bahut bahut Khoob..

Bahut Hi Khoobsurat Peshkash.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: December 05, 2009, 10:25:20 PM »
Perfect lines Shihab ji,bahut khoob. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: December 05, 2009, 10:42:44 PM »
Bahut umda likha hai aap ne Shihab Ji
Logged
sabir143
Guest
«Reply #8 on: December 20, 2009, 10:51:08 AM »
Aksar Tanhaaiyan Mujhe Tumaniyat Se Rehne Nahi Deti
Sona To Chahta Hoon ,Par Teri Yaadein Sone Nahi Deti.

Is Qadar Rooh Mein Ghul Si Gayi Hai Bas Chahten Teri Ki
Dhadkane Tere Siwa, Koi Aur Ehsaas Hone Hi Nahi Deti

Aaina Bhi Dekhta Hoon To Teri Hi Surat Nazar Aati Hai
Ik Pal Ko Bhi Mujhe Ab Khudse Rubaroo Hone Nahi Deti.

Naa Jaane Aisi Kya Baat Hai Uski Saadgi Mein Shihab Ki
Uski Khoobsurti Meri Ghazlon Ko Pura Hone  Nahi Deti.


                    {Shihab}

Beshak Bhai.Mari Bhabhi Hatij Aatli Khoobsurat
Ki Teni Ni Sadgi Shabdon Maa Lakhi Shakayj Nahi
Bhuj Saras Lakhyon Se Mari Jaan...
ALLAH Pak Tane Sukun Bakshe Ameen

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: May 14, 2010, 08:52:44 PM »
Ek baar phir aapne bahut khoobsurti se likha Shihab ji.great lines.keep it up icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: May 14, 2010, 09:00:51 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

ab lagta hai aapka likha hua padhna band karna padega. aapka likha padhne ke baad sharminda hota hoon ki main dhang se taarif nahi kar paata. itna achcha likhte hain aap ki mujhe taarif ke liye shabd nahi milte. aapka likha hua har nazm khaas hi hota hai. bahut khoob likhte hain aap....!!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #11 on: May 14, 2010, 09:12:24 PM »
aap bhi kuch kam nahi likhte Kapil ji,bahut acha likhte ho aap bhi.
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #12 on: May 14, 2010, 09:30:32 PM »
wah shihab saheb ,, bahoth qoob ,dad hazir hai qubool karen ..allah tumhe hamesha khush rakhe ..


duwa go

qadeertoopchi
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: May 14, 2010, 09:52:22 PM »
shukriya Madhu ji... aap hi log hain jinki taarif hamare likhne k liye hausla badhaati hain... shukriya...!!!

aap bhi kuch kam nahi likhte Kapil ji,bahut acha likhte ho aap bhi.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: May 15, 2010, 08:52:49 PM »
U r welcome Shihab ji.... aur hamari taarif ke liye shukriya...!!!

Arey Nahi Janab Aisa Zulm Mat Kijiyega
Aap Jaise Qadardan Ki Islah Ki Hume Har Waqt Jarurat Hai....
Aur Rahi Baat Aapke Likhne Ki To Aapko Sharminda Hone Ki Jarurat Nahi
Kyun Ki Aap Bahut Achcha Likhte Hain.Hum Aap Sab Hazrat Ko Dekhkar Hi To Likhte Hain.
Aur Rahi Baat Lafzon Ke Na Milne Ki To Koi Baat Nahi Aap Dil Se Nikli Sirf Wah Bhi Keh Denge To Woh Bhi Mere Liye Bahut Hai...Khair...
Bahut Bahut Shukariya Izzat Afzaii Ke Liye
Aapka Tahe Dilse Mamnun Hun Ki Aap Yaha Aaye
Apna Waqt Diya Pasand Farmaya Aur Itni Pyari Pyari
Baaten Kahin..Bahut Shukariya....

Yun Hi Saath Banaye Rakhiyega...


Khusah Rahiye...


~Shihab~

Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:45:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer